Sports Par Banai Gai Koi Bhi Movie Dekh Lain, Script Kuchh Aisa Hoga: Aik Team, Jisay Koi Ghaas Nahi Dalta, Koi Rate Nahi Karta, Wo Race Mein Shamil Hi Nahi Samjhi Jati, Us Kay Internal Problems Bhi Hain, Aur External Pressure Bhi. Aur Wo Haarna Bhi Shuroo Ho Jati Hay, Aur Haarti Chali Jati Hay. Yahan Tak Ke Deewar Say Lag Jati Hay. Laikin Phir ‘Against-All-Odds’ Wapis Aati Hay, Ubharti Hay, Nikalti Hay Sab Ko Hairan Kartay Huay Jeet Jati Hay.
Laikin .... Yaar Ye To Kisi Movie Kay Sath Sath Koi ‘Reality Show’ Bhi Lag Raha Hay. Haan! Hum Har Barray Tournament Mein Ye ‘Reality’ Dekhtay Aaey Hain: Pakistan Cricket Team Say. Jis Ki Kahani Hamesha Aisi Hi Hoti Hay. Last 30 Years To Aisay Hi Hain.
#92MeinBhiAisaHiHuaTha

1992 Mein Kuchh Yahi Hua Tha. Pakistan Apnay Shuroo Kay Matches Haara. West Indies Say, Phir India Aur South Africa Say. Darmiyan Mein Zimbabwe Kay Against Sirf 1 Jeet Mili Aur Saath Hi England Say Aik Reprieve Bhi, Jis Kay Khilaf Hum 74 Par All-Out Huay, Bus Barish Nay Bacha Lia. Aik Yaqeeni Shikast Kay Badlay Hamain 1 Crucial Point Mila.
Ab Pakistani Players ‘Cornered Tigers’ Thay. Jeetnay Kay Siwa Koi Rasta Hi Nahi Tha. Yahi Rasta Pakrra, Wo Matches Jeetay, Jin Mein Koi Umeed Nahi Thi. Australia Say, Sri Lanka Say Aur Aakhir Mein Unbeatable New Zealand Kay Against Bhi. Last Stage Par Australia Aur West Indies Kay Match Say Bhi Favourable Result Mila, Aur Hum Puhanch Gaey Semi-Final Mein. New Zealand Ko Us Kay Home Ground Par Aik Yaadgar Match Mein Haraya Aur Pehli Baar World Cup Final Mil Gaya.
Pakistan World Cup '92 Mein
Match By Match
Result | Margin | vs. | Date | |
---|---|---|---|---|
![]() | Lost | 10 Wkts. | ![]() | 23 Feb '92 |
![]() | Won | 53 Runs | ![]() | 27 Feb '92 |
![]() | N/R | N/R | ![]() | 1 Mar '92 |
![]() | Lost | 43 Runs | ![]() | 4 Mar '92 |
![]() | Lost | 20 Runs | ![]() | 8 Mar '92 |
![]() | Won | 48 Runs | ![]() | 11 Mar '92 |
![]() | Won | 4 Wkts. | ![]() | 15 Mar '92 |
![]() | Won | 7 Wkts. | ![]() | 18 Mar '92 |
![]() | Won | 4 Wkts. | ![]() | 21 Mar '92 |
![]() | Won | 22 Runs | ![]() | 25 Mar '92 |
Kuchh Yahi Dastan Ab Repeat Ho Rahi Hay. ’92 Aur ’22 Mein Coincidence Buhat Hain: Wohi Australia Ki Sarzameen, Pehla Match Haarna, India Say Shikast, Barish Ka Favour Daina, Unbeatable Team Ko Harana, Consecutives Matches Jeet Kar, Dua’on Say Semi-Final Mein Puhanchna. Yahan Aik Yaadgar Jeet Aur Aakhir Mein MCG Ka Final. Bus Ab Yahi Baqi Hay Ke Final Bhi Jeet Jaen.
T20 Ka 'Ustaad'

Ye Kahani Sirf ’92 Ki Nahi. Pakistan T20 World Cup 2009 Mein Jab World Champion Bana Tha, Tab Bhi Kuchh Yahi Hua Tha. First 3 Mein Say 2 Matches Haaray. England Say, Aur Phir Sri Lanka Say Bhi. Laikin All-Important Match Mein New Zealand Ko Haraya Aur Semi-Final Mein Qadam Rakh Dia. Jahan South Africa Ko Shikast Di Aur Final Mein Sri Lanka Ko Bhi. Imran Khan Kay Baad Younis Khan Nay Bhi World Cup Uthaya, Aik Khan Kay Baad Doosra Khan Bhi Champion Bana.
Pakistan T20 World Cup 2009 Mein
Match By Match
Result | Margin | vs. | Date | |
---|---|---|---|---|
![]() | Lost | 48 Runs | ![]() | 7 Jun '09 |
![]() | Won | 82 Runs | ![]() | 9 Jun '09 |
![]() | Lost | 19 Runs | ![]() | 12 Jun '09 |
![]() | Won | 6 Wkts. | ![]() | 13 Jun '09 |
![]() | Won | 39 Runs | ![]() | 15 Jun '09 |
![]() | Won | 7 Runs | ![]() | 18 Jun '09 |
![]() | Won | 8 Wkts. | ![]() | 21 Jun '09 |
Pakistan, Champions Ka Champion

Pakistan History Ki Teesri Barri Kamyabi Thi 2017 Ki Champions Trophy Ki. Aur Ye Kahani To Sab Say Anokhi Hay. Champions Trophy Mein ODI Rankings Ki Top 8 Teams Khelti Hein. Cut-Off Date Say Pehlay Pakistan Barri Mushkil Say 8th Number Par Puhancha The, Aur Yun Tournament Kay Liay Qualify Kar Lia.
Phir ‘Formula Script’ Shuru! Start Lia India Kay Haathon Aik Big Defeat Say. Laikin Next Match Main Hi Zaur Pakar Lia. South Africa Ko Haraya, Aik Zabardast Muqablay Main Sri Lanka Ko Shikast Di Aur England Jaisi Tagrri Team Ko Semi Final Mein Hara Dia.
Tab Hua Wo ‘Mahan Muqabla’, Pakistan Vs India Pehli Baar Kisi ICC Tournament Kay Final Mein. Pakistan Nay Apni Sab Say Achhi Performance Us Din Kay Liay Bacha Kar Rakhi Thi. Fakhar Zaman Ki Epic Century Say Banay 338 Runs Aur Phir Mohammad Amir Ki Kabhi Na Bhoolnay Wali Bowling Say India Hua Sirf 158 Par All Out.
Wo Team Jis Nay Last Date Par Tournament Kay Liay Qualify Kia Tha, Champions Ki Champion Ban Gai.
Pakistan Champions Trophy 2017 Mein
Result | Margin | vs. | Date | |
---|---|---|---|---|
![]() | Lost | 124 Runs | ![]() | 4 Jun '17 |
![]() | Won | 19 Runs | ![]() | 7 Jun '17 |
![]() | Won | 3 Wkts. | ![]() | 12 Jun '17 |
![]() | Won | 8 Wkts. | ![]() | 14 Jun '17 |
![]() | Won | 180 Runs | ![]() | 18 Jun '17 |
Aik Aur Sequel?

T20 World Cup 2022 Ki Kahani Bhi Mukhtalif Nahi. Pakistan Yahan Bhi Pehlay India Say Haara. Next Match Mein To Last Ball Par Zimbabwe Say Bhi Shikast Kha Betha. Tournament Say Taqreeban Bahar Ho Chuka Tha.
Laikin Jab Himmat Aur Qismat Mil Jaen To Baat Ban Jati Hay, Pakistan Ki Bhi Ban Gai. Pehlay Netherlands Ko Haraya Aur Phir Most Important Match Mein South Africa Ko Bhi. Last Day Par Bangladesh Kay Against Match Say Pehlay Aik Khushkhabri Mili Ke Netherlands Nay South Africa Ko Hara Kar Pakistan Ka Rasta Saaf Kar Dia Hay. Ab Pakistan Ko Sirf Bangladesh Ko Harana Tha, Haraya Bhi Aur Semi-Final Mein Puhanch Gaya.
Semis Mein Pakistan Ka Taakra Hua Most Consistent Performer New Zealand Say. Apni Best Performance Pakistan Nay Isi Match Mein Dikhai, Batting Mein, Bowling Mein, Balkay Fielding Mein Bhi. Aur Phir Teesri Martaba T20 World Cup Ka Final Mil Gaya. Insha Allah Jeetay Ga Bhi.
Pakistan T20 World Cup 2022 Mein
Result | Margin | vs. | Date | |
---|---|---|---|---|
![]() | Lost | 4 Wkts. | ![]() | 23 Oct '22 |
![]() | Lost | 1 Run | ![]() | 27 Oct '22 |
![]() | Won | 6 Wkts. | ![]() | 30 Oct '22 |
![]() | Won | 33 Runs | ![]() | 3 Nov '22 |
![]() | Won | 5 Wkts. | ![]() | 6 Nov '22 |
![]() | Won | 7 Wkts. | ![]() | 9 Nov '22 |
![]() | - | - | ![]() | 13 Nov '22 |
To Agar Kisi Ko Cricket Par Koi Movie Banani Ho To Bhai! Script Ready Hay, Aap Aagay Ki Tayari Pakrain Bus!