India Say Aakhri Gaind Par Haaray, Zimbabwe Say Bhi Last Ball Par Shikast Khai. Phir Reh Kya Gaya Tha? Laikin Yaad Rakhain Ke “Maulay Nu Maula Na Maray Te Maula Nai Marda!" Pakistan World Cup Ka Maula Jatt Ban Kar Ubhra Hay.

Pakistan Cricket Team T20 World Cup Main Waqai Maula Jatt Ban Kar Samnay Aai Hay. Jo Sub Say Pehlay Saman Pack Karkay Airport Jati Nazar Aa Rahi Thi, Ab Semi Final Ki Tayari Kar Rahi Hay.

Laikin Ye Sub Hua Kaisay? Kahani Shuroo Hoti Hay MCG Say. Aik Aisa Muqabla Jisay Koi Kabhi Nahi Bhool Sakay Ga. Ho Sakta Hay Isay ‘Greatest T20 Of All-Time’ Bhi Kaha Jaey. Ye Tha Arch-Rivals Pakistan Aur India Kay Match.

90,000 Say Zyada Spectators Kay Samnay Ye Muqabla Gaya ‘Akhri Goli Aur Akhri Sipahi’ Tak. Aur India Nay Virat Kohli Ki Shandar Innings Ki Madad Say Ye Match Jeet Lia.

Yak Na Shudd...

Laikin Pakistan Kay Liay Asal ‘Heart-Breaker’ Tha Zimbabwe Kay Against Match. Yahan Pakistan Ko Apni Pehli Kamyabi Milni Chahiye Thi. Chase Kartay Huay Behtareen Position Main Bhi Tha. Laikin Middle Aur Lower-Order Nay Dhoka Day Dia. Pakistan Last Ball Par Sirf 1 Run Say Haar Gaya.

In Defeats Say Taqreeban Tay Ho Gaya Tha Ke Pakistan Bahar Hi Hoga. Australia Jaisi Team, Defending Champion Aur Host, Apnay First Match Main Shikast Kay Baad Sanbhal Nahi Pai. Aur Akhir Bahar Ho Hi Gai. Pakistan Nay To Phir 2 Matches Haaray.

Laikin Ye Pakistan Hay Bhayya! Pehlay Netherlands Ko Haraya, Is Tarah Ke Net Run Rate Ko Bhi Faida Puhancha. Dutch Batting Line Ko 91 Runs Par Limit Kia, Phir 14th Over Main Target Hasil Kia.

The Undertaker Moment

Pakistan Ka Asal ‘The Undertaker’ Moment Tha South Africa Kay Khilaf Match. Aisi Team Say Jo India Tak Ko Hara Chuki Thi Aur Tournament Favourite Samjhi Ja Rahi Thi. Laikin Aisi Situations Hi To Pakistan Ko ‘Cornered Tiger’ Banati Hain. Is Match Main Mohammad Haris Ki Toofani Batting Nay Pakistan Ka Intent Show Kia, Phir Iftikhar Ahmed Aur Shadab Khan Ki Wo Kamal Ki Innings, Jin Say Pakistan 185 Tak Puhancha.

Is T20 World Cup Main Buhat Kam Teams Nay Kisi Match Main Itna Barra Score Kia Tha. Yahi Nahi Phir Bowling Say Bhi South Africa Ko Hila Kar Rakh Dia. Proteas Peechay Reh Gaey, Shaheen Aagay Nikal Gaey.

Aik Umeed

Is Jeet Say Aik Umeed Paida Hui. Andheray Main Aik Chhoti Si Kiran. Wo Ye Ke Pakistan Super 12 Kay Last Match Main Bangladesh Ko Haraey. Ye To Bilkul Mumkin Tha, Laikin Jo Na-Mumkin Tha Wo Ye Ke Netherlands South Africa Ko Hara Day. Sochain, Is Ka Chance Kitna Hoga? 1,000 Main Say 1?

Magar Ye Din Hi Anhoni Ka Tha, Miracles Ka Din. Pakistan Aur Bangladesh Ka Match Honay Say Pehlay Hi Netherlands Nay Apni Best Performance Di. South Africa Ko 13 Runs Say Haraya Aur South Africa Ko Tournament Say Bahar Karkay Pakistan Ka Rasta Saaf Kardia.

Ab Pakistan Ka Naseeb Us Kay Hathon Main Tha. Bangladesh Ko Harana Hay Aur Semi-Final Main Jana Hay. Shaheen Afridi Nay Bangladesh Kay Khilaf Zabardast Bowling Ki Aur Phir Pakistan Jeet Gaya!

Kya ‘92 Wali Kahani Hay Qasam Say!

Be Afraid, Be Very Afraid

Aisi Situations Main Pakistan Say Khatarnaak Koi Team Nahi. Aur History Is Baat Ko Sabit Karti Hay. Is Liay New Zealand Ko Pareshan Hona Chahiye. Pakistan World Cup Say Pehlay New Zealand Kay Tour Par Hi Tha, Jahan Tri-Series Kay Final Main Isi New Zealand Ko Haraya Bhi Tha. Is Liay “Be Afraid, Be Very Afraid.”

شیئر

جواب لکھیں