Khoon Ki Insani Jism Main Hamesha Ehmeyat Hoti Hai.Khoon Ki Zaroorat Ya Jism Main Kami,Insaan Ko Mout Kay Munh Main Dhakeel Sakti Hay.Blood Transfusion Main Inqilabi Qadam Say Tibi Masail Per Qabou Pana Mumkin Hoga.

Dunya Main Pehli Baar Laboratory Main Tayyar Kerda Khoon Insaan Ko Lagaya Gaya Hay.UK Main Apni Nouyet Kay Pehlay Experiment Main Khoon Ki Kaam Miqdaar Jism Main Dhakil Ki Gai Hay.

Raftar Bharne Do
Blood Transfusion Main Inqilabi Qadam 1

Iss Experiment Main Masnoie Khoon Kay 2 Spoonful Miqdar Ko Jism Main Test Kiya Jaei Ga Kai Iss Kay Nataij Kaisay Hotay Hain.

Medical Experts Ka Kehna Hay Kay Khoon Ki Baray Paimanay Per Demand Tou Public Donars Say Hi Poori Ji Jai Gi.

Tahaam Laboratary Wala Khoon Nayab Aur Kaam Dastiyaab Khoon Ki Demand Poori Keray Ga.

Iss Tareka Kaar Kay Zariye Regular Blood Transfusion Kerwanay Walay Bhi Faida Utha Sakain Gae.

Blood Transfusion Per Doctors Ka Nazariya

University Of Bristol Kay Professor Ashley Toye Nay Bataya Kay Kuch Blood Groups Iss Qadaar Nayab Hotay Hain Kay Mulk Main Unn Kay Sirf 10 Loog Hi Donar Hotay Hain.

Unhonay Yeh Baataya India Main Identify Honay Walay Bombay Blood Group Kay UK Bhar Main Sirf 3 Unit Hain. Yeh Intehai Nayab Khoon Hota Hay.

Professor Ashley Toye Nay Bataya Kay Future Main Yeh Plan Hai Kay Aik Room Main Machines Hoon Jo Khoon Kay Normal Sample Say Laboratory Main Khoon Tayar Ker Rahi Hoon.

Laboratory Main Khoon Kaisay Tayar Hota Hay?

Iss Research Project Main Bristol,Cambridge Aur London Say Teams Maujoud Hain. NHS Blood And Transplant Main Honay Walay Iss Trial Main Khoon Kay Red Cells Per Focus Kiya Gaya.Red Blood Cells Lungs Say Oxygen Laiker Jism Kay Deegar Hisoon Taak Jatay Hain.

Raftar Bharne Do
Blood Transfusion Main Inqilabi Qadam 2

Iss Khoon Ki Tayari Kay Liye Khoon Ka Aik Pint Darkar Hota Hay. Iss Ki Miqdaar 470 ML Taak Hoti Hay.

Magnetic Beads Isstemaal Kerkai Stem Cells Ko Active Kiya Jata Hay Jo Red Blood Cells Banay Ki Salahiyat Rakhtay Hain.

Inn Stem Cells Ko Baari Tadaad Main Labs Main Tayyar Kiya Jata Hay.

Iss Kay Baad Yeh Red Blood Cells Main Dhaal Jatay Hain.

Iss Tarekaar Main 3 Weeks Ka Waqt Lagta Hay. Ibtedai Toar Per 5 Lakh Stem Cells Say 50 Arab Red Blood Cells Tayar Hojatay Hain.

Inn Ko Filter Kerkay 15 Arab Red Blood Cells Tayar Kiye Jatay Hain. Yeh Red Cells Transplant Kernay Kay Liye Tayar Hotay Hain.

Blood Transfusion Experiment Kin Loogn Per Kiya Gaya?

Initially 2 Afraad Ko Yeh Khoon Lagaya Gaya Hay. Taqreebun 10 Sehatmand Afraad Ko Yeh Khoon Lagaya Jaye Ga.

Inn Afraad Ko,4 Months Kay Break Say 5-10 ML Blood Transfuse Hoga. Inn Main Aik Sample Normal Khoon Aur Aik Sample Lab. Main Tayar Honay Walay Khoon Ka Hoga.

Lab. Walay Khoon Main Radioactive Substance Shamil Hoga. Is Kay Zariye Scientists Ko Ye Maloom Hosakay Ga Kay Yeh Kitnay Arsay Taak Jism Main Moujod Raha Hay.

Experts Nai Yeh Umeed Zahir Ki Hay Kay Lab. Wala Khoon Ziada Afadeyaat Rakhay Ga.

شیئر

جواب لکھیں