T20 World Cup Ka Is Say Ziada Dhamakay Daar Start Ho Nahi Sakta Tha. Aik Taraf Namibia Nay Sri Lanka Ko Upset Kia, To Baad Main Isi Ground Par Netherlands Aur United Arab Emirates Ka Kaantay Daar Muqabla Dekhnay Ko Mila. Jis Main Netherlands Nay Last Over Main Sirf 3 Wickets Say Kamyabi Hasil Ki. Yani Pehlay Hi Din Maza Aa Gaya!

Is Match Main Toss Jeeta Emirates Nay Aur Pehlay Khud Khelnay Ka Faisla Kia. Start Main Wickets To Nahi Deen, Laikin Khela Buhat Slow. Openers Chirag Suri Nay 20 Balls Par Sirf 12 Runs Banaey, Aur Muhammad Waseem 41 Runs Kay Sath Top Scorer To Rahay, Laikin 47 Balls Khel gaey. Phir Kashif Daud 14 Ball 15 Aur Vriitya Aravind 21 Balls Par 18 Bana Sakay.

Yahi Waja Hay Ke UAE Aik Bara Total Nahi Bana Saka. 16 Overs Main Bhi Sirf 91 Runs Runs Thay. 7 Wickets Kay Hotay Huay Last 4 Overs Ka Faida Uthaya Ja Sakta Tha Laikin 5 Wickets Day Kar Bhi In Overs Main Sirf 20 Runs Ban Sakay.

Netherlands Nay Apnay Experience Ka Khoob Istamal Kia Aur Death Overs Main Buhat Achhi Bowling Ki. Phir Batting Main Bhi Buhat Nazuk Situation Main Bhi Match Bacha Liya.

Target To Sirf 112 Ka Tha, Phir Start Bhi Achha Mila. 6th Over Main 41 Runs Ban Chukay Thay Jin Main Max O'Dowd Ka Aik Karara Six Bhi Shamil Tha.

Laikin Phir Match Phansta Chala Gaya. 14th Over Main Tom Cooper Ki Wicket Girnay Kay Baad To Buhat Hi Thrilling Stage Main Chala Gaya. Ye UAE Kay Junaid Siddique Thay Jinhon Nay Aik Hi Over Main Cooper Aur Phir Roelof Van Der Merwe Ko Out Kia Tha. Wo Tim Pringle Ko Bhi Out Kar Daitay Agar Captain Chundangapoyil Rizwan Un Ka Easy Catch Drop Na Kartay.

Aik Low-Scoring Match Main Aisa Drop Buhat Mehgna Parra. Tim Pringle Nay 16 Balls Par 15 Runs Banaey. Laikin 76 Par 6 Out Honay Kay Baad Bhi Match Bachaya Scott Edwards Ki Captain Innings Ki Waja Say. Unhon Nay 19 Balls Par 16 Runs Banaey Aur Last Over Ki 5th Ball Par Netherlands Ko Target Tak Puhancha Dia.

Netherlands Ab Agla Match Namibia Say Khelay Ga, Jo Sri Lanka Ko Hara Chuka Hay. UAE Ka Muqala Sri Lanka Say Hoga Jo Is Waqt Zakhmi Sher Bana Hua Hay. Is Liay Umeed Hay Ke Aglay Matches Buhat Achhay Hongay.

شیئر

جواب لکھیں