Indonesia Ke Jazeeray Bali Main US President Biden Ne Chinese President Xi Jinping Se Mulaqat Ki Jo 3 Hours Tak Jari Rahi.
White House Nay Bayan Main Kaha Hay Ke President Biden Aur Chinese President Xi Jinping Nay Ittafaq Kia Kay Atomic War Kabhi Nahi Honi Chahiye.
Mulaqaat Main Biden Ne Kaha Ke Super Powers Ke Zimadari Hai Kay Duniya Ko Dikhain Ke Wo Apnay Ikhtalafat Sanbhal Saktay Hain Aur Aapas Kay Muqablay Ko Tanaza Main Tabdeel Honay Se Rok Satke Hain. Biden Nay Kaha Ke USA China Kay Sath Muqaabla Jari Rakhay Ga Lekin Muqaabla Tanazay Main Nahi Badalna Chahiye.
China Ke Kehna Hai Ke Mulaqaat Main Chinese President Nay US President Ko Bataya Ke Hamein Ukraine Ke Halaat Par Sakht Tashweesh Hai. China, Ukraine Aur Russia Ka Masala Baat Cheet Say Hal Karnay Ka Hami Hay.
Taiwan Issue Per Chinese President Ne Kaha Ke Taiwan China Ke Bunyadi Mafadaat Ka Hissa Hai, Taiwan Red Line Hai Jo America-China Taluqaat Main Uboor Nahi Honi Chahiye. Kisi Ka Taiwan Ko China Se Alehda Dekhna Cheeni Qoum Ke Bunyadi Haqooq Ki Khilaaf Warzi Hoga. Taiwan Ka Masla Hal Karna China Ka Androoni Maamla Hai. Umeed Hai America 'One China Policy' Ka Ehtaram Karay Ga.