Aik Mash’hoor American Publisher Hay Merriam-Webster, Jo Apni Dictionaries Ki Waja Dunya Bhar Mein Famous Hay. Saal 2022 Kay Liay Is Ka ‘Word Of The Year’ Hay ‘Gaslighting’.
Normally Koi Khaas Event Hota Hay Jis Kay Baad Kisi Word Ki Search Aasman Ko Puhanch Jati Hay. Laikin Gaslighting Kay Ma’mlay Mein Aisa Kuchh Nahi Hua. Is Word Ki Search Buhat Tezi Say Barhi Hay, Especially Last Four Years Mein.
Gaslighting Hay Kya?
Word “Gaslighting” Us Psychological Pressure Ko Kehtay Hain Jo Aam Taur Par Kisi Relationship Mein Abusers Kartay Hain.
Merriam-Webster Kehta Hay Ke Ye Kisi Shakhs Ki Psychological Manipulation Ko Kehtay Hain, Jo Aik Taweel Arsay Kay Douran Ki Jaey. Is Say Victim Ko Apni Soch Aur Yad’daasht Par Hi Shak Honay Lagta Hay Aur Wo Confusion Ka Shikar Ho Jata Hay. Us Mein Confidence Aur Self-Esteem Buhat Kam Ho Jata Hay. Aur Emotional Aur Mental Stability Khatam Honay Ki Waja Say Wo Gaslighting Karnay Walay Par Hi Dependent Ho Jata Hay.
Ye Word Kab Samnay Aaya?
Gaslighting Chahay 2022 Mein Sab Say Zyada Search Ho Raha Ho, Laikin Ye Koi New Word Nahi Hay. Pehli Baar Ye 80 Saal Pehlay Aik Drama ‘Gas Light’ Say Samnay Aaya Tha. Jo 1938 Mein Patrick Hamilton Nay Likha Tha. 1940s Mein Is Par 2 Movies Bhi Baneen. Jin Mein Say 1944 Ki George Cukor Ki Gaslight Buhat Mash'hoor Hui.
Is Film Mein Ingrid Bergman Nay Paula Alquist Ka Kirdar Ada Kia Tha, Aur Charles Boyer Nay Gregory Anton Ka. Donon Ki Shadi Hoti Hay Aur Phir Gregory Aik ‘Gaslighter’ Ban Jata Hay.
Aur Kaun Say Word Search Huay?
2022 Mein Gaslighting Kay Ilawa Deepfakes Aur Dark Web Bhi Buhat Search Huay. Yahi Nahi Deep States, Fake News Aur Trolling Ki Bhi Ronzana Ki Bunyad Par Searching Ki Gai.
Last Year Yani 2021 Mein Vaccine Ka Word Number One Tha, Ye Batanay Ki Zarurat Hi Nahi Ke Aisa Kyun Hua.
2022 Kay Top 10 Most Searched Words
Sirf Merriam-Webster.com Par
- Gaslight
- Oligarch - Russia-Ukraine War Ki Waja Say
- Omicron - COVID-19 Ka Variant Phelnay Ki Waja Say
- Codify
- Queen Consort - Prince Charles Kay King Ban'nay Ki Waja Say
- Raid
- Sentient - AI System Kay Ehsaas Rakhnay Ki Khabar Ki Waja Say
- Cancel Culture
- LGBTQIA
- Loamy - Online Word Game Wordle Ki Waja Say
Merriam-Webster ‘Word Of The Year’ Ka Intikhab Apnay Pageviews Ki Bunyad Par Karta Hay. Waisay Aik Sawal Zehn Mein Aata Hay Ke Agar Urdu Kay Words Ki Bhi Aisi Koi List Banti To 2022 Mein Sab Say Zyada Search Honay Wala Lafz Kaun Sa Hota? Aap Kya Kehtay Hain?