FIFA World Cup Kay Round Of 16 Mein Brazil Aur South Korea Ka Match Qatar Kay Stadium 974 Mein Khela Gaya. Wohi Stadium Jo Apnay Unique Name Aur Architecture Ki Waja Say Dunya Bhar Mein Mash’hur Hay.

Brazil Ki 4-1 Say Kamyabi Kay Sath Stadium 974 Kay Matches Bhi Khatam Huay. Ab Yahan Koi Match Nahi Khela Jaey Ga, World Cup To Kya, Ho Saktay Hay Is Kay Baad Bhi Yahan Kabhi Koi Match Na Ho. Youn World Cup Kay 7 Matches Host Karnay Wala Stadium 974 Tareekh Mein Amar Ho Jaey Ga.

Asal Mein World Cup Kay Host Stadiums Kay Liay FIFA Buhat Strict Rules Rakhta Hay. Jaisay Main Stadium 80,000 Ki Capacity Rakhta Ho. Yahi Nahi Balka Semi-Final Kay Liay Bhi Maidanon Mein 60,000 Spectators Ki Gunjaish Lazmi Hay. Baqi Stadiums Bhi Minimum 40,000 Ki Capacity Rakhtay Hon. Ab Qatar Jaisa Mulk, Jis Ki Abadi 30 Lakh Bhi Nahi, Sochnay Laga Ke Wo World Cup Kay Baad Itnay Baray Stadiums Ka Kya Karay Ga?

Stadium 974 Ka Idea

Tabhi Idea Aya Temporary Stadium Bananay Ka, Aur 974 Shipping Containers Say Banaya Gaya Ye Stadium 974. Ye Containers Stadium Kay Interior Aur Exterior Mein Har Jaga Nazar Aatay Hain. Phir Ye 974 Ka Number Bhi Koi Ittefaq Nahi, Balkay Mulk Ka International Dialing Code Bhi Yahi Hay.

Stadium 974 Dunya Ka Pehla Temporary Stadium Hay. FIFA World Cup 2022 Kay Baad Isay Dismantle Kardia Jaey Ga. Kaha Ja Raha Hay Ke Is Stadium Kay Pieces Un Mulkon Ko Donate Kiay Jaen Gay, Jo Aisa Maidan Bananay Kay Liay Funds Nahi Rakhtay. Laikin Kab Aur Kaisay? Ye Fil’haal Nahi Pata.

Doha Kay District Ras Abu Aboud Mein Mojoud Stadium 974 Mein 40,000 Ki Capacity Hay. World Cup Say Pehlay Yahan Aik Saal Mein 6 International Matches Huay Thy. Aur Phir World Cup Kay Dauran Yahan Group Stage Kay 6 Aur Round Of 16 Ka 1 Match Bhi Khela Gaya.

Baqi Stadiums Ka Kya Hoga?

Qatar Nay FIFA World Cup 2022 Kay Liay 200 Billion Dollars Say Zyada Kharch Kiay Hain, Jin Mein Stadiums Kay Ilawa Infrastructure Par Investment Bhi Shamil Hay. Sawal Ye Hay Ke 30 Lakh Say Bhi Kam Population Rakhnay Wala Ye Mulk Itnay Baray Stadiums Ka Karay Ga Kya?

Aik To Qatar Mein Sports Kay Buhat Say Mega Events Honay Hain, Jaisay 2024 Mein AFC Asian Cup, Phir 2026 Key FIFA World Cup Kay Liay Qualifying Matches Bhi Hain, Jin Mein Ye Stadiums Istaymal Hongay. Tab Tak Stadium 974 Hoga Ya Nahi, Is Baray Mein Kuch Nahi Kaha Ja Sakta. 

Kaha Ja Rahay Hay Ke Lusail Stadium Mein School, Shops, Sporting Facilities Aur Health Clinic Banaey Jaen Gay. Phir Al Bayt Stadium Mein Aik Five Start Hotel, Shopping Mall Aur Sports Medicine Clinic Bhi Hoga. 2 Stadiums Local Clubs Istaymal Karain Gay: Ahmad Bin Ali Stadium Al Rayyan Club Ka Aur Al Janoub Stadium Al Wakrah Club Ka Hoga.

Khalifa International Stadium National Games Ka Mezban Bhi Hoga Aur FIFA World Cup 2026 Kay Qualifying Round Kay Games Ka Host Banay Ga.

Phir Qatar Asian Games 2030 Ki Mezbani Bhi Karay Ga, Jis Mein Taqreeban Olympics Jitney Athletes Hi Hissa Laitay Hain. Is Liay Ye Stadium Veeran To Nahi Hongay. Haan! Olympics 2036 Kay Liay Qatar Ki Bid Kamyab Ho Gai To Ballay Ballay Ho Jaey Gi.

شیئر

جواب لکھیں