Author: افضال فاروقی

Maryam Nawaz Nay Arshad Shareef Kay Khilaaf Aik Aisi Tweet Ki Jis Per Social Media Per Toufaan Barpa Hogaya. Twitter Per Arshad Sharif Kay Coffin Ko Kenya Say Rawangi Kay Waqt, Airport Per Li Gaei Aik Tasweer Ko PML (N) Kay Supporter Nay Tweet Kiya. https://youtu.be/_KofAKpZoxM Uss Tweet Main Pakistan Tehreek Insaaf Kay Liye Nazaiba Baat Bhi Ke Gaey. https://twitter.com/mona_qau/status/1584846924896927745?s=20&t=4_q6jsILnfOuI79UJQ-dYA Maryam Nawaz Nay Iss Tweet Ko Re-Tweet Kertay Hoay Kuch Aisi Baatain Likhein Kay Parhnay Waloon Nay Iss Per Shadeed Ehtejaaj Kiya. Maryam Kay Tweet Kay Jawab Main Arshad Sharif Ki Bivi Javeria Nay Tweet Kiya Jiss Main Kulsoom Nawaz…

مزید پڑھیں

Social Media Ki Maroof Application Whatsapp Ki Services Dunya Bhar Main Down Hogaein. Whatsapp Down Honay Say Arabon Customers Ko Shadeed Mushkilaat Ka Samna Kerna Para. Whatsapp Kaam Na Kernay Ki Waja Say Customers Messages Send Aur Receive Kernay Say Mehroom Rahay. Thori Hi Dair Mai Twitter Per Bhi Whatsapp Crash Honay Ya Kaam Na Kernay Kay Messages Ka Tantaa Bandh Gaya Aur Yeh Daikhtay He Daikhtay Top Trend Band Gaya.

مزید پڑھیں

Asian Development Bank Nay Pakistan Kay Liye 1.5 Arab Dollar Kay Loan Ki Manzoori Dai Di Hay. Asian Developmen Bank Kay Mutabiq Ye Raqam Social Protection Aur Food Security Kay Liye Istemaal Ki Jai Gi. https://twitter.com/ADB_HQ/status/1583370794528538624?s=20&t=qaZf4ZpOXc-Hd3o3s7w0tQ Asian Development Bank Nay Kaha Hay Kay Pakistan Mai Sailaab Say 33 Million Log Mutasir Hoay Hain. Pakistan Ko Sailaab Sai Mutasara Ilaqon Ki Bahali Kay Liye Arabon Rupees Imdaad Ki Zaroorat Hay Aur Dunya Kay Kai Mumalik Nay Aid Denay Ka Wada Kiya Hay.

مزید پڑھیں

Mawra Hocane Nay Apnay Balon Say Mufarid Andaz May 8 Ka Hindsa Bana Ker Loogon Ko Shash o Panj Mai Daal Diya. Mawra Hocane Nay Aik Ya 2 Bar Nahe Balkay 5 Bar Apnay Balon Say 8 Likh Diya. Social Media Per Jaari Honay Wali Tasweer Mai Who Apnay Balon Kai Sath Muskurati Hoi Nazar Arahi Hain. Instagram Per  Mawra Hocane Nay Bataya Kay Unhonay Aisa Kion Kiya. Un Ka Kehna Tha Kai Un Kay Followers Ki Tadaad 80 Lakh Hogai Hay. In 80 Lakh Followers Ko Khush Karnay Kay Liye Mawra Nay Apnay Baal Iss Tara Banaye Kay 5…

مزید پڑھیں

England Ki Prime Minister Liz Truss Nay Sirf 45 Dinn Mai Resign Kerdiya. Liz Truss Ko Apni Policies Ki Waja Say Sakht Tanqeed Ka Samna Tha. Tory Party Kay Naye Leader Kay Intekhab Kay Liye Aglay Haftay Election Hongay Jis Kay Baad England Kay Naye Prime Minister Ka Naam Samnay Ajaei Ga. UnHonay Apnay Wazeer e Khazana Ko Chand Roz Qabul Fariq Kerdia Tha Jabkay Unki Cabinet Main Wazeer e Dakhla Bhi Resign Ker Gaye Thay. https://twitter.com/trussliz/status/1583089423876440064?s=20&t=8nKU7j1943J4JfZpu7LwEA Unhonay Yeh Bhi Bataya Kay Badshah Charles Ko Iss Faisalay Say Agah Kerdia Hay. Liz Truss England Ki Saab Say Kum Mudaat Taak…

مزید پڑھیں

Pakistan Nay Saudia Arabia Ki Janib Say OPEC + Oil Production Kam Kernay Kay Decision Ko Support Kiya Hay. OPEC + Nay Kuch Roz Qabul Apni Oil Production Ko Kam Karnay (2 million barrel Per Day ) Ka Faisala Kiya Tha Jiski Waja Say American Officials Bauhat Naraz Hoay Thay, Aur Kaha Tha Kay Saudia Arab Kay Sath Taluqaat Ka Asar-Nou Jaisa Liya Jaye Ga. Oil Production Kam Kernay Ki Waja High Interest Rates Aur Kamzor Global Economy Bataie Gai Hay. Pakistani Ministry of Foreign Affairs Ki Janib Say Kaha Gaya Hay Kay Saudia Arab Ki Janib Say Oil Production…

مزید پڑھیں

Rupee Ki Qadar Mai Kami Ka Silsila Jari Hay Aur Interbank Main Dollar Aik Martaba Phir 200 Rupees Say Tajawuz Kergaya Hay. Mulk Ki Currency Markets May Guzashta Haftay Say Rupee Kay Muqablay May Dollar Ki Qadar Barh Rahi Hay. Wednesday Ko Bhi Dollar Mazeed Tagra Hoa Aur Interbank Main 200 Rupees Say Tajawuz Kergaya. Open Market Main Bhi Dollar Ki Qadar Barh Rahi Hay. Dollar Ki Qadar 228 Rupees Tak Chali Gai Hay. Wazeer Khazana Ishaq Dar Keh Chukay Hain Kay Dollar Ki Asal Qadar Kisi Bhi Tarhan 200 Rupees Say Ziada Nahe Hay.

مزید پڑھیں

Korean Band BTS Ko Pasand Kernay Waloon Kay Liya Buri Khabar Yeh Hay Kay Band Nay Lambay Arsay Taak Industry Say Doar Rehnay Ka Faisala Kiya Hay. BTS Kay Singer Korea Ki Lazmi Army Training May Hisa Lainay Kay liye Ja Rahay Hain. Band Kay Singer Sab Say Pehlay Training Per Rawana Hongay Aur Baqi Members Bhi Apni Bari Per Iss Army Traning Ka Hisa Ban Jaein Gae. Imkaan Hay Kay Aab Yeh Musical Band 2025 Main Hi Dobara Aik Sath Perform Ker Sakay Ga. Korea Main 18 Saal Say 28 Saal Taak Kay Tamam Sheriyun Ko Army Training Hasil…

مزید پڑھیں

Supreme Court Of Pakistan Nay Shahzaib Qatal Case Kay Mulzim Shahrukh Jatoi Ko Sathiyun Samait Bari Kerdiya. 18 October Ko Supreme Court May Justice Ijaz ul Hasan Ki Sarbarahi May Supreme Court Kay 3 Rukni Bench Nay Shahzaib Qatal Case May Shahrukh Jatoi Samait Deegar Mulziman Ki Baryat Ki Darkhawst Per Samaat Ki. Mulziman Kay Wakeel Latif Khosa Nay Adalaat Ko Bataya Kay Dehshatgardi Kai Hawalay Say Supreme Court Ka Faisala Wazaih Hay, Mulziman Ka Dehshat Phailanay Ka Koi Irada Nahe Tha, Iss Qatal Ko Dehshatgardi Ka Rung Diya Gaya. Unhonay Kaha Kay Fareqain Ka Pehlay Hi Razi Nama Ho…

مزید پڑھیں