Author: افضال فاروقی

America Nay Pakistan Kay Atomic Program Per Etemaad Ka Izhar Kerdia Hay. State Department Nay Kaha Hay Kai Pakistan Kai Pass Atomic Program Ko Chalanay Ki Salahiyat Hay. President Joe Biden Kai Pakistan Say Mutaliq Bayan Kai Baad US State Department Ki Taraf Sai Aik Naya Bayan Diya Gaya Hay. Monday Ki Raat,US State Department Kay Spokesman Vedant Patel Nay Press Briefing May Reporter Ko Bataya Kay America Pur Etemaad Hay Kay Pakistan Kai Pass Atomic Program Chalanay Aur Uss Ko Control Kernay Ki Salahiyat Hay. Unhonay Kaha Kay America Hamesha Aisa Samajta Hay Kay Mehfooz Aur Taraqi Kerta Pakistan…

مزید پڑھیں

Doctor Ka Profession Aisa Hay Jis Mai Sari Zingadi Practice Hoti Hay. Aap Mareez Ka Ilaj Kernay Mai Kitnay Hi Mahir Kion Na Hon, Aap Kai Profession Kai Sath Practicing Doctor Likha Jata Hay. American State Ohio Kai Doctor Howard Ki Age 100 years Say Ziada Hai Aur Woh Aaj Bhi Mareezon Ko Daikhtay Hain. Un Ka Naam Guinness World Records Mai Oldest Practicing Doctor Kai Toar Per Darj Kiya Gaya Hay. July Mai Woh 100 Saal Kai Hogay Thay Aur Iss Doran Un ko Corona Bhi Hoa, Taham Unhonay ZOOM Kai Zariya Apnay Mareezon Ko Daikhnay Ka Silsila Jari…

مزید پڑھیں

Financial Action Task Force (FATF) Kay Working Group Aur Plenary Meetings 20 Aur 21 October Ko Paris Main Hon Gi. Iss Meeting Main Pakistan Ko Grey List Say Nikalnay Kay Hawalay Say Bhi Faisala Kia Jaye Ga. Meeting Kay Ikhtitam Per FATF Kay President Raj Kumar Press Conference Karain Gay Jis May Pakistan Kay Hawalay Say Ahem Ilan Mutawaqu Hay. Pakistan Ko June 2018 Ko Monitoring List Main Shamil kia Gia Tha Pakistan Ki Taraf Say 27 Points Action Plan Per Amal Daramad Ki Yaqeen Dahani Karai Gai The, Kuch Arsay Baad Action Points 34 Ker Diye Gaye. Pakistan Nay…

مزید پڑھیں

Wazeer Khazana Ishaq Dar Nay Kaha Hay Kai Pakistan Apnay Saray Loans Waqt Per Ada Kerdai Ga Aur Iss Hawalay Sai IMF Ki Ghalt Fehmi Dour Kerdi Hay. Voice Of America Ko Interview Daitay Hoay Ishaq Dar Nay Kaha Hum Nay Siyasat Kai Bajai Riyasat Bachanay Ka Faisala Kiya Jis Ki Qeemat Hum Ko Ada Kerna Par Rahi Hay. Wazeer Khazana Nay Bataya Kai Moujouda Government Ki Tawaju Basic Issues Per Hay Jis Mai Currency Ki Value Mustehkum Rakhna Awaleen Tarjeeh Hay. Dollar Say Mutaliq Ishaq Dar Ka Kehna Tha Kai American Currency Ki Asal Qadar Rs.200 Say Neechay Banti…

مزید پڑھیں

Doha Mai Street Football World Cup Mai Pakistan Ko Egypt Nay Final Mai Shikast Dai Ker Title Jeet Liya. Street Football World Cup Kai 4th Edition Kay Final Match Mai Egypt Nay Pakistan Ko Penalty Shoots Per 3 Kai Muqablay May 4 Goals Sai Shikast Di. https://twitter.com/mibrahimrauf94/status/1581327713637322752?s=20 Iss Say Phelay, Semi Final Match May Pakistan Nay Brazil Ko Shikast Dai Ker Final Mai Jaga Banai Thei. https://twitter.com/AnasMallick/status/1581311416459350016?s=20&t=NoyDUTc3_bbGEta9JFL4aw Semi Final Mai Muqrara Waqt Tak Match Baghair Kisi Goal Kai Barabar Tha. Match Ka Faisala Penalty Kicks Per Hoa Tha. Pakistan Nay Quarter Final Mai Tanzania Ko Shikast Di Thei.

مزید پڑھیں

Adakara Syra Yousuf Nay Dosri Shahdi Kernay Ka Imkaan Zahir Kerdia Hay. Aik Fashion Magazine ko Interview Daitay Hoay Syra Nay Dosri Shahdi Say Mutaliq Khul Ker Baat Ki. Unhonay Apnay Phelay Shouhar Ka Zikar Nahe Kiya Shahdiyun Kay Nakaam Honay Per Baat Ki. Syra Nay Kaha Kai Shahdi Kertay Hoay Muhabaat Say Ziada Apni Izzat Aur Hifazat Ka Khayal Rakhna Chaheye. Adakara Ka Kehna Tha Kay Jis Say Shahdi Ker Rahi Hain, Uss Kai Sath Ba Izzat Aur Hifazat Say Reh Sakti Hain. Unhonay Nay Shahdi Ko Aik Behtareen Aur Khoubsurat Cheaz Qaraar Diya. Syra Nay Wazay Kerdia Kai…

مزید پڑھیں

Harry Potter May Yaadgar Kirdar Ada Kernay Walay Robbie Coltrane 72 Years Ki Age Mai Inteqal Ker Gaye. Media Reports Mai Bataya Gaya Hay Kai Robbie Coltrane Kuch Arsay Say Beemar Thay Tahum Un Ki Maut Ki Asal Waja Nahe Batai Gai Hay. https://twitter.com/wizardingworld/status/1580972477072568320?s=20&t=wCx_h67usAak-IXajDEapw Harry Porter Film Franchise Ki Taraf Sai Bataya Gaya Kai Robbie Coltrane Kai Inteqal per Shadeed Afsoos Hoa Hay, Unhonay Film Mai Hagrid Ka Charater Ada Kiya Tha. Film Franchise Nay Robbie Coltrane Ko Behtareen Actor Aur Saab Ka Dost Qaraar Diya. https://twitter.com/hbomax/status/1581042165156909062?s=20&t=wCx_h67usAak-IXajDEapw Harry Potter Mai Markazi Kirdar Ada Kernay Walay Daniel Radcliffe Nay Kaha Kai…

مزید پڑھیں

Wazeer Khazana Ishaq Dar Nay Keh Diya Hay Kai Pakistan Non-Paris Club Kay $27 billion Kay Loan Ko Reschedule Keraye Ga. Loan Per Default Honay Ka Koi Khatra Nahe Hay. Ghair Mulki Khabar Agency Ko Interview Daitay Hoay Wazeer Khazana Ishaq Dar Nay Kaha Kai Pakistan Mai Sailaab Kai Baad Development Banks Aur Donors Bauhat Flexible Hain. Unhonay Bataya Kay Pakistan Ki Foreign Payments $32 Billion Ki Hain. Loan Maaf Kernay Ya Un Mai Kami Kai Sawal Per Ishaq Dar Nay Bataya Kay Hum Sirf Loan Reschedule Kernay Ka Soch Rahai Hain, Wohi Kafi Hay. Iss Kai Sath Hi Unhonay…

مزید پڑھیں

Chairman Pakistan Tehreek Insaaf Nay Kaha Hai Kai Iss Baar Wifaq Kay Sath Sindh Mai Bhi Government Banayen Gay. Karachi Main Baldiyati Election Kay Umeedwaron Say Khitab Kartay Huye Imran Khan Nay Shehar Kay Logon Ko Saraha Aur Un ko Mulk Main Sab Say Ziyada Political Awareness Rakhnay Walay Log Qarar Diya. Unhon Nay Kaha Kay Karachi Tehreek-e-Insaaf Ka Shehar Hay, Aik Waqt Tha Kay Yahan Say Tamaam Political Struggle Ki Shuruat Hoti Thi Aur Hum Chahtay Hain Kay Wo Waqt Wapas Aaye. https://youtu.be/agmeKDEh6CA Imran Khan Nay Kaha Kay PTI Ab Wifaq Kay Ilawa Sindh Main Bhi Hukumat Banaye Gi…

مزید پڑھیں

Quaid e Azam University Ko Pakistan Ki Behtaren University Qarar Diya Gaya Hay. Dunya Ki Behtaren University Ki Ranking Times Higher Education Nay Ranking Jari Ker Di Hay. Iss Ranking Kai Mutabiq Quaid e Azam Univeristy Ka shumaar Dunya Ki 500 Behtaren Universties Mai Hota Hay. Iss Ranking Mai Pakistan May Government College University Faisalabad Ka Dosra Number Hay. Teesray Number Per Lahore University Of Management And Technology Hay. Inn Dono Universities Ki Ranking 500 Say 600 Kay Darmayan Hay. Iss Ranking Mai 601 Say 800 Tak Kai Darmiyan Ki Ranking Mai Pakistan Sai Bhi Kuch Universities Kai Naam Aei…

مزید پڑھیں