Author: افضال فاروقی

Bollywood Kay King Khan Shahrukh Khan Ki New Movie “Pathaan” Ka Teaser Release Kerdia Gaya Hay. Film Critics Nay Teaser Per Milay Jhulay Rad e Amaal Ka Izhar Kiya Hay. Unhonay Shahrukh Khan Ki Come Back Movie Ko Kai Dosri Movies Ka Charba Bhi Qaraar Diya. “Pathaan” Movie 2023 Main Release Ki Jaei Gi Aur Iss Say Film Industry Ko Bauhat Si Tawaquat Hain.

مزید پڑھیں

Pakistan Tehreek Insaaf Kay Long March Kay Doraan Wazirabad Per Imran Khan Kay Container Per Firing Hoi. Imran Khan Qatilana Hamlay ( Murder Attempt ) Main Zakhmi Hoay Hain. Aik Shaks Kay Hanbahaq Honay Ki Tazdeek Hoi Hay. 14 Afraad Zakhmi Hoay Hain Jis Mai PTI Kay Leaders Bhi Shamil Hain. Mubayana Hamla Awar Ko Giraftar Kerliya Gaya. Wazirabad Kay Allahwala Chowk Main Thursday Afternoon Ko Imran Khan Kai Container Per Firing Hoi. Details Kay Mutabiq Imran Khan Mamoli Zakhmi Hoay Hain. Dr. Yasmeen Rashid Nay Imran Khan Kay Zakhmi Honay Ki Tazdeek Ki Hay. Italaat Hain Kay Imran Khan…

مزید پڑھیں

South Korea Kay Joint Chiefs Of Staff Nay Dawa Kiya Hay Kay North Korea Nay Intercontinental Ballistic Missile Ka Tajarba Kiya Tahaam Ye Nakaam Raha. North Korea Ki Taraf Say Iss Year Intercontinental Ballistic Missile Ka 7th Tajarba Kiya Gaya. Yeh Missile Doraan Parwaz He Nakaam Hogaya Aur Samandar Main Gir Gaya. https://twitter.com/Reuters/status/1588089850305060866?s=20&t=mc-HwTqT9BCF9msC85cPHg Thursday Ki Subah Fire Honay Wala Ye Missile 760 Kilometer Taak Gaya Aur Iss Ki Height 1920 Kilometer Thei. North Korea Ki Taraf Say Dou Short Rang Ballistic Missile Bhi Fire Kiye Gaey. Missile Kay In Tajarbaat Ki Waja Say Japan Nay Apnay Kuch Northern Areas Kay…

مزید پڑھیں

Shair Jungle Ka Badshah Hota Hay Aur Ager Yeh Apnay Cage Say Bahar Ajaei Tou Achay Achon Kay Chakay Chout Jatay Hain. Aisa He Kuch Australia Main Hoa Jahan Aik Sath 5 Shair Bahar Gaye. Sydney Kay Taronga Zoo Main Wednesday Ko Aik Shair Apnay 4 Bachon Kay Sath Pinjaray Say Bahar Agaya. Iss Mouqay Per Zoo Main Lockdown Nafiz Kerdia Gaya. https://twitter.com/Independent/status/1587723938821541888?s=20&t=eZQeAtG-igTSZZyV95km7w Shair Kay Aik Bachay Ko Injection Laga Ker Qabou Kiya Gaya Taham Surat e Haal Kharab Nahi Hoi Tamaam Shair Ko Dobara Pinjaray Main Muntaqil Ker Diya Gaya. Iss Incident Main Koi Shakz Zakhmi Nahi Hoa. Shair…

مزید پڑھیں

Bollywood Ki Haseen Tareen Adakara Aur Sabiq Miss World Aishwarya Rai Bachchan Nay Zindagi Ki 49 Baharain Daikh Li Hain Aur 1st November Ko Unka Birthday Hay. Aishwarya Rai Bachchan Nay Mangaluru ( Former Banglore ) Main Ankh Kholi. 1994 Main Miss World Ka Title Hasil Kernay Kay Baad Woh Chah Surkhiyon Ki Zeenaat Banein. 1997 Main Tamil Movie “Iruvar” Say Film Industry Main Qadam Rakha Aur Uss Hi Saal “Aur Piyar Hogaya” Movie Say Hindi Movies Main Debut Kiya. 1999 Main Unhonay Blockbuster Movie “Hum Dil Day Chukay Sanam” Say Madahon Kay Dil Main Ghar Kerliya. 2000 Main, Shahrukh…

مزید پڑھیں

Gold Prices Main Kaami Ka Silsila Ruk Gaya Aur Gold Phir Mehnga Hona Shuru Hogaya. Monday Ko Gold Ki Price Main Kaami Aei Thei Tahaam Tuesday Ko Mulk Kay Sarafa Bazaron Main Gold Prices Barh Gaein. Tuesday Ko International Market Main Gold Price 13 Dollar Izafay Kay Baad 1653 Dollar Fi Ounce Ka Hogaya. International Market Main Gold Price Main Izafay Ka Asar Pakistan Ki Market Per Bhi Para. Tuesday Ko Gold Price Ki Fi Tola Price Main 1100 Rupees Ka Izafa Hoa Aur Price 1 Lakh 51 Hazaar 100 Rupees Hogai. 100 Gram Gold Price Kay Rate Main 944…

مزید پڑھیں

Arshad Sharif Kay Qatal Ki Tehqeqaat Kay Liye Government Nay 3 Rukni Inquiry Commission Qaim Kerdia Hay. Lahore High Court Kay Sabiqa Judge Justice ® Abdul Shakoor Iss Commission Kay Serbarah Hongay. Additional IG Police Dr. Usman Anwer, Deputy Director IB Umar Shahid Hamid Bhi Commission Kay Member Hongay. Umar Shahid Hamid Iss Waqt Investigation Team Kay Sath Kenya Bhi Gaye Howay Hain. Commission Bananay Ka Faisala Pakistan Commission Of Inquiry Act 2017 Kay Tehaat Kiya Gaya Hay. Prime Minister Shehbaz Sharif Nay Arshad Sharif Kay Qatal Per Inquiry Commission Qaim Kernay Ki Hidayaat Ki Thei. Arshad Sharif Ko 23…

مزید پڑھیں

Finance Ministry Ki Monthly Economic Update Outlook Report Main Rupee Ki Qadaar Main Behtari Kay Baad Mehngai Main Kami Ka Imkaan Zahir Kerdia Gaya Hay. Outlook Report Main Bataya Gaya Hay Kay Mulk Ki Economy Ko Floods Ki Waja Say Challenges Ka Samna Raha Taham Aab Iss Main Behtari Arahi Hay. Coming Months Main Economic Activities Main Behtari Aur Mehngai Main Kaami Ki Umeed Paida Hogai Hay. Yeh Bhi Bataya Gaya Kay Essential Goods Ki Export Kay Sath Supply Line Aur Prices Main Stability Aei Hay Jabkay Pakistani Rupee Ki Value Main Bhi Izafa Hoa Hay. October Main Mehngai 21…

مزید پڑھیں

Pakistan Main Gold Ki Fi Tola Qeemat Main 1800 Rupees Ki Kami Hoi Hay. International Market Main Gold Ki Fi Ounce Qeemat Main 4 Dollar Kami Hoi Hay. International Market Main Gold Ki Fi Ounce Qeemat 1580 Dollar Fi Ounce Hogai Hai. Pakistan Ki Markets Main Gold Ki Fi Tola Aur 10 Gram Qeemat Main 1800 Rupees Aur 1544 Rupees Ki Kami Hoi Hay. Mulk Ki Gold Markets Main Fi Tola Qeemat 1 Lakh 50 Hazar Rupees Aur 10 Gram Gold Ki Qeemat 1 Lakh 28 Hazar 600 Rupees Ki Sataah Per Aagae Hai.

مزید پڑھیں

Philippine Main Samandari Toofan Nalgae Nay Tabahi Macha Di Hay. Tu Ghair Mulki Khabar Agency Kay Mutabiq Samandari Toofan Kay Baad Barishon Aur Sailaab Kay Sath Land Sliding Aur Deegar Hadsaat Main 98Amwwat Report Hochuki Hain. Aab Tak 31 Afraad Kay La Pata Honay Ki Tazdeek Hoi Hay. https://twitter.com/cnni/status/1587010269527564290?s=20&t=rWLmN-8ZjU7i1KkTtjacVw Philippine Kay Southern Autonomous Territories Kay Ilakay Bangsamoro Main 10 Afrad Lapata Hoay Hain. Ghair Mamoli Mausami Halaat Say Infrastructure Ko Bhi Kafi Nuqsaan Pauhancha Hay. Ab Taak 384 Million Pesos ($9.3 Million ) Ka Nuqsaan Report Hochuka Hay. President Ferdinand Marcos Jr. Nay Manila Kay Nazdeeki Province Cavite Main Sailabi…

مزید پڑھیں