Author: افضال فاروقی

Khoon Ki Insani Jism Main Hamesha Ehmeyat Hoti Hai.Khoon Ki Zaroorat Ya Jism Main Kami,Insaan Ko Mout Kay Munh Main Dhakeel Sakti Hay.Blood Transfusion Main Inqilabi Qadam Say Tibi Masail Per Qabou Pana Mumkin Hoga. Dunya Main Pehli Baar Laboratory Main Tayyar Kerda Khoon Insaan Ko Lagaya Gaya Hay.UK Main Apni Nouyet Kay Pehlay Experiment Main Khoon Ki Kaam Miqdaar Jism Main Dhakil Ki Gai Hay. Iss Experiment Main Masnoie Khoon Kay 2 Spoonful Miqdar Ko Jism Main Test Kiya Jaei Ga Kai Iss Kay Nataij Kaisay Hotay Hain. Medical Experts Ka Kehna Hay Kay Khoon Ki Baray Paimanay Per…

مزید پڑھیں

Kya Russia-Iran Political Relations Main Kuch Naya Ho Raha Hay? Kya Dono Mulk Kay Defence Relations Bhi Aik Qadam Aagay Barh Chukay Hain? Yeh Sab Sawalaat Irani Foreign Minister Hossein Amirabdollahian Kay Aik Aitrafi Bayan Kay Baad Uth Rahay Hain. Hossein Amirabdollahian Nay Kaha Hay Ke Iran Nay Russia Ko Drones Diye Thay. Laikin Yeh Drones Ukraine War Shuru Honay Say Pehlay Diye Gaey Thay. Ukraine War Main Iran Made Drones Nay Capital Kiev Main Bombardment Ki Thi. https://twitter.com/AP/status/1588848100696899587?s=20&t=B5m9CF07xuISPryEQXkbVg Pehlay Inkar, Phir Iqrar Is Say Pehlay Iran Ki Taraf Say Russia Ko Ukraine War Kay Liay Weapons Dainay Ki Tardeed Ki Jaati…

مزید پڑھیں

Former Caretaker Prime Minister Sardar Balakh Sher Mazari 94 Bars Ki Age Main Inteqal Ker Gaei. Balakh Sher Mazari Ka Inteqal Lahore Main Hoa. Woh Kafi Arsay Say Beemar Thay. Punjab Assembly Kay Former Deputy Speaker Dost Muhammad Mazari , Balakh Sher Mazari Kay Grand Son Hain. Sardar Balakh Sher Mazari 1928 Main Rahim Yar Khan Kay Ilaqay Kot Karam Khan Main Paida Hoay. Woh 1993 Main Care Taker Prime Minister Banay. Un Ka Shumaar Mazari Tribe Ki Bari Shakhsiyat Main Hota Tha. Mazari Tribe Baluchistan, Sindh Aur Punjab Kay Darmiyan Phaila Hoa Hay. Un Kay Bhai Sherbaz Khan Mazari,…

مزید پڑھیں

State Bank Nay Prize Bond Cash Ya Tabdeel Kerwanay Ki Date Barha Di Hay, Yani Prize Bond Date Extended. Bank Nay Apnay Customers Ko Prize Bond Cash Kerwanay Ka Last Chance Diya Hay. Prize Bond Rakhnay Walay 30 June 2023 Tak Cash Ya Change Kerwasaktay Hain. https://twitter.com/StateBank_Pak/status/1587833517987319808?s=20&t=YXS_Xd83PgEDG9b0vM6Bcg Eham Baat Yeh Hay Kay 7.5 Hazaar,15 Hazaar,25 Hazaar Aur 40 Hazaar Walay Prize Bond 30 June Tak Kaaramad Hain. Iss Say Pehlay State Bank Nay 30 June 2022 Ki Date Muqaraar Ki Thei. Prize Bond Rakhnay Walay Afraad Ki Taraaf Say Bonds Redeemed Na Kerwanay Ko Mad e Nazar Rakhtay Hoay Date…

مزید پڑھیں

Pakistan Muslim League (N) Kay Leader Aur Interior Minister Rana Sana Nay Kaha Hay Kay Imran Khan Ko Apna Siyasi Mukhalif Samjha Hay,Dushman Nahi. Friday Ko Interior Minster Rana Sana Nay Press Conference Main Kaha Hay Kay Society Main Division Kay Amal Ko Mazeed Gehra Kerdia Gaya Hay. Unhonay Kaha Kay Adam Bardaast Kay Rawaei Ko Khatam Kernay Kay Liye Souchna Hoga. Rana Sana Nay Imran Khan Per Hamlay Kay Incident Ko Tashwesh nak,Qabil e Afsoos Aur Qabil e Mazaamat Qarar Diya. Kitnay Log Shaheed Hochukay Hain ? Rana Sana Nay Bataya Kay Long March Main Ab Taak 4 Afraad…

مزید پڑھیں

Petroleum Ministry Nay Khabardar Kiya Hay Kay Sardiyun Main Gas Kay Shortfall Ki Waja Say Load Shedding Ka Imkaan Hay. Gas Load Shedding Ki Waja Say Cement Industry, Fertilizer Aur CNG Sector Ko Sardiyun Main Gas Nahi Milay Gi. Ministry Ki Taraf Say Bataya Gaya Hay Kay Sardiyun Main 400 MMCFD Gas Short Fall Kay Bais Gas Crisis Shadeed Hojai Ga. Sardiyun Main Sui Southern Ki Gas Ki Demand 1200 MMCFD Aur Sui Northern Ki Gas Ki Demand 2200 MMCFD Tak Pauhanch Jati Hay. Iss Situation Main Sui Northern Ka Short Fall 700 MMCFD Aur Sui Southern Ka Short Fall…

مزید پڑھیں

Elon Musk Nay Twitter Ka Charge Sambhaltay Hi Baray Paimanay Per Tabdeliyan Shuru Kerdi Hain. Twitter Ki Janib Say Bataya Gaya Hay Kay Friday Ko Dunya Bhar Main Maujoud Staff Ko Bataya Jaye Ga Kay Woh Job Per Rahain Gay Ya Unko Fariq Kerdia Jaye Ga. Twitter Nay Internal Email Kay Zariye Employees Ko Agah Kerdiya Hay Yeh Job Per Ye Cut Idaray Ko Durust Simat Main Dalnay Ki Janib Qadam Hay. Idaray Kay Dafatir Ko Temperory Toar Per Band Kernay Aur Badge Access Suspend Bhi Kiya Jasakta Hay. Twitter Ki Taraf Say Remotely Kaam Kernay Ki Facility Ko Khatam…

مزید پڑھیں

Sindh Main Dengue Virus Ki Tabah Kariyan Jari Hain. Current Year Main Aab Taak Dengue Virus 56 Afraad Ki Jaan Lai Gaya Hay. Sindh Main Current Year Main Dengue Virus Say Honay Wali Deaths 4 Years Ki Record Satah Per Pauhanch Gaei Hain. Health Ministry Nay Bataya Hay Kay Wednesday Ko Dengue Say Hyderabad Main Aik Khaton Ki Death Report Hoi. Aab Taak,Iss Year Main Dengue Say Karachi Main 48, Hyderabad 4,MirpurKhas 3 Aur Benazirabad ( Nawabshah) Main 1 Sakhs Ka Dengue Kay Bais Inteqal Hoa. Sindh Main Iss Year Dengue Say Mutasira Patients Ki Tadaad 20 Thousand Taak Hogai…

مزید پڑھیں

Pakistan Kay Foreign Exchange Reserves 14 Arab,67 Crore,89 Lakh Rupees Per Pauhanch Gaey Hain. Asian Development Bank Say Milnay Walay Loan Nay Paksitan Kay Liye Achi Khabar Sunai Hay. Foreign Exchange Reserves Increase Hoay Hain. Yeh 4 Months Ki Buland Tareen Sataah Hai. State Bank Nay Baataya Hay Kay 28 October Ko Reserves 8 Arab, 91 Crore,29 Lakh Rupees Rahay Jabkay Commercial Banks Kay Reserves Ki Value 5 Arab,76 Crore,60 Lakh Dollar Rahi.

مزید پڑھیں

Pakistan Tehreek Insaaf Kay Chairman Imran Khan Per Hamlay Ki Khabaar Dunya Bhar Main Minutes Main Phail Gaei. International Leaders Nay Bhi Iss Incident Per Reaction Diya Hay. Canada Kay Prime Minister Justin Trudeau Nay Tweet Kertay Hoay Iss Incident Ki Mazamat Ki Hay. https://twitter.com/JustinTrudeau/status/1588172092582727680?s=20&t=gMAJLv4FWJodtabMczt2Kw Unhonay Kaha Hay Kay Yeh Incident Na-qabile Qaboul Hay. Aisay Incidents Ki Politics Main Koi Jagha Nahi. https://twitter.com/muftimenk/status/1588142467572027392?s=20&t=gMAJLv4FWJodtabMczt2Kw Islamic Scholar Mufi Menk Nay Bhi Tweet Kertay Hoay Iss Incident Per Intehai Afsoos Ka Izhar Kiya. Unhonay Imran Khan Ki Jald Sehat Yabi Kai Liye Dua Di. https://twitter.com/KSAmofaEN/status/1588220279331115008?s=20&t=gMAJLv4FWJodtabMczt2Kw Saudia Arabia Ki Ministry of Foreign Affairs Nay…

مزید پڑھیں