Hum Apnay Pakistani Rupay Ko Ro Rahay Thay, Laikin Lebanon Ko To Dekhain Jahan Aaj Say New Official Exchange Rate Apply Ho Gaey Hain Aur Is Kay Sath Hi Local Currency Ki Value 90 Percent Gir Gai Hay. Wo Lebanese Pound Jo Aik US Dollar Mein 1,507 Aatay Thay, Ab 15,000 Mil Rahay Hain.

Laikin… Zara Thehrain! Ye Market Rate Kay Qareeb Qareeb Bhi Nahi. Open Ya Parallel Market Mein 1 US Dollar Mein 57,000 Lebanese Pounds Tak Mil Jatay Hain. Andaza Lagayen Ke Lebanon Ki Economy Kis Haal Mein Hay.

Yahi Waja Hay Ke Economists Kehtay Hain Ke Is Faislay Ka Wider Economy Par To Koi Asar Nahi Parnay Wala, Jahan Ab Local Currency Nahi Zyada Tar Trade Dollar Hi Mein Hoti Hay. Lebanese Pound 2019 Kay Crisis Kay Baad Buhat Tezi Say Apni Qeemat Kho Betha Tha Aur Ab Is Ki Haisiyat Na Honay Kay Barabar Hay.

Lebanon Nay Last Year IMF Kay Sath 3 Billion Usd Kay Bailout Package Par Sign Kia Thay Aur Ye Step Usi Ki Terms Puri Karnay Kay Liay Hay. Mulk Kay paas Is Kay Ilawa Koi Raasta Tha Bhi Nahi. Wahan Corruption Aur Mismanagement Ki Waja Say Financial Sector Ko Approx. 70 Billion USD Ka Nuqsan Hua Hay Aur Ab Bank Restructuring Framework Ko Behtar Bananay Ki Koshish Ki Ja Rahi Hay.

To, Is Faislay Say Aam Shehri Ka Sab Say Bara Masla Ab Bhi Hal Honay Wala Nahi, Jo Dollars Mein Maujood Apni Savings Tak Open Access Nahi Rakhtay. Banks Nay 2019 Kay Baad Dollar Balke Lebanese Pounds Bhi Nikalnay Ko Limit Kardia Tha.

Khair, Dunya Mein Kuch Aisi Currencies Bhi Hain Jo Lebanese Pound Say Bhi Kam Value Rakhti Hain.

شیئر

جواب لکھیں