Sabiq Chairman FBR Shabbar Zaidi Kehte Hain Ke 50 Saal Se Mulk Jis Tarha Chalaya Ja Raha Hay, Aisay Nahi Chal Sakta. Mulk Default Ki Taraf Ja Raha Hay. IMF Ka Program Waqti Relief Faraham Karay Ga. Hukmranon Ki Be-Hisi Dekh Kar Dil Karta Hay Ke Mulk Default Karay Taakay Awam Sarkon Par Aakar Inhein Maaren.

Shabbar Zaidi Ne Raftar Ko Khusoosi Interview Mein Economy Ke Mutaliq Salawon Ke Tafseeli Jawab Diye .

Sawal : Kya IMF Program Se Pakistan Default Se Bach Jaye Ga?

Shabbar Zaidi: IMF Program Pakistan Ko Default Se Nahi Bachaye Ga. Ye Program Qarzon Ki Rescheduling Mein Madad Aur Aarzi Relief Faraham Keray Ga. Agar Current Account Deficit Aur Balance Of Payment Theek Na Huay Tou Default Mein Jana Paray Ga Aur Koi Soorat Nazar Nahi Aati. Main Ne 16 Decemeber 2021 Ko Hamdard University Mein Taqreer Ki Thi. Us Mein Kaha Tha Ke Current Account Balance Nahi Ho Raha Aur Pakistan Default Mein Chala Jaye Ga. Us Waqt Imran Khan Ki Hukoomat Thi. Aaj Pakistan Mein Sab Keh Rahay Hain Ke Shabbar Zaidi Sach Bol Rahay Thay.

Sawal : IMF Ki Sakht Conditions Ki Wajah Kya Hay?

Shabbar Zaidi: Pakistan Duniya Ka Wahid Mulk Hay Jo 23 Baar IMF Ke Paas Ja Chuka Hay. Koi Mulk Itni Baar Nahi Gaya Hay. Sochna Chahiye Ke Hamaray Jism Mein Aisi Kon Si Bemari Hay Ke IMF Ke Paas Baar Baar Jana Parta Hay Aur Bemari Sahih Nahi Ho Rahi. 1970 Ke Baad Se Pakistan Ka Jo Economic Model Hay Is Tarha State Chal Nahi Sakti. Is Ko Re-Construction Ki Zaroorat Hay Jo Hum Nahi Kar Rahay. Is Tarha Riyasat Nahi Chal Sakti.

Sawal : Hukoomat Masail Ke Hal Mein Nakaam Kyun Hay?

Shabbar Zaidi: Main Ishaq Dar Aur PDM Ki Government Ko Serious Nahi Leta. Un Ko Extras Samjhta Hun. Ye Aik Saal Ke Liye Aaye Hain Aur Phans Gaye Hain. Pehlay Miftah Ismael Aaye Jinhon Ne Bari Bari Baaten Keen. Phir Dar Aa Gaye Jo 5 Saal Se Mulk Se Bahar Thay. Un Par Waqt Zaya Karnay Ka Faida Nahi Hay. Jo IMF Ke Log Hain Wo Doosray Logon Se Bhi Baat Kartay Hain. Wo Log Un Se Ziyada Samajhdari Ki Baat Kartay Hain.

Sawal: Kya Muashi Nakami Ki Wajah Bureaucracy Bhi Hay?

Shabbar Zaidi: Hamari Economy Mein Genetic Defects Hain. Pakistan Kabhi Bhi Apnay Ikhrajaat Puray Nahi Kar Saka. Hum Apnay Resources Se Ziyada Kharch Kartay Hain. Tou Is Ka Nateeja Yahi Hota Hay Ke Chadar Choti Par Jati Hay. Bureaucracy Ko Pata Hi Nahi Hay Ke Mulk Kaisay Chalta Hay.


Sawal : Aap Ne FBR Mein Reforms Ki Koshish Ki Thi, Kya Nateeja Nikla?

Shabbar Zaidi: Sabiq Army Cheif General Qamar Bajwa Ne Mahswara Diya Tha Ke Fauj Mein Hum Kisi Ko 3 Saal Se Ziyada Aik Jagah Posting Nahi Detay. Bator Chairman FBR Mein Ne Bhi Aik Order Jari Kya Ke Jo Log Kisi Jagah 3 Saal Se Ziyada Kaam Kar Rahay Hain Un Ka Transfer Kar Diya Jaye. Is Ke Baad FBR Mein Tamam Logon Ki Maaon Ko Cancer Ho Gaya Aur Unhon Ne Darkhwasten Day Deen Ke Hamari Maaon Ko Cancer Hay Hum Transfer Nahi Ho Saktay. Sab Drama Tha. Dilchasp Baat Ye Bhi Thi Ke Afsaron Ne Mujhe Kaha Ke Hum To Kaam Karte Hi Nahi Hain. Kaam To Hamaray Clerk Karte Hain. Tou Agar Aap Ne Hamaray Clerks Transfer Kardiya To Hum Kaam Kaisay Karen Ge. Asal Mein Afsar Tabdeel Hota Hay Lekin Clerk Wohi Rehta Hay. Woh Clerk Afsar Ki Rishwat Ka Zareya Hota Hay. Afsar Ko To Yeh Bhi Nahi Pata Hota Ke Kis Se Rishwat Leni Hay.

Is Ke Ilawa Mein Ne Kaha Ke FBR Mein 23 Hazaar Aadmi Hain. Mujhe Un Mein Se 16 Hazaar Aadmi Nahi Chahiye. Ye Ghar Baith Jayen Aur Salary Letay Rahen. Ye Office Nah Aayen Tou Behtar Hoga. Unhon Ne Kaha Ke Nahi Aisa Tou Nahi Ho Sakta.

Sawal: Aap Ne Chairman FBR Ka Ohda Kyun Chhora?

Shabbar Zaidi: Mujhe Imran Khan Ya Kisi Aur Ne Nahi Kaha Tha Ke Main Ohda Chhor Dun. Balkay Mujhe Imran Khan Aur Bajwa Ke Phone Atay Thay Ke Main Wapas Aajaon. Lekin Main Samjhta Tha Ke Nataij Haasil Nahi Ho Rahay Thay. Mere Hotay Huay Bhi Log Rishwat Le Rahay Thay, Be Imani Kar Rahay Thay. Mujhe Is Soorat e Haal Se Anxiety Honay Lagi Thi. Is Liye Main Side Par Ho Gaya. Main Chahta Tou Main Bhi 5 Saal Baith Kar Paisay Banata. Mujhe Bajwa Sahib Aur Imran Khan Ne 110% Power Di Thi. Lekin Bajwa Sahib Aur Imran Khan Mil Kar Bhi System Theek Nahi Kar Sakay Kyunkay Bureaucracy Aur Jin Ke Mafaad Hain Woh Nahi Chahtay Ke Pakistan Ki Haalat Sahih Ho.

Shabbar Zaidi Meets Imran Khan


Sawal: Agar Pakistan Default Kar Gaya To Kya Asraat Hon Ge?

Shabbar Zaidi: Kisi Mulk Ka Default Karna Is Ki Death Nahi Balkay Bemaar Hona Hota Hay. Hum In Sha Allah Default Nahi Karen Ge Lekin Default Ho Bhi Jaye To Mulk Khatam Nahi Ho Jaye Ga. Agar Default Hua To Hamari Import Export Par Pabandiyan Lagen Gi. Pakistanion Ko Bohat Si Pareshaniyan Bhugatni Parren Gi. Petrol Mehnga Hoga، Nahi Miley Ga. Imported Ashya Nahi Milen Gi. Pakistani Hukmranon Ki Be Hisi Aur Maeeshat Daanon Ki Munafiqat Dekhta Hun Tou Mera Dil Karta Hay Ke Pakistan Default Karay. Log Sarkon Par Aa Kar Inhein Maaren, In Ko Chhittar Lagayen. Phir Yeh Theek Hon Ge, Mujhe Yeh Sharafat Se Theek Honay Walay Nazar Nahi Aa Rahay.

شیئر

جواب لکھیں