Chairman NAB Aftab Sultan Ke Resign Ne PDM Sarkar Ki Daman Per Aik Aur Daagh Laga Diya Hay. Shehbaz Sharif Hukumat Per Pehlay Hi Mehngai Aur Bad Intizami Ki Waja Se Tanqeed Ki Ja Rahi Hay Aur PMLN Awami Tor Per Mazeed Gher Maqbool Ho Rahi Hay. Ilzamat Lag Rahay Hain Ke PDM Hukumat Economy Ki Halat Theek Karnay Ke Bajaye Imran Khan Ko Zer Karnay Aur Siyasi Hisab Barabar Karnay Ki Koshishon Main Lagi Hay.

Aisay Main Chairman NAB Ke Istefay Ne In Ilzamat Ko Hawa Di Hay. PM House Se Jari Notification Main Kaha Gaya Ke Aftab Sultan Ne Private Reasons Per Resign Kiya Hay Aur Un Ka Resignation Accept Kar Liya Gaya Hay. Udhar  Aftab Sultan Ne Resign Ke Baad TV Channel Se Guftugu Main Bataya Ke Un Se Kuch Cheezon Ke Baray Main Kaha Gaya Jo Unhen Qabool Nahi Thee. Main Conditions Ke Saath Kaam Nahi Kar Sakta.

Aftab Sultan Ke Mutabiq Unhon Ne Kuch Din Pehlay Resign Kar Diya Tha Jo Aaj Manzur Ho Gaya Hay.

NAB Ke Afsar Koi Illegal Order Na Manen, Aftab Sultan

Aftab Sultan Ne NAB Head Quarter Main Farewell Speech Main Kaha Ke Ke Main Apnay Kaam Main Interference Bardasht Nahi Karta. Mujh Se Kaha Jata Tha Ke Falan Ko Pakar Lo, Us Ke Khilaf Case Banao. NAB Afsaran Se Bhi Kehta Hun Ke Kis Ka Koi Ghiar Qanooni Aur Ghair Aaeeni Hukm Na Manen. Unhon Ne Mazeed Kaha Ke NAB Main 99% Log Achay Hain, Sirf 1% Mein Mas’la Hay.

Sabiq Chairman NAB Ne Kisi Ka Naam Nahi Liya Ke Un Se Kis Ke Khilaf Reference Bananay Ka Mutalba Kiya Gaya Tha Lekin Sources Ka Kehna Hay Ke PDM Sarkar Chahti Thi Ke Imran Khan Samait PTI Ke Prominent Leaders Ke Khilaf NAB Reference Banaye Jaye. Is Maqsad Ke Liye Kuch Mawad Bhi Chairman NAB Ko Bheja Gaya Tha. Aftab Sultan Ne Un Cheezon Ka Jaaiza Lenay Ke Baad Inkar Kar Diya Tha Ke In Issues Per NAB Reference Nahi Ban Saktay. Is Per PDM Sarkar Naraz Hui Aur Aftab Sultan Ko Kaha Gaya Key Ya Tou Wo Cases Banayen Ya Ohda Chhor Den.

Aftab Sultan Ne Wohi Kiya Jo Aik Imandar Air Farz Shanas Afsar Ko Karna Chahiye. Unhon Ne Farmaishi Reference Bananay Ke Bajaye Resign Kar Diya.

Chairman NAB Ke Resign Per PTI Ka Reaction

PTI Ne Aftab Sultan Ke Resign Ka Khair Maqdam Kiya Hay. Fawad Chaudhry Ne Tweet Kiy Ke Chairman NAB Ka Istefa Fascist Nizam Ke Tootnay Ki Taraf Bara Qadam Hay. Aftab Sultan Ne Apnay Kaam Mein Madakhlat Ke Khilaf Istefa Diya. Main Un 22 Afsran Ko Jin Ko Punjab Main Madakhlat Ke Liye Lagaya Gaya Hay Kehta Hunk E Wo Bhi Khud Ko Is Nizam Se Alehda Karen. Ye Mulk Aur Bureaucracy Dono Ke Mafad Mein Hay.

Media Se Guftgu Main Fawad Chaudhry Ka Kehna Tha Ke PT Ike Mnas Ke Istefay Lahore High Court Ne Suspend Kar Diye Hain. Is Liye Hamari Demand Hay Ke National Assembly Main Hamara Opposition Leader Banaya Jaye Jaye Aur Phir Naya Chairman NAB Us Ki Mushawarat Se Lagaya Jaye. Sab Ko Maloom Hay Ke Raja Riyaz Lotay Hain Aur Un Ka Shehbaz Sharif Se Wesa Taluq Hay Jo Ghulam Aur Malik Ka Hota Hay.

Aftan Sultan Ko July 2022 Mein Anti-Corruption Ke Sab Se Baray Idaray NAB Ka Chairman Banaya Gaya Tha. Un Se Pehlay Retired Justice Javed Iqbal Is Post Per Kaam Kar Rahay Thay Aur Un Per Ilzamat Lagaye Gaye Thay Ke Unhon Ne PTI Government Ke Kehnay Per Political Opponents Ke Khilaf Cases Banaye.

Aftab Sultan Is Se Pehlay 7 June 2013 Se 3 April 2018 Tak IB Ke Chief Bhi Rahay Thay. Un Ke Be Dagh Kirdar Aur Shandar Performance Ko Dekhtay Huay Hi Unhen Chairman NAB Lagaya Gaya Tha Jis Per Kisi Political Party Ne Koi Aitraz Nahi Kiya Tha.

شیئر

جواب لکھیں