Pakistan Kay Baray Main US President Joe Biden Kay Bayan Kay Baad Lagta Hay America Nay ‘U-Turn’ Lay Lia Hay.

US State Department Nay Apnay Aik Bayan Main Pakistan Ke Nuclear Assets Par Bharosa Zahir Kia Hay Aur Pakistan Ka Sath Ta’luqat Ki Ehmiyat Par Zaur Dia Hay.

US President Nay Kuchh Din Pehlay Los Angeles Main Aik Fund Raising Event Main Kaha Tha Ke Pakistan Aik Khatarnaak Mulk Hay Aur Us Kay Nuclear Assets Kisi International Agreement Kay Paband Nahi.

Ye Bayan Jitna Irresponsible Tha, Isliay Hungama To Machna Tha. Pakistani Politics Main Is Waqt Buhat Garma Garmi Chal Rahi Hay, Laikin Is Par Tamam Mukhalif Parties Bhi Muttahid Nazar Aaen. Prime Minister Shehbaz Sharif Say Lay Kar Sabiq Wazir-E-Azam Imran Khan Tak, Sub Nay Is Par Sakht Ehtajaj Kia. Pakistan Nay American Safeer Ko Baqaida Demarche Bhi Jaari Kia.

Is Hawalay Say Jab International Media Nay US State Department Say Sawal Kia To Us Nay Jawab Dainay Say Mazrat Kar Li Ke Ye Baat Aik Private Event Main Ki Gai Thi, Jis Par State Department Comment Nahi Karta.

Raftar Nay Via Email State Department Say Rabta Kia Aur Ye Sawal Kia Ke State Department Nay Indian Cruise Missile Kay Pakistan Main Girnay Par Reaction Kyun Nahi Dia, Aur Kia Ye Bayan Biden Ki Election Campaign Ka Hissa Hay?

To Jawab Main State Department Nay Kaha Hay Ke America Ko Pakistan Par Poora Bharosa Hay Ke Wo Apnay Atomic Assets Ko Sanbhalnay Aur Secure Rakhnay Ki Capability Rakhta Hay.

Bayan Main Mazeed Kaha Gaya Hay Ke America Aik Mehfooz Aur Khush-Haal Pakistan Ko Apnay Liay Buhat Important Samajhta Hay. Aur President Biden Pakistan Kay Saath Ta’luqaat Ko Buhat Ahmiyat Detay Hain.

Kia Ye Bayan Kharab Hotay Pak-US Relations Ko Behtar Kar Paey Ga? Ya Phir Ye Bayan Bhi Kaafi Sabit Nahi Hoga. Ye Aanay Wala Waqt Hi Bataey Ga. Filhaal Lagta Hay Ke US Administration Kay Liay Bhi Biden Kay Is Bayan Ki Defend Karna Mushkil Hay, Specially Us Waqt Main Jab USA Pakistan Ko F-16 Kay Parts Sale Kar Raha Hay Aur Is Hawalay Say India Kay Concerns Ko Bhi Mustarad Kar Chuka Hay.

شیئر

جواب لکھیں