Film Joyland Nay Release Say Pehlay Hi Headlines Main Jaga Bana Li Hay. Is Pakistani Movie Main Kuch Aisay Topics Par Baat Ki Gai Hay, Jin Per Sakht Controversy Paida Ho Rahi Hay.
2 Hours+ Ye Punjabi Movie Saim Sadiq Nay Direct Ki Hay. Jo Un Ki Pehli Feature Film Bhi Hay. Production Sarmad Khoosat Ki Hay, Ji Kay Indian Originan US Producer Appoorva Guru Charan Aur Lauren Mann Bhi Thay.
Cast Main Sania Saeed, Ali Junejo, Alina Khan, Sarwat Gilani, Rasti Farooq, Salmaan Peerzada Aur Sohail Sameer Shamil Hain.
Joyland Ki Story Kya Hay?
Joyland Main Rana Khandan Ko Aik Middle Class Family Kay Roop Main Dekhaya Gaya. Family Kay Sarbrah Aik Buzurg Hain Jo Wheel-Chair Bound Hain. Woh Apnay 2 Beton Aur Bahu Kay Sath Rehtay Hain. Un Ki Khwahish Hay Ke Un Ka Pota (Grandson) Ho.
Kahani Main Twist Tab Ata Hay Jab Yeh Pata Chalta Hay Ke Rana Khandan Ka Chotta Shadi Shuda Beta Haider, Theater Main Kaam Kernay Wali Aik Transgender Dancer Biba Ki Muhabbat Main Giraftar Ho Chuka Hay. Yahan Say Film Kay Manazir Bhi Badltay Hain. Aik Taraf Khandani Kashmakash, Aur Doosri Janib Theater Kay Scenes.
Stage Dancer Biba Piyar Main Is Qadar Sanjeeda Hojati Hay Ke Woh Apni Jins Tabdeel Kerwana (Gender Change) Chahti Hay.
Biba Ka Role Kernay Wali Alina Khan Real Life Main Bhi Transgender Hi Hain. Woh Pakistan Ki Pehli Transgender Actor Hain. Jin Ka Kehna Hay Ke Pehlay Sirf Un Ki Walida Hi Un Say Baat Kerti Theen, Laikin Is Film Kay Baad Ab Family Ko Un Per Fakhar Hay.
Joyland Ko Milnay Walay Awards
Joyland Pehli Pakistani Film Hai Jis Ko Cannes Film Festival Main Dikhaya Gaya. Is Film Nay Wahan 'Un Certain Regard' Jury Prize Aur 'Queer Palm Award' Hasil Kiya.
Toronto International Film Festival Aur Busan International Film Festival Main Bhi Yeh Film Dikhai Gai.
Is Film Nay Asia Pacific Screen Awards Main 'Young Cinema Award' Hasil Kia. Ye Award Netpac Aur Griffith Film School Ki Partnership Say Diya Jata Hay.
Hoti Hay Censor Board Ki Entry
Film Ko Pakistan Main 18 November Say Cinema Houses Main Paish Kiya Jana Tha. Laikin Yahan Hoti Censor Board Ki Entry, Jinho Nay Is Movie Per Pabandi Laga Di.
Censor Board Nay Pehlay Film Ko Release Kernay Ki Permission Di Thi. Laikin Ab Kehta Hay Ke Film Main Controversial Material Shamil Hai.
'Ae Film Nai Chal Sakdi'
Censor Board Kay Is Decision Kay Baad Ab Social Media Per 2 Parties Ban Chuki Hain. Aik Taraf Is Faislay Par Sakht Tanqeed Ki Jarahi Hay, To Doosri Taraf Isay Saraha Ja Raha Hay.
Film Ki Cast Main Shamil Sarwat Gilani Nay Tweet Kertay Huay Kaha Ke Government Nay Pressure Main Aker Is Film Per Pabandi Lagai Hay.
Unhonay Kaha Kay Ye Movie Toronto Say Cannes Aur Cairo Is Movie Ko Standing Ovation Milay, Laikin Apnay Hi Mulk Main Is Ko Rok Diya Gaya Hay.
Senator Farhatullah Babar Nay Tweet Kertay Huay Joyland Per Pabandi Laganay Kay Faislay Ko Criticize Kia.
Phir Aik Tweet Mein Ye Tak Kaha Ke Unhonay Kaha Kay Maryam Auragzaib Ki Janib Say Aisay Decision Per Afsos Hoa.
'Bilkul Theek Hua!'
Laikin Doosri Taraf Is Movie Per Ban Lagnay Par Khush Honay Walay Bhi Buhat Hain. Jamat-e-Islami Kay Senator Mushtaq Ahmed Khan Nay Is Pabandi Ko Aik "Ahsan Qadam" Qarar Dia.
Twitter Par #BanJoyLand Kay Naam Say Aik Thread Bhi Chalta Raha. Jis Mein Kai Influencers Nay Bhi Hissa Lia Aur Joyland Par Lagnay Wali Pabandi Ki Himayat Ki.