100 Baaton Ki Aik Baat: Wazan Kam Karna Bikul Bhi Aasan Kaam Nahi. Is Kay Liay Sakht Mehnat, Bharpoor Azm, Zabardast Motivation Aur Sab Say Barh Kar Aik Plan Ki Zarurat Hoti Hay. To Chahay Aap Nay Aaj Say Weight Loss Ki Koshish Shuru Ki Ho Ya Is Kay Liay Mehnat Kartay Huay Aap Ko Kuch Haftay Ho Chukay Hon, Yaad Rakhain Kuch Adatein Aisi Hain Jin Say Aap Ko Har Soorat Bachna Hoga.

Aap Ka Wazan Kabhi Kam Nahi Hoga, Agar Aap Nay Routine Mein Ya Kaam Kartay Hain:

Bila Sochay Samjhay Khana

Raftar Bharne Do

Baghar Sochay Samjhay Khana Peena Weight Loss Ki Sab Koshishon Par Paani Pher Deta Hay. Kyun? Kyunke Aap Us Calorie Intake Ko Zehn Mein Nahi Rakh Rahay, Jo Zyada Khanay Say Hota Hay.

Chahay Wo Khana Healthy Ho Ya Na Ho, Kisi Bhi Cheez Ka Zyada Istemal Usay Bura Banata Hay. Is Liay Portion Control Seekhain Takay Aap Track Kar Sakain Ke Aap Nay Din Bhar Mein Kitni Calories Consume Ki Hain.


Khana Chhor Daina

Raftar Bharne Do

Agar Aap Nay Kisi Waqt Ka Khana Nahi Khaya To Aap Ka Jism Survival Mode Mein Chala Jata Hay. Yani Ab Aap Kay Jism Ko Pehlay Say Li Gai Calories Par Hi Apni Energy Bachana Hogi.

Is Say Khatra Hota Hay Ke Bhook Say Bay-Taab Ho Kar Aap Fast Food Type Ki Koi Fuzool Cheez Kha Lain Gay, Jis Say Bhook To Mit Jaey Gi Laikin Kaam Kharab Ho Jaey Ga.


Calories Drinks Kay Zariay

Raftar Bharne Do

Aap Juice Pi Rahay Hon Ya Kuch Aur, Yaad Rakhain Ke Drinks Mein Extra Calories Hoti Hain. Logon Ko Andaza Hi Nahi Hota Ke Drinks Mein Kitni Calories Hoti Hain. Aisi Drinks Mein Taste Behtar Bananay Kay Liay Buhat Sugar Dala Jata Hay. Aur Ye To Aap Jantay Hi Hain Ke Zyada Sugar Consume Karnay Say Kya Hota Hay? Wazan Kam Hona Bhool Jayen, Is Say To Wo Aur Barh Jaey Ga.


Aaram Na Karna

Raftar Bharne Do

Raat Ko Bharpoor Aaram Buhat Buhat Zaruri Hay, Balke Workout Kay Baad Bhi. Aap Apnay Aaram Kay Waqt Ko Jitna Kam Karain Gay, Wazan Barh Janay Ka Khatra Utna Hi Zyada Hogi. Asal Mein Neend Puri Na Honay Say Hamara Hormonal Balance Kharab Ho Jata Hay. Phir Bhook Bhi Zyada Lagti Hay Aur Dil Chahta Hay Buhat Zyada Carbs Aur Calorie-Heavy Food Khayen. Aur Ye Aap Bilkul Afford Nahi Kar Saktay.


Nutrition Say Zyada Exercise Par Zaur

Raftar Bharne Do

Wazan Kam Karnay Kay Kisi Bhi Program Mein Workout Buhat Important Hota Hay, Laikin Exercise Aur Nutrition Kay Beech Aik Balance Hona Chahiye. Experts Kehtay Hain Wazam Kam Karnay Kay Liay Hamesha 80/20 Ka Rule Rakhain.

80% Weight Loss Is Say Hota Hay Ke Aap Kya Khatay Hain Aur 20% Is Say Ke Aap Kya Kartay Hain, Yani Exercise. To Aap Chahay Jitna Bhi Workout Karain, Aap Ki High Calorie Diet Kabhi Aap Ka Wazan Kam Nahi Karnay Day Gi. Kyunke Aap Ko Consumed Calories Say Zyada Calories Burn Karni Hain, Aur Ye Baat Buhat Kam Log Samjhtay Hain Ke Exercise Say Buhat Kam Calories Burn Hoti Hain. Is Liay Wazan Kam Karnay Kay Liay Aap Ko Nutrition Aur Calorie Consumption Donon Par Nazar Rakhna Hogi.

شیئر

جواب لکھیں