Pakistan Kay Kai Barray Shehron Ka Aik Hi Masla Hay: Paani, Especially Karachi Ka. Aadha Karachi Water Tankers Par Chal Raha Hay To Aadha Boring Say Apni Ye Bunyadi Zarurat Puri Kar Raha Hay. Agar Kisi Ghar Mein “Ghalti” Say Karachi Water Board Ka Paani Aata Hay To Us Ki Qeemat Mein Lakhon Rupay Ka Izafa Ho Jata Hay. Andaza Laga Lain!

To, Jab Elections Ka “Mausam” Aata Hay To Barri Barri Batein Hoti Hain Ke Sab Say Pehlay Karachi Ka Paani Ka Masla Solve Kardain Gay. Is Hawalay Say Sab Say Pehlay Naam Lia Jata Hay Karachi Desalination Plant Ka.

Desalination Aik Aisa Process Hay, Jis Mein Seawater Yani Samandar Kay Paani Say Salt Nikaal Kar Usay Meethay Aur Peenay Kay Qabil Paani Mein Badal Dia Jata Hay. Kitna Zabardast Idea Hay Na? Agar Aisa Honay Lagay To Karachi Kya Puri Dunya Ka Paani Ka Masla Hal Ho Sakta Hay.

Laikin Aik Minute!

Is Waqt Dunya Bhar Mein Aisay Hazaron Plants Hain, Jo Ye Kaam Kar Rahay Hain. Par Kya Ye Desalination Plants Waqai Rehmat Hain? Science Of The Total Environment Ki Research Kehti Hay Nahi!

Desalination Aisa Process Hay Jis Ka Environment Par Buhat Negative Impact Parta Hay. Kyunke In Plants Say Itnay Waste Aur Toxic Chemicals Nikaltay Hain Ke Environment Aur Wildlife Tabah Ho Kar Reh Jati Hay. Laikin Kaisay?

Asal Mein 95 Million Cubic Meter Freshwater Bananay Kay Liay Ye Plants 141 Million Cubic Meter Brine Bhi Paida Kartay Hain. Ye Aik Waste Product Hay, Jis Mein Chlorine Aur Copper Jaisay Toxins Bhi Shamil Hotay Hain. Is Main 5 Percent Salt Hota Hay, Jo Aam Seawater Mein 3.5 Percent Hota Hay.

Karachi Desalination Plant

To Is Zyada Namkeen Brine Say Jaan Chhuranay Kay Liay Ye Plants Isay Natural Waterbodies Mein Hi Chhor Detay Hain, Jaisa Ke Ulta Samandar Mein Phaink Dia Jata Hay. Ye Sea Life Kay Liay Buhat Hi Khatarnaak Hay. Kyunke Brine Say Paani Mein Oxygen Kam Ho Jati Hay. Aur Samandari Jaanwaron Ko Is Izafi Namak Ko Apnay Jisam Say Nikaalnay Kay Liay Zyada Paani Peena Parta Hay.

Machlian, Maslan Shark, Aik Khaas Gland Kay Zariay Paani Mein Mojoud Namak Ko Apnay Jism Say Nikalti Hain. Samandari Parindon Mein Aankhon Kay Neechay Aisay Organs Hotay Hain Jo Un Kay Khoon Say Ye Izafi Namak Nikaal Detay Hain. Laikin Agar Paani Mein Ya Namak Zyada Ho Jaey To Wo Mar Bhi Saktay Hain. Phir Wo Samandari Keeray Bhi Zyada Namkeen Paani Say Muta’sir Hotay Hain Jo Machlion Aur Doosray Janwar Khatay Hain.

Yani Nahi, Balkay Desalination Plants Bijli Bhi Buhat Khatay Hain. 10 Laakh Gallon Meetha Pani Bananay Kay Liayye 15,000 Kilowatt-Hours Bijli Isteymal Kar Jatay Hain. Is Kay Muqablay Mein Agar Waste Water Ko Recycle Kia Jaey To Sirf 8,300 kWh Bijli Ki Zarurat Paray Gi.

Phir Desalination Plants Apnay Pumps Ko Chalay Kay Liay Diesel Bhi Use Kartay Hain, Jis Say Environment Mein Greenhouse Gases Aur Bhi Barh Jati Hain. Yani Ye Plants Hamari Fossil Fuels Par Dependency Barha Rahay Hain.

To Karachi Jaisay Shehr Mein, Jis Kay Baray Environmental Issues Hain, Wahan Koi Desalination Plant, Kisi Behtari Kay Bajaey Aik Nai Museebat Khari Kar Sakta Hay. Middle East Mein Maujood Desalinations Plants To Mahaul Kay Liay Khatra Bantay Ja Rahay Hain.

Karachi Desalination Plant
Salinity impacts from desalination plants In Persian Gulf
شیئر

جواب لکھیں