Naya Saal Aa Ra Hay, Ab Hoslay Bhi Naey Hain Aur Goals Bhi. Aur Jab Baat Ho Goals Ki To Office Mein Promotion Say Bara Goal Kaun Sa Hoga? Naey Saal Mein Taraqqi Mil Jaey To Mazay Hi Aa Jaey. Laikin Sawal Ye Hay Ke How To Get A Promotion?

Such Ye Hay Ke Promotions Buhat Kam Diay Jatay Hain. Managers Promotions Detay Nahi, Employees Promotion Ka Kehtay Nahi, Kyunke Unhain Rejection Ka Khauf Hota Hay. Laikin Promotions To Hotay Hain, Company Mein Log Taraqqi To Kartay Hi Hain. Kaisay? Aayen Aap Ko 5 Steps Batatay Hein Ke Promotion Kaisay Lia Jaey Aur Sath Hi Ye Bhi Ke Rejection Kay Liay Emotionally Kaisay Ready Rakhain?

1. Realistic Banain

How To Get A Promotion

Aap Company Mein Entry Level Par Kaam Kar Rahay Hain Ya Mid-Senior Level Par, Promotion Kay Liay Negotiations Mein Aik Important Role Hota Hay Experience Aur Ability Ka. Aap Ka Experience Yani Tajurba Jitna Kum Hoga, Promotion Ka Chance Bhi Utni Hi Kum Reh Jaey Ga. Aur Agar Aap Experienced Hain, Laikin Company Mein Aap Ko Zyada Waqt Nahi Hua To Bhi Aap Ko Promotion Nahi Milay Ga. Is Liay Realistic Rahain!

Waisay Aap To Samajhtay Hain Ke Aap Nay Khud Ko Sabit Kia Hay, Laikin Kya Aap Ki Company Bhi Yahi Samajhti Hay? Nahi To Pehlay Khud Ko Prove Karain, Phir Promotion Ka Sochain.

2. Mehnat Karain

How To Get A Promotion

Ab Baat Ability Ki. Promotion Kay Liay Employees Kay Paas Aik Acha Reason Hona Chahiye. Hard Work Ye Sakht Mehnat Promotion Kay Negotiations Kay Liay Buhat Important Hay.

Yaad Rakhain Ke Rozana Waqt Par Aana Aur Apnay Saray Kaam Pooray Karna Hi Kafi Nahi Hoga. Aap Kay Role Ko Jo Demands Hain, Unhain Poora Karna Aur Isay Aadat Bana Laina Hi Promotion Ki Taraf Lay Jaey Ga. Agar Aap Aisa Nahi Kar Saktay To Yaqeen Karain Aaj Nahi To Kal Aap Ki Job Chali Jaey Gi.

Ye Kaisay Karain? Apni Team Par Impact Daalain, Team Ko Kis Mushkil Ka Saamna Hay Ya Productivity Mein Kaun Say Gaps Hain, Unhain Fill Karnay Kay Liay Managers Say Insight Lain.

3. Progress Tracking

How To Get A Promotion

Hamaray Haan Log Hard Work Ko Ye Samajhtay Hain Ke Office Mein Har Jaga Aap Ki Shakal Nazar Aani Chahiye, Balke Aap Chutti Kay Din Bhi Emails Ka Foran Jawab Dain. Laikin Hard Work Ka Matlab Hay Deep Work, Yaani Company Ko Jin Problems Ka Saamna Hay, Unhain Solve Karnay Mein Madad Dena.

Is Kay Liay Aap Ko Pehlay Apni Company Ki Bottom Lines Samajhna Hon Gi. Phir Ye Bhi Ke In Bottom Lines Ko Poora Karnay Kay Liay Aap Ki Unique Skills Kaisay Istemal Ho Sakti Hain. Ye Solution Aap Nay Provide Kardia, Samjhain Aap Ko Promotion Ka Golden Ticket Mil Gaya.

4. Tayari Aur Practice

How To Get A Promotion

Annual Performance Review To Har Company Mein Hota Hay. Aap Ko Is Kay Liay Bhi Mehnat Karna Hogi. Aap Promotion Kay Haqdaar Hain, Ye Baat Sabit Karna Paray Gi.

To Promotion Negotiation Meeting Ki Zabardast Tayari Karain, Is Say Aap Kay Chances Barhain Gay. Data Ka Istemal Kartay Huay Convince Karnay Ki Koshish Karain. Agar Aap Aisa Nahi Kar Paey To Promotion Ko Bhool Jayen.

5. Expectations Ko Limit Mein Rakhain

How To Get A Promotion

Aap Experienced Hain, Career Mein Baray Baray Kaam Kar Chukay Hain, To Expectations Bhi Out Of Control Ho Jati Hain. Aap To Samajhtay Hain Aap Promotion Kay Liay Ready Hain, Aap Deserve Kartay Hain, Laikin Hota Ye Hay Kea Ap Promotion Nahi Lay Patay.

Yaad Rakhain Ke Poori Koshish Kar Kay Bhi Promotion Nay Lainay Ka Ye Matlab Nahi Ke Employee Kay Taur Par Aap Ki Worth Nahi Rahi. Aisa Budget Aur Doosray Administrative Maslon Ki Waja Say Bhi Ho Sakta Hay. Is Liay Rejection Ko Personal Na Lain.

Agar Aap Nay Promotion Na Milnay Ko Personal Lia, To Aap React Bhi Waisa Hi Karain Gay. Aisa Hua To Samjhain Aap Ki Naukri Gai.

Promotion Na Milnay Par Dukh To Hota Hay, Laikin Pareshan Na Hon, Kaam Say Dedication Show Karain Aur Zehn Ko Next Promotion Opportunity Kay Liay Tayar Karain.

شیئر

جواب لکھیں