Twitter Nay Aaj Say 'Blue Tick' Walay Accounts Kay Liye Controversial Paid Subscription Service Ka Aghaz Kar Diya Hay.

Twitter Ki Mobile App Nay Update Pesh Karna Shuru Kar Di Hay Jis Ki Madad Say Sarfeen Twitter Blue Kay New Version Kay Liye Sign Up Kar Sakain Gay.

Update Main Bataya Gaya Hay Kay 'Twitter Blue' Mein New Aur Barray Features Shamil Kar Rahay Hain. Filhal Yeh Sahoolat Sirf Iphone Users Kay Liye Ho Gi.

Company Ki Director Product Development Esther Crawford Ka Kehna Hay Kay New Service Live Hona Baqi Hay. Is Par Tezi Say Kam Ho Raha Hay.

Elon Musk Keh Chuke Hain Kay Service Ki Fees Mahana 8 Dollars Ho Gi. Isi Par Unho Nay Aik Tweet Bhi Kiy Tha

Is service Main User Blue Tick Mark Hasil Kar Sakain Gay, Jis Kay Baad Inhain Apni Feed Main Kuch Izafi Saholaten Milein Gi Jin Main Kam Ads Bhi Shaamil Hain. Elon Musk Nay Guzashta Haftay Twitter Nizaam Sambhalay Kay Baad Staff Ko New Service Shuroo Karne Ka Hukum Diya Tha .

Elon Musk Twitter Nizam Sambhalnay Kay Baad Revenue Kam Honay Ko Jawaz Bana Kar 50% Employees Ko Farigh Bhi Kar Chukay Hain.

شیئر

جواب لکھیں