Google Is Haftay Aik Aisay Event Ki Mezbani Kar Raha Hay Jis Mein Wo ChatGPT Ka Muqabla Karnay Kay Liay Aik Important Announcement Karay Ga. Imkaan Hay Ke Is Event Mein Jo Artificial Intelligence (AI) Model Paish Hoga, Wo ChatGPT Killer Hoga.

Raftar Bharne Do

ChatGPT Aisa Chatbot Hay Jo Mukhtalif Subjects Par Kiay Gaey Sawalon Ka Jawab Day Sakta Hay. User Friendly Honay Ki Waja Ye Aajkal Buhat Mash’hoor Ho Raha Hay Aur Ab To Google Ko Apnay Lalay Par Gaey.

Khair, Umeed Yahi Hay Ke Google Ka Artificially Intelligent Model Accuracy Aur Raftar Donon Mein ChatGPT Say Aagay Ki Cheez Hoga. Is Event Mein Practically Show Kia Jaey Ga Ke Google Ka AI Model Kis Tarah ChatGPT Ki Search Engine Capabilities Ko Peechay Chor Sakta Hay Aur Zyada Behtar Results Day Sakta Hay.

Google Nay Ab Tak Apna Moun Band Rakha Hua Hay Aur Event Kay Hawalay Say Koi Detail Nahi Di. Laikin AI Kay Fans Kay Ilawa Tech Kay Shauqeen Aur Search Engine Kay Mahir Bhi Shiddat Say 8 February Ka Wait Kar Rahay Hay.

ChatGPT Kay Aanay Kay Baad Google Management “Code Red” Issue Kar Chuki Thi, Kyunke As A Search Engine Us Ka Future Mushkil Main Parr Chuka Hay.

Google Nay Tabhi Say AI Prototypes Aur Products Lanay Ka Kaam Tez Kar Dia Tha. Especially Dall-E Aur MidJourney Jaisi Art Aur Graphics Bananay Wali Technology Kay Muqablay Par. Google Chatbot LaMDA (Language Model For Dialogue Applications) Par Bhi Progress Hui Hay. Google Itni Jaldi Launching Mein Reluctant Zarur Hay, Laikin Us Kay Paas Doosra Koi Raasta Nahi Hay.

شیئر

جواب لکھیں