Dunya Bhar Kay Hazaron Instagram Users Ko Us Waqt Apni Dunya Andheri Nazar Aanay Lgai Jab Unhen Ye Pata Chala Kay Un Ka Instagram Account Suspend Kar Diya Gaya Hay.

Unhon Nay Log In Ki Koshish Ki Tou Paigham Mila Kay ‘Aap Ka Account 31 October 2022 Ko Suspend Kar Diya Gaya Hay.’

Raftar Bharne Do

Aisay Users Main IPhone Kay Users Zyada Thay. Deegar Lakhon Users Ka Account Crash Ya Corrupt Ho Gaya.

Instagram Down Honay Kay Baad Log Joq Dar Joq Twitter Kar Rukh Karnay Lagay Aur #instagramdown Twitter Par Top Trend Ban Gaya.

Twitter Par Unhen Ye Dekh Kar Sukoon Mila Kay Sirf Unhi Ka Account Suspend Nahi Hua, Ye Bijli Dusron Par Bhi Giri Hay.

Jin Ka Instagram Account Chal Raha Tha Wo Dusron Ki Bebasi Aur Beqarari Ka Tamasha Dekh Kar Mazay Letay Rahay.

Instagram Kay Glitch Par Log Mazay Mazay Ki Memes Bhi Share Kartay Rahay.

Instagram Nay Twitter Par Users Say Maazrat Ki Aur Tassali Di Kay Kharabi Door Karnay Kay Liye Kaam Kiya Ja Raha Hay. Tech Mahireen Kay Mutabiq Jin Kay Account Suspend Huye Hain Wo 30 Din Main Decision Say Disagree Kar Dain Tou Un Ka Account Bahal Ho Jaye Ga.

Bohat Say Users Nay Ye Shikayat Bhi Ki Kay Account Log In Honay Kay Baad Un Kay Followers Ki Taadad Kam Ho Gayi Hay.

شیئر

جواب لکھیں