NASA Ka 'Naya Khwab' Poora Honay Wala Hay. Insan Ko Aik Martaba Phir Chand Par Lay Janay Ki Koshish Shuru Ho Chuki Hay. Aur Modern History Kay Most Powerful SLS Rocket Say Janay Wala Test Mission Artemis 1 Ab Chand Say Related Information Bhej Raha Hay. Baghair Astronauts Ka Ye Spacecraft Future Kay Lunar Aur Mars Missions Kay Liay Buhat Importance Rakhta Hay. Future Main Artemis 2 Aur Artemis 3 Space Mission Bhi Plan Kiye Gaey Hain.

Orion Moon Orbit Main

NASA Kay Is Mission Kay Douran Orion Capsule Chand Kay Madaar (Orbit) Main Chakar Lagaey Ga. Tuesday Ko Wo Chand Say 39,993 Miles Kay Altitude Par Tha, Laikin Friday Ko Spacecraft  Chand Say Intehai Faslay Per Puhanch Jaei Ga. Is Dauran Orion Aisay Madar Main Enter Hoga Jahan Say Wo Chand Kay Gird Chakar Laganay Per Kam Se Kam Fuel Istemal Hoga.

NASA Artemis 1

Mission Kay Douran Us Waqt Pareshani Ho Gai Jab NASA Kay Mission Control Johnson Space Center, Houston Ka Rabta Unexpectedly Orion Say Cut Gaya Tha. Yeh Space Center Is Mission Ka Markaz Hay. 47 Minutes Ki Reconfiguring Kay Baad Ye Communication Link Bahal Hua.

23 November Ko Orion 2,837 Miles Per Hour Ki Raftar Say Earth Say 212,437 Miles Kay Distance Per Puhancha. Jabke Chand Say Fasla 48,064 Miles Tha.

Artemis 1 Kay Zariye 10 Miniature Satellites Bhi Launch Karnay Ka Plan Hay. Moon Kay Orbit Main Chorray Janay Walay In Satellites Ko “CubeSats” Ka Naam Diya Gaya Hay. Yeh Satellites Chand Kay Hawalay Say Critical Data Jama Kerain Gay.

NASA Mission Chand Kay Paas

Artemis 1 Monday Ko Apnay Manzil Kay Pehlay Morr Per Chand Kay Nazdeek Puhancha Tha. 4.1 Billion Dollar Ki Is Test Flight Ka Aghaz 16 November Ko Hua Tha.

Flight Director Judd Frieling Nay Bataya Kay Johnson Space Center Main Artemis 1 Say Video Mousol Hoi Hay. Video Main Chand Aur Zameen Dekhai Dai Rahay Hain. Is Video Main Chand Aur Zameen Ka Faasla 230,000 Miles Sai Ziada Hay.

Artemis 1 Per Koi Astronaut Nahi

Is Moon Mission Per Koi Astronaut Tou Nahi Bheja Gaya Magar Capsule Main Dummy Astronauts Maujoud Hain.

Yeh Koi Aam Dummies Nahi Balkay “Manikins” Hain. Inhain Is Mission Kay Liye Khas Toar Per Design Kiya Gaya Hay. In Main Aisay Sensors Lagay Huay Hain Jin Say Yeh Maloom Hoga Kay Space Travel Main Human Body Per Kia Asar Parta Hay.

In Manikins Kay Naam Helga Aur Zohar Ko Design Kartay Hoay Yeh Yaqini Banaya Gaya Hay Kay Space Travel Main Yeh Dekha Jaye Kay Women Ki Body Per Radiation Kay Kia Effects Ho Saktay Hain. Phir Moonikin Campos Commander Seat Per Hay.

In “Manikins” Say NASA Ko Future Kay Moon Missions Plan Kartay Hoay Critical Information Milay Gi. Is Kay Baad Mars (Planet) Per Mission Bhejnay Ki Rahain Bhi Khulain Gi.

Naya Record

Orion Spacecraft Is Week NASA Ka Distance Record Bhi Break Kerday Ga. Yeh Record NASA Kay Kisi Spacecraft Ka Earth Say Sab Say Zyada Distance Hoga. 1970 Main Apollo 13 Nay Zameen Say Taqreebun 250,000 Miles (4 Lakh Kilometers) Doori Ka Record Banaya Tha. Orion Aglay Monday Tak Zameen Say 270,000 Miles (433,000 Kilometers) Ka Record Bana Day Ga.

Orion Wapis Kaisay Aaey Ga?

Orion Nay Apna Pehla Fly Mission 21st November Ki Subha Complete Kiya. Is Doran Chand Ki Several Images Capture Ki Gai Hain. Spacecraft 1.3 Million Mile Journey Complete Kerkay 42 Days Ka Mission Pora Keray Ga Aur Zameen Per Giray Ga. Orion Ka Koi Lunar Orbit Nahi Hay. Zameen Per Wapsi Kay Liye Orion Pacific Ocean Mai Giray Ga. Orion Ki Wapsi Kay Liye Koi Touch Down Pad Nahi Banaya Gaya Hay.

شیئر

جواب لکھیں