Windows 7 2009 Mein Release Hui Aur Windows 8 2012 Mein, Aur Donon Par Awam Ka Response Bilkul Mukhtalif Tha. Windows 7 Nay To Sales Kay Records Torr Diay, Laikin Windows 8 Buri Tarah Flop Ho Gai. Par Ab Donon Ka Anjam Aik Jaisa Honay Wala Hay, Next Month Donon Operating Systems Ki Official Support Khatam Ho Jaey Gi. Yahan Tak Ke Microsoft Edge Ki Support Bhi Nahi Milay Gi.

Yani Windows 7 Aur 8 Donon Officially Dead Ho Jaen Gi.

2009 Aik Zabardast Saal

2009, Wohi Saal Tha Jis Mein Nvidia Ka GTX 295 Launch Hua Tha, Jis Nay Graphics Ki Dunya Mein Tehlka Macha Dia Tha. Phir Usi Saal Apple Ka iPhone 3G Aaya Tha, Jis Kay Baray Mein Kuch Batanay Ki Zarurat Hi Nahi, Naam Hi Kafi Hay. Aur Yahi Wo Saal Tha Jis Mein Microsoft Nay Apna Naya Operating System Pesh Kia: Windows 7. Jis Nay Kai Naey Records Bana Diay.

Ye Windows XP Kay Baad Pehla Aisa Operating System, Jo Upgrade Worthy Tha. 2 Saal Kay Andar Andar Approx. 45 Percent PCs Par Yahi Windows 7 Thi. Phir Is Kay 3 Saal Baad Aai Windows 8. Ho Sakta Hay Aap Ko Yaad Na Ho, Is Liay Hum Yaad Dila Detay Hain Ke Windows 8 Baghair Start Menu Kay Aai Thi. Microsoft Ka Sara Zor Modern Tile Design Par Tha. Laikin Aik Windows OS Hit Hua To Doosra Pit Gaya. Buhat Kam Log Windows 8 Ki Taraf Aaey.

Sakh Criticism Kay Baad Microsoft Nay 1 Saal Baad Hi Windows 8.1 Release Kardi. OS To Behtar Ban Gaya, Laikin Nuqsan To Ho Chuka Tha. Windows 8.1 Ka Market Share Kabhi 19.1 Percent Say Zyada Nahi Ho Saka. Is Kay Muqablay Mein Windows 7 Aur Baad Mein Aanay Wali Windows 10 Buhat Tezi Say Adapt Ki Gai Theen Aur Sirf 8 Maheenon Mein Hi Is Say Zyada Ka Market Share Lia Tha.

Mainstream Aur Extended Support Kya Hoti Hay?

Khair, Microsoft Apnay Operating Systems Kay Sath Do Qisam Ki Support Deta Hay: Aik Mainstream, Doosri Extended. Windows 7 Ki Mainstream Support To January 2015 Mein Hi Khatam Ho Gai Thi, Jabke Extended Support January 2020 Mein Rok Di Gai Thi.

Par Windows 7 Tab Bhi Approx. 25 Percent Computers Par Maujood Thi, Jis Ki Waja Say Microsoft Nay Mazeed 3 Saal Ki Support Service Dainay Ka Faisla Kia. Haan! Thori Si Fees Kay Badlay Main.

To Ab 10 January 2023 Ko Ye Izafi 3 Saal Bhi Khatam Ho Rahay Hain, Yani Ye Windows 7 Ka Aakhri Maheena Hay. Is Kay Baad Windows 7 Ko Koi Updates Nahi Milain Gi.

Windows 8 Ko Dekhain To Us Ki Mainstream Support January 2018 Mein Khatam Hui. Us Ki Extended Support Bhi 10 January 2023 Ko Khatam Ho Rahi Hay.

Sirf Microsoft Hi Nahi...

Aisa Sirf Microsoft Hi Nahi Kar Raha, Balkay Doosray Idaray Bhi Aisa Hi Kar Rahay Hain. Google Nay October Mein Hi Ailan Kar Dia Tha Ke Wo January 2023 Kay Baad Windows 7 Aur Windows 8.1 Ko Support Nahi Karay Ga.

To Aik Legendary Operating System Windows 7 Finally Apnay End Ko Puhancha. Official Launch Kay 13 Saal Baad Bhi Log Isay Pasand Kartay Hain Aur Aaj Bhi Is Kar Market Share 10 Percent Hay. Isi Say Windows 7 Ki Maqbooliyat Ka Andaza Laga Lain.

Agar Aap Bhi Abhi Tak Windows 7 Ya 8 Istemal Kar Rahay Hain To Jald Az Jald Windows 10 Ya 11 Par Shift Ho Jaen. Kyunke Security Updates Kay Baghair Koi Bhi OS Use Karna Khatarnaak Ho Sakta Hay.

شیئر

جواب لکھیں