FIFA World Cup 2022 Mein Istemal Honay Wali Ball Al Rihla Kay Baray Mein To Aap Buhat Kuch Jantay Hain, Kyunke Hum Aap Ko Pehlay Hi Bata Chukay Hain. Laikin Kya Aap Ko Pata Hay Ke World Cup Kay Semi Finals Aur Final Mein Al Rihla Use Nahi Hogi? Jee Haan! Na Sirf In Matches Mein Balkay 3rd Position Kay Muqablay Mein Bhi Aik New Ball Ka Istemal Hoga, Jis Ka Naam Hay ‘Al Hilm’. Ye Ball Al Rihla Say Kaisay Mukhtalif Hay? Aur Is Kay Kya Features Hain? Aayen Aap Ko Batatay Hain.

2022 Qatar - Al Hilm

Sab Say Pehlay To Aap Ko Bataein Ke ‘Al Hilm’ Ka Matlab Hay ‘Khwab’. Wo Kaun Say Mulk Hain Jinho Nay Ye Khwab Nahi Dekha Kay Wo World Cup Jeetay. Ab To 4 Mulk Hi Bachay Hain: France, Argentina, Croatia Aur Morocco, Jo Semi Finals Mein Hain Aur Is Ball Kay Zariay Apna Khwab Poora Karnay Ki Koshish Karain Gay.

Adidas Ki Al Rihla Ki Tarah Al Hilm Bhi Environment Friendly Water-Based Ink Aur Glue Say Banai Gai Hay. Yani History Mein Pehli Baar World Cup Final Kisi Environment Friendly Ball Say Khela Jaey Ga.

Raftar Bharne Do

Phir Is Kay Rung To Dekhain, Golden Aur Maroon. Golden Rung Qatar Kay Capital Doha Kay Gird Maujood Sehra Aur FIFA World Cup Trophy Kay Rungon Ko Aur Maroon Qatar Kay Flag Kay Rung Ko Represent Karta Hay.

Al Hilm Mein Bhi Wohi Zabardast Technology Istemal Ki Gai Hay. Is Kay Sensors Semi-Automated Off-Side System Kay Liay Data Communicate Kartay Hain.

Final Aik Zara Mukhtalif Ball Say Khelnay Riwayat Itni Purani Nahi Hay. 2006 Say Final Matches Kay Liay Special Ball Istemal Hoti Aai Hay. 2006 Mein Teamgeist Berlin Say 2018 Mein Telstar Mechta Tak, Har Baar Final Matches Kisi Special Ball Say Hi Khelay Gaey.

FIFA World Cup History Ki Famous Balls

1930 Uruguay - T-Model

Raftar Bharne Do

Pehla FIFA World Cup 1930 Mein Uruguay Mein Khela Gaya Tha, Jis Mein Host Nay T-Model Naami  Ball Use Ki Thi. Brown Leather Say Bani Is Ball Say Uruguay Nay Argentina Ko 4-2 Say Haraya Tha.


1970 Mexico - Telstar

Raftar Bharne Do

Us Kay Baad Next 40 Saal Tak Aisi Hi Leather Balls Istemal Hoti Raheen, Jo Kabhi Brown To Kabhi Kisi Doosray Colour Ki Hoti Theen. Yahan Tak Ke 1970 Aa Gaya. Wo Pehla World Cup Jo Colour Mein Televised Kia Gaya Tha. Is Mein Istemal Honay Wali Ball Bhi Revolutionary Thi. 32 Panels Say Bani Aik Black-And-White Ball. Ye Apnay Rung Ki Waja Say TV Broadcast Mein Aasani Say Nazar Aati Thi.


2006 Germany – Teamgeist

Raftar Bharne Do

32 Panels Ka Design Mukhtalif Shapes Mein 2002 Kay World Cup Tak Use Hota Raha, Yahan Tak Ke 2006 Ka World Cup Aa Gaya. Is Kay Liay 14 Panel Say Ye Ball Banai Gai Jis Ka Naam Tha Teamgeist. Ye Stitches Kay Baghair Banai Gai Pehli Football Thi.

Isi World Cup Mein Pehli Baar Final Kay Liay Ball Ka Special Variant Use Kia Gaya, Jis Ka Naam Teamgeist Berlin Tha.


2010 South Africa – Jabulani

Raftar Bharne Do

Ye Thi Most Controversial Ball Ever! South Africa Mein Honay Walay 2010 FIFA World Cup Kay Liay Adidas Nay Jo Ball Banai, Us Ka Nam Jabulani Tha. 8 Panels Say Bani Ye Ball 8 Heat-Sealed Penals Say Tayar Ki Gai Thi. Laikin Is Kay Aerodynamics Ki Waja Say Players Nay Is Par Buhat Tanqeed Ki.

2014 Brazil – Brazuca

Raftar Bharne Do

History Ki Pehli Ball Jis Fans Nay Naam Dia: Brazuca. Is Kay 6 Heat-Sealed Penals Thay, Youn Ye Barish Mein Bhi Achi Performance Day Gai. Is Kay Final Ki Ball Brazuca Final Rio Green, Gold Aur Black Colour Scheme Rakhti Thi.

2018 Russia – Telstar 18

Raftar Bharne Do

Asal Telstar Ball Ko Tribute Denay Wali Ball Telstar 18 Penals Ki New Form Kay Sath Aai. In Say Ball Ko Hawa Mein Zabardast Stability Mili. Is Mein Integrated Computer Chip Bhi Lagai Gai. Final Mein Aik Mukhtalif Colour Scheme Ki Ball Telstar Mechta Use Ki Gai, Is Ka Matlab Bhi Wohi Hay: Dream.

To Al Hilm Kis Ka Dream Poora Karay Gi? Bus Kuchh Din Intezar Kar Lain.

شیئر

جواب لکھیں