England Ki Batting Line Shaitan Ki Aant Ki Tarah Lambi Hay. Is Liay 113 Runs Ka Target Koi Masla Hi Nahi Tha, Laikin 5 Wickets Day Kar 19th Over Main Ye Target Hasil Karna England Kay Shan-E-Shayan Nahi Tha. Isliay Hum Keh Saktay Hain Ke Afghanistan Apnay Pehlay Match Main Haara Zaroor Laikin Utni Buri Tarah Nahi, Jitni Buri Batting Ki Thi.

ICC T20 World Cup 2022, 14th Match

Afghanistan vs England

22 October 2022

Perth Stadium, Perth, Australia

Result: England 5 Wickets Say Jeet Gaya

Raftar Bharne Do Afghanistan112-10
Ibrahim Zadran32 (32)
Usman Ghani30 (30)
Eng BowlingOMRW
Sam Curran3.40105
Ben Stokes40192
Raftar Bharne Do England(T: 113)113-5
Liam Livingstone29* (21)
Alex Hales19 (20)
Afg BowlingOMRW
Mohammad Nabi30161
Rashid Khan40171

Toss Jeet Kar Bowling Kartay Huay England Nay Afghan Batting Line Ko Dam Hi Na Lainay Dia. Especially Sam Curran Ki Bowling Nay. Unhon Nay Sirf 10 Runs Day Kar 5 Wickets Leen, Aur Yoon T20 International Cricket Main Fifer Lainay Walay Pehlay English Bowler Banay.

Laikin Perth Main Aaj Bowlers Ka Nahi Balke Fielders Ka Din Tha. Jahan England Kay Liam Livingstone, Adil Rashid Aur Jos Buttler Nay Naqabil-E-Yaqeen Catches Liay, Waheen Afghan Captain Mohammad Nabi Nay Bhi Aik Kamal Catch Pakra.

England Ki Bowlers Ki Performance Ka Poora Credit Un Kay Fielders Ko Jata Hay. Hum Abhi Australia-New Zealand Match Main Glenn Phillips Kay Catch Ko Hi Nahi Bhoolay Thay Ke English Players Fielding Ko Aik New Level Par Lay Gaey. Unhi Ki Waja Say Afghan Innings Aisi Derail Hui Ke Phir Patri Par Charhh Hi Nahi Saki.

Ibrahim Zadran Aur Usman Ghani Ki Run-A-Ball Innings Kisi Barray Total Tak Puhanchanay Kay Liay Kafi Nahi Then. Is Liay Bhari Zimmedari Mohammad Nabi Ka Kandhon Par Thi, Laikin Captain Jos Buttler Kay Unbelievable Catch Nay Unhain 3 Runs Par Hi Wapsi Ka Ticket Day Dia.

Afghanistan Apnay Last 5 Overs Main Sirf 21 Runs Bana Saka, Balke Us Ki Last 5 Wickets Sirf 3 Runs Kay Izafay Say Gaeen. Is Performance Kay Baad To Afghanistan Ka Koi Chance Nahi Banta Tha. Laikin England Kay Liay Bhi Chase Koi Cakewalk Sabit Nahi Hua.

Pehlay 5 Overs Main Sirf 35 Runs Aur Phir Afghan Spinners Aanay Kay Baad To Runs Ko Brake Hi Lag Gaey.

14th Over Main Jab Mohammad Nabi Kay Khubsoorat Catch Par Dawid Malan Out Huay To Score Board Par Sirf 81 Runs Thay. Phir Bhi Target Itna Kam Tha Ke England Ko Rokna Na-Mumkin Tha. Laikin Ye Baat To Hay Ke England Ko Net Run Ret Main Izafay Ka Jo Golden Chance Mila Tha, Wo Us Ka Faida Nahi Utha Saka. 19th Over Main Ja Kar Ye Target Pura Kia. Livingstone 21 Balls 29 Runs Kay Sath Highest Scorer Rahay.

England Ab Agla Match Wednesday 26th October Ko Ireland Say Khelay Ga, Jabke Afghanistan Usi Din New Zealand Ka Muqabla Karay Ga, Jo Defending Champion Australia Ko Buri Tara Hara Kar Apna Best Start Lay Chuka Hay.

Ye Kahain To Ghalat Nahi Hoga Ke Is Group Main Koi Match Aasan Nahi, Isi Liay Super 12 Round Kay Group 1 Ko ‘Group Of Death’ Kaha Ja Ra Hay.

شیئر

جواب لکھیں