Sri Lanka Ki World Cup Campaign Say Darr Lag Raha Hay, Kyunke Ye Bilkul Asia Cup Jaisi Hay. Asia Cup Main Sri Lanka First Match Afghanistan Say Haara Tha, Aur World Cup Kay Round 1 Main Namibia Say. Lekin Lagta Hay Ye Sri Lanka Ki Lazmi Aur Warm-Up Haar Hoti Hay, Jis Kay Baad Wo Asal RAFTAR Pakarta Hay. Asia Cup Main Bhi Sri Lanka Pehla Muqabla Haarnay Kay Baad Saray Matches Jeeta Tha, Aur T20 World Cup Main Kam Az Kam Ab Tak To Aisa Hi Hay.
ICC T20 World Cup 2022, 15th Match
Sri Lanka vs Ireland
23 October 2022
Bellerive Oval, Hobart, Australia
Result: Sri Lanka 9 Wickets Say Jeet Gaya
Ireland | 128-8 | |
---|---|---|
Harry Tactor | 45 (42) | |
Paul Stirling | 34 (25) |
SL Bowling | O | M | R | W |
---|---|---|---|---|
Maheesh Theekshana | 4 | 0 | 19 | 2 |
Hasaranga de Silva | 4 | 0 | 25 | 2 |
Sri Lanka | (T: 129) | 133-1 |
---|---|---|
Kusal Mendis | 68* (43) | |
Charith Asalanka | 31* (22) |
IRE Bowling | O | M | R | W |
---|---|---|---|---|
Gareth Delany | 4 | 0 | 28 | 1 |
Curtis Campher | 1 | 0 | 8 | 0 |
Hobart Main Super 12 Kay Pehlay Match Main Sri Lanka Nay Ireland Ko 9 Wickets Ki Barri Shikast Di Hay, Wo Bhi Is Tarah Ke 5 Overs Ka Khel Abhi Baqi Tha. Is Se Points Table Par Sri Lanka Kay Net Run Rate Ko Bohat Boost Mila Hay, Aur Points Table Par Kisi Bhi Mushkil Situation Main Usay Semi Final Tak Bhi Puhancha Sakta Hay.
Khair, Ye To Bohat Aagay Ki Baat Hay, Aaen Baat Kartay Hain Aaj Kay Match Ki. Jahan Ireland Nay Toss Jeeta Aur Pehlay Khud Batting Ka Faisla Kia.
Ireland Nay Apnay Last Donon Matches Chase Kartay Huay Jeetay Thay. Laikin Aaj Najany Kyun Pehlay Batting Ki? Is Ka Faida Bhi Kuchh Nahi Hua. Aik Slow Start Kay Baad Ireland Wickets Bhi Nahi Bacha Saka. Experienced Paul Stirling 25 Balls 34 Kay Sath Out Huay Aur 10 Overs Huay To 60 Runs Par Hi 4 Out Thay.
Yahan Harry Tactor Nay 42 Balls Par 45 Runs To Banaey, Laikin Aik Achha Target Dainay Kay Liay Zara Tez Khelnay Ki Zarurat Thi. 20 Overs Main Score Board Par Sirf 128 Runs Hi Jama Ho Sakay, Jo Sri Lanka Ko Roknay Kay Liay Kafi Nahi Thay.
Sri Lanka Ka Start Bilkul Target Kay Mutabiq Tha. 9th Over Main Jab Dhananjaya De Silva Out Honay Walay Pehlay Batsman Banay To Score Board Par 63 Runs Pehlay Say Mojood Thay.
Is Kay Baad Ireland Kuchh Nahi Kar Saka. Kusal Mendia Aur Charith Asalanka Nay 15th Over Main Hi Target Poora Kar Dia. Mendis 43 Balls 68 Aur Asalanka 22 Balls 31 Runs Kay Sath Not Out Rahay.
Ireland Super 12 Main Puhanch To Gaya Hay, Laikin Usay Apni Performance Ko Bhi Up Karna Hoga. 2 Baar Kay Champion West Indies Ko Bahar Karnay Kay Baad Us Say Achhi Expectations Hain.