England Ki Cricket Team 17 Saal Baad Pehli Baar Test Series Khelnay Pakistan Aa Gai Hay. Last England Tour Of Pakistan 2005 Mein Hua Tha. Tab Wo Rankings Mein World No. 2 Tha, Ashes Mein Australia Kay Khilaf Historic Victory Haasil Ki Thi. Balkay Pooray Summer Season Mein Sirf 1 Test Match Haara Tha. Laikin Pakistan Mein Us Kay Saath Kya Hua? Ye History Hay Aur Mystery Bhi.

Waisay England T20 World Cup Say Pehlay 7 Matches Ki Aik T20 Series Khelnay Bhi Pakistan Aa Chuka Hay. Laikin Ab 1st December Say Donon Ka Aamna Samna Aik Mukhtalif Format Mein Hoga. Series Ka Pehla Test Rawalpindi Mein Khela Jaey Ga Jis Kay Baad Multan Aur Karachi Aglay 2 Test Matches Ki Mezbani Karain Gay.

England Tour Of Pakistan 2022

vs.VenueDate
1st TestRaftar Bharne Do PakistanRaftar Bharne Do EnglandRawalpindi1-5 Dec 2022
2nd TestRaftar Bharne Do PakistanRaftar Bharne Do EnglandMultan9-13 Dec 2022
3rd TestRaftar Bharne Do PakistanRaftar Bharne Do EnglandKarachi17-21 Dec 2022

Pakistan Ka Last Tour

England Nay 2005 Mein Ashes Ki Historic Win Kay Baad Pakistan Ka Tour Kia Tha. Michael Vaughan Ki Team Apnay Urooj Par Thi. England Nay Pooray Saal Mein Wo Sirf 2 Test Matches Haaray Thay. Wo Rankings Mein No. 2 Tha Jabkay Pakistan To 4th Par Tha. Phir England Jacques Kallis, Herschelle Gibbs Aur Graeme Smith Kay South Africa Aur Shane Warne, Glenn McGrath Aur Ricky Ponting Kay Australia Ko Hara Chuka Tha, To Pakistan Kis Khet Ki Mooli Tha.

England Tour Of Pakistan 2005 Ka Pehla Test 12 November 2005 Say Multan Mein Khela Gaya Tha, Aur Kya Hi Yaadgar Match Tha Wo! Marcus Trescothick Nay 193 Runs Ki Innings Kheli Aur England Ko 144 Runs Ki Lead Dilai. Match Kay Aakhri Din England Ko 198 Runs Chase Karnay Thay. Match England Ki Grip Mein Tha Jab Pakistan Nay Aik Famous Victory Haasil Ki. Multan Ki Is Subah Pehlay Session Mein Hi England Ki 5 Wickets Gireen Aur Aakhir Mein Wo Sirf 22 Runs Say Haar Gaya. Ye Pakistan Ki Yaadgar Kamyabion Mein Say Aik Hay.

England Tour Of Pakistan 2005
(Photo: Getty Images)

Faisalabad Test Mein England Aik Martaba Phir Collapse Kar Gaya. Aik Stage Par To Us Ka Score 20-4 Tha. Yahan Kevin Pietersen Aur Andrew Flintoff Ki 80 Runs Ki Partnership Nay Usay Sambhala. Phir Geraint Jones Aur Ashley Giles Nay Match Draw Kar Kay England Ko Aik Aur Shikast Say Bachaya.

Is Match Ki Khaas Baat Thi Inzamam-Ul-Haq Ki Donon Innings Mein Centuries.

Series Ka Aakhri Test Lahore Mein Hua. England Series Barabar Karnay Kay Mood Mein Tha. Laikin Mohammad Yousuf Ki Double Century Aur Kamran Akmal Kay 154 Runs Nay Pakistan Ko 348 Runs Ki Lead Di. Phir Shoaib Akhtar Ki 5 Wickets Nay England Ko Urra Kar Rakh Dia. Pakistan Innings Aur 100 Runs Say Jeeta.

England Tour Of Pakistan 2005
(Photo: Getty Images)

England Tour of Pakistan 2005

vs.ResultMarginVenueDate
Raftar Bharne Do PakistanRaftar Bharne Do EnglandWon22 RunsRawalpindi1-5 Dec 2022
Raftar Bharne Do PakistanRaftar Bharne Do EnglandDrawn-Multan9-13 Dec 2022
Raftar Bharne Do PakistanRaftar Bharne Do EnglandWonInns and 100 RunsKarachi17-21 Dec 2022

Kaun Sa World No. 2 Aur Kaun Sa Ashes Champion? Pakistan Nay England Ko 2-0 Say Buri Tarah Hara Dia Aur Sabit Kia Ke Pakistan Ko Home Ground Par Harana Buhat Mushkil Hay.

Aaj 17 Saal Baad

Laikin Aaj Is Baat Ko 17 Saal Guzar Chukay Hain. Ab Pakistan Test Rankings Mein 6th Number Par Hay Jabkay England 4th Hay. Ben Stokes Kay Captain Aur Brendon McCullum Kay Coach Ban’nay Kay Baad English Team Wonders Kar Rahi Hay. Kya Pakistan 2005 Wali Performance Day Sakay Ga? Kaun Shoaib Akhtar Ka Kirdar Ada Karay Ga Aur Kaun Inzamam Aur Yousuf Banain Gay? Ye 21 December Tak Pata Chal Jaey Ga.

شیئر

جواب لکھیں