Aik Din Guzar Chuka Hay Laikin Ihsanullah Ki Bowling Ka Nasha Nahi Utar Raha. 150+ Kmph Ki Bowling Karnay Wala Aik Aur Star Janam Lay Chuka Hay. Wo Bhi Aisay Waqt Mein Jab Multan Sultans Ki Bowling Line Shanawaz Dahani Kay Baad Kamzor Nazar Aati Thi. Ihsanullah Nay Saray Doubts Khatam Kardiay Aur Sirf 12 Runs Day Kar 5 Wicket Lay Kar Multans Sultans Ko Season Ki Pehli Kamyabi Dila Di.

Laikin, Ihsanullah Ki 5-12 Pakistan Super League History Ki Best Bowling Figures Nahi. Ye Karnama Hay Asal Mein Ravi Bopara Ka. PSL Kay First Season Mein Lahore Qalandars Kay Against Important Match Mein Sirf 16 Runs Day Kar 6 Wickets Li Theen. Aur Kya Hi Bowling Spell Tha Wo!

179 Runs Chase Kartay Huay Lahore Qalandars 98-0 Tak Puhanch Chuka Tha, Tab Bopara Aaey Aur Lahore Collapse Ho Gaya. Bopara Nay Chris Gayle, Umar Akmal, Dwayne Bravo, Mohammad Rizwan, Hammad Azam Aur Naved Yasin Ko Out Kia Aur Lahore Ko Muqablay Say Bahar Kardia.

Un Kay Baad Naam Aata Hay Faheem Ashraf Ka. Unhon Nay 2019 Mein Lahore Hi Kay Against 19 Runs Day Kar 6 Wickets Haasil Ki Theen. Qalandars Becharon Ka Haal Tab Aisa Hi Tha.

PSL Mein Kisi Bowlers Ka 6 Wickets Lainay Ka Teesra Karnama Anjam Dia Umar Gul Nay. 2018 Mein Multan Sultans Ki Taraf Say Kheltay Apni Purani Team Quetta Gladiators Kay Against 24 Runs Day Kar 6 Wickets Li Theen.

Best Bowling Figures in PSL

RunsWktsvsSeason
Ravi Bopara (KK)166LQ2016
Faheem Ashraf (IU)196LQ2019
Umar Gul (MS)246QG2018
Shaheen Afridi (LQ)45MS2018
Shahid Afridi (PZ)75QG2016
Mohammad Sami (IU)85KK2016
Ihsanullah (MS)125QG2023

Yahi Nahi Kisi Innings Mein ‘Fifer’ Lainay Walon Mein Bhi Ihsanullah Say Behtar 3 Bowlers Hain. 2018 Mein Shaheen Afridi Nay Multan Sultans Kay Against Sirf 4 Runs Day Kar 5 Players Ko Out Kia Tha. Phir Shahid Afridi Nay First Season Mein Peshawar Zalmi Ki Taraf Say Gladiators Kay 5 Players Out Kia Thay, Sirf 7 Runs Lay Kar.

‘Karachi Express’ Mohammad Sami Nay Bhi First Season Mein Islamabad United Ki Taraf Say Kheltay Huay Karachi Kings Kay 5 Players Sirf 8 Runs Day Kara Kharka Diay.

In Sab Kay Baad Aata Hay Ihsanullah Ka Naam. Jo Is Liay Zara Mukhtalif Hay Kyunke Wo Itnay Famous Nahi Hain. Is Match Say Pehlay Unhain Aam Cricket Fans Itna Nahi Jantay Thay. Laikin Ab Har Taraf Ihsanullah Ka Naam Hay.

شیئر

جواب لکھیں