At Last, Lionel Messi Apnay Aakhri World Cup Mein Trophy Jeet Hi Gaey. Wo 2014 Mein World Champion Ban’nay Kay Buhat Qareeb Puhanchay Thay, Laikin Haar Hui, Baad Mein Retirement Lay Li, Phir Retirement Wapis Lay Kar Aik Baar Phir International Football Mein Wapis Aaey, Aur Apnay Last World Cup Mein Apni Best Performance Day Kar Argentina Ko World Champion Bana Dia. Ye Story Hamain Kuch Milti Julti Lagti Hay, Apnay Imran Khan Say.

Aik Jaisa Debut

Imran Khan Nay Sirf 18 Saal Ki Umar Mein Pakistan Kay Liay Apna Career Start Kia Tha. Ye England Kay Against 1971 Ki Test Series Thi Jo Un Ka Start Sabit Hui. Yahi Umar Thi Messi Ki Bhi, Yani 18 Saal Jis Mein Unhon Nay 2005 Mein Argentina Kay Liay Apna International Debut Kia.

Mazay Ki Baat Ye Ke Donon Ka Debut Bhi Aik Jaisa Hi Tha: Imran Khan Pehli Innings Mein 5 Runs Par Run Out Huay Aur Phir 2 Innings Mein Aik Wicket Tak Nahi Lay Sakay. Jabke Messi Ko 63rd Minute Mein Stadium Mein Utara Gaya Tha Aur 2 Minutes Baad Hi Red Card Kha Kar Bahar Ho Gaey. Yani International Level Par Buhat Mayoos-Kun Start Lia.

Phir Banay Living Legend

Laikin Us Kay Baad Peechay Murr Kar Nahi Dekha, Na Khan Nay, Na Messi Nay.

Imran Khan Lionel Messi Donon Apnay Sports Days Mein Hi Aik Living Legend Ban Gaey. Jis Tarah Messi Ka Comparison Cristiano Rolando Aur Doosray Baray Players Kay Sath Hota Hay, Waisay Hi Imran Khan Apnay Career Mein Hi Dunya Kay Best All Rounders Mein Say Aik Thay. Un Ka Muqabla India Kay Kapil Dev, England Kay Ian Botham Aur New Zealand Kay Richard Hadlee Say Kia Jata Tha.

Imran Khan International Career

FormatMat.RunsHSAve.WktsBBM
Test88380713637.6936214/116
ODI1753709102*33.411826/14

Imran Khan Bhi As A Captain Aik Kay Baad Doosra Karnama Kartay Rahay, Messi Bhi Captain Thay Aur Un Se Acha Koi Nazar Nahi Aata Tha. Yahi Waja Hay Ke Apnay Khel Kay Dinon Mein Hi Unhain GOAT (Greatest Of All Time) Kahan Jata Tha.

Lionel Messi International Career

Competitive MatchesCompetitive GoalsFriendly MatchesFriendly GoalsTotal MatchesTotal Goals
12154514417298

Aur Hua Heartbreak

Imran Khan Lionel Messi

Imran Aur Messi Mein Aik Aur Analogy Ye Hay Ke Donon Apnay Urooj Kay Dinon Mein Sab Say Bara Title Nahi Jeet Sakay, Yani World Cup.

1987 Ka Cricket World Cup Tab Hua Tha, Jab Imran Khan Apni Peak Par Thay. Pakistan Ko Dunya Ki Koi Taqat Rokti Nazar Nahi Aa Rahi Thi, Jab Pakistan Australia Kay Khilaf Lahore Mein World Cup Semi Final Haar Gaya. Is Heartbreak Nay Imran Khan Ko Itna Mayoos Kia Ke Unhon Nay Cricket Say Hi Retirement Ka Ailan Kardia.

Imran Khan Ki Performance Us World Cup Mein Buhat Umda Thi. Unhon Nay Sirf 7 Matches Mein 17 Wickets Li Theen. Laikin Ye Sab Bhi Pakistan Kay Liay Kafi Sabit Nahi Hua.

Messi To Phir Imrah Khan Say Bhi Aagay Niklay. 2014 Mein Wo Semi Final Ki Stage Bhi Paar Kar Gaey. Netherlands Ko Penalties Par Hara Kar Final Mein Puhanchay Jahan 113rd Minute Mein Mario Gotze Kay Goal Nay Messi Ka Dream Aur Argentina Ka Khwab Torr Dia. Is World Cup Mein Messi Ki Performance Imran Khan Ki Tarah Buhat Aala Thi, Tabhi To Player Of The Tournament Ka Golden Ball Award Unhi Ko Mila Tha, Laikin Nahi Mila To World Cup Nahi. 2016 Mein Messi Nay Bhi International Football Say Retirement Lay Li.

Naya Janam, Naya Champion

Imran Khan Nay Us Waqt Kay Sadar Zia-Ul-Haq Kay Kehnay Par Apni Retirement Wapis Li Aur Aik Baar Phir Pakistan Ki Kaptaani Sanbhali. Yahan Tak Ke 1992 Aa Gaya. Imran Khan Ka Last World Cup, Champion Ban’nay Ka One Last Chance. Us Tournement Mein Pakistan Ka Start Buhat Hi Bura Tha. Wo Important Matches Haara, Laikin Phir Sanbhal Gaya Aur World Champion Ban Gaya.

Ab Messi Ko Dekhain. 2014 Kay Heartbreak Kay Baad Unhon Nay Bhi Retirement Li, Aur Phir Khan Sahib Ki Tarah Wapis Bhi Li. 2018 FIFA World Cup Mein To Argentina Round Of 16 Mein Hi Bahar Ho Gaya, Laikin Messi Ka Last World Cup Tha Qatar 2022. Jis Mein Argentina Ka Start Bilkul Waisa Hi Tha Jaisa Pakistan Ka World Cup 1992 Mein Tha. Yani Pehla Match Buri Tarah Haar Gaey. Pakistan West Indies Say 10 Wickets Say Haara To Argentina Ko Saudi Arabia Kay Hathon Biggest Upset Ever Hua.

Imran Khan Lionel Messi
Messi Kay Last World Cup Ka Bhayanak Start (Photo: Reuters)

Laikin Phir Team Sanbhal Gai, Bilkul Pakistan Ki Tarah. Apnay All-Important Matches Jeetay Aur Phir Final Mein Mighty France Ko Penalty Shootouts Par Shikast Di. Jaisay Pakistan Nay Hot Favourite England Ko Haraya Tha.

Final Performance

Imran Khan Lionel Messi
(Photo: Getty Imagess)

1992 World Cup Final Mein Imran Khan Nay Toss Jeet Kar Pehlay Batting Karnay Ka Faisla Kia Tha Aur Phir Pakistan Ki 2 Wickets 24 Runs Par Hi Gir Gaeen. Yahan Imran Khud Order Mein Ooper Aaey Aur 110 Balls Par 72 Runs Ki Wo Innings Kheli Jis Nay Match Ko Palat Dia. Pakistan Aakhir Mein Imran Khan Ki Wicket Kay Sath Hi Ye Final 22 Runs Say Jeet Gaya.

Ab Messi Ko Dekhain, 2022 FIFA World Cup Final Mein Unhon Nay 2 Goals Kiay Aur Phir Penalties Mein Bhi Apni Shoot Miss Nahi Ki. Yahi Waja Hay Ke Unhain Best Player Ka Golden Ball Award Mila.

Youn Imran Khan Ki Tarah Messi Ka Khwab Bhi Aakhri World Cup Kay Aakhri Match Mein Poora Hua. Khan Nay 40 Saal Ki Umar Mein World Cup Jeeta Aur Messi Nay 35 Ki Age Mein.

Parana Say Indus Tak, Ye Kahani Lagti To Buhat Door Ki Hay, Laikin Haqeeqt Mein Aik Doosray Say Kafi Qareeb Hay.

شیئر

جواب لکھیں