Karachi Ne Woh Kar Dikhaya, Jis Ki Consecutive 3 Defeats Ke Baad To Kisi Ko Umeed Nahi Thi. Khauf Tha Ke Kings Ka Hashar Last Season Jaisa Na Ho, Lekin PSL 2023 Kay Sab Se Barray Muqablay KK v LQ Mein Karachi Nay Archrival Lahore Qalandars Ko 67 Runs Se Hara Diya. Jee Haan! Itnay Barray Margin Se, Jis Se Abhi Tak Is Season Mein Koi Team Nahi Jeeti.

Is Kamyabi Mein Captain Imad Wasim Ne Sab Se Crucial Role Play Kia. Unhon Ne 35 Not Out Runs Banaye Aur 1 Wicket Bhi Haasil Ki Aur Man Of The Match Banay. Lekin Haqeeqat Yeh Hay Ke Openers Mathew Wade Aur James Vince Say Lay Kar Naujawan Akif Javed Aur Fielders Tak, Sub Nay Sabit Kia Ke Wo Karachi Aik Unit Ki Tarah Khel Kar Kisi Bhi Situation Say Uth Sakta Hay Aur Jeet Sakta Hay.

Pakistan Super League 2023

Karachi Kings vs Lahore Qalandars

19 February 2023

National Stadium, Karachi, Pakistan

Result: Karachi 67 Runs Say Jeet Gaya

🟦 KK185-5
James Vince46 (36)
Imad Wasim35 (19)
LQ BowlingOMRW
Liam Dawson30291
Zaman Khan40341
🟩 LQ(T:186)118
Tahir Baig45 (39)
Kamran Ghulam23 (22)
KK BowlingOMRW
Akif Javed3.30284
Ben Cutting10122

Shaheen vs Wade

Muqablay Ka Aaghaz Rivalry Kay Andar Rivalry Se Hua. Pehli Ball Shaheen Afridi Ne Phenki Aur Samnay Thay Matthew Wade. Wohi Wade Jinhon Nay 2021 T20 World Cup Mein Shaheen Afridi Ko 3 Sixes Laga Kar Pakistan Ka World Cup Dream Khatam Kar Dia Tha. Shayad Yahi Shaheen Ke Zehen Mein Tha, Kyunke Wade Ko Samnay Dekh Kar Un Say Start Mein Hi 2 Wides Ho Gaeen. Shayad Yahi Indication Thi Ke Aaj Qalandars Ka Din Nahi.

Khair, Matthew Wade Aur James Vince Ne Karachi Ko Behtareen Aghaz Diya. 7 Overs Mein 70 Runs Ki Opening Partnership, Jis Ka End Run Out Say To Nahi Hona Chahiye Tha. Wade Ne Abhi Haath Kholay Hi Thay Ke Aik Ghair Zaroori Run Lainay Ki Koshish Mein Run Out Ho Gaye.

Haan! Vince Ki Kamal Batting Jari Rahi. Albatta Haider Ali Aur Shoiab Malik Un Ka Zyada Sath To Nahi Day Sakay. Vince 46 Runs Bananay Ke Baad Fifty Ki Taraf Ja Hi Rahay Thay Ke Zaman Khan Ki Aik Perfect Yorker Unhain Clean Bold Kar Gai.

Advantage Karachi

124 Runs Par 4 Wickets Girnay Ke Baad Lag Raha Tha Ke Halaat Badal Jayen Gay, Jazbat Badal Jayen Gay, Laikin Nahi! Imad Wasim Nay Situation Ko Sanbhala Un Ki 19 Balls Par 35 Runs Ki Captain Innings Nay. Dekhnay Wala Manzar Woh Tha Jab Imad Nay Shaheen Afridi Ko Six Lagaya. Yeh Innings Ka 18th Over Tha Jis Ki Last Ball Par Ben Cutting Ne Bhi Aik Kamaal Six Lagaya. Youn Ho Gaya Advantage Karachi!

Waisay 1 Minute Kay Liay Sochain, Jab National Stadium Mein Lahore Qalandars Ki Dhulai Ho Rahi Thi To Environment Kya Hoga? Spectators Ne Aasman Sir Par Utha Rakha Tha, Jab Last 5 Overs Mein Karachi 55 Runs Ke Izafay Say Score Ko 185 Tak Le Gaya.

Lahore Under Pressure

Ab Lahore Tha Aur 186 Runs Ka Target Tha. Start Se Hi Team Is Barray Hadaf Ke Pressure Mein Nazar Aai Kyunke Wicket Itni Aasaan Nahi Thi. Powerplay Mein 47 Runs Par Hi 2 Out Ho Gaye. Mohammad Aamir Ki Ball Par Shai Hope Ka Jo Catch Irfan Niazi Ne Liya, Usay To Season Mein Ab Tak Ka Best Catch Keh Satkay Hain. Khud Dekh Lain:

Start Mein Hi 2 Wickets Girnay Ke Baad Lahore Ki Runs Bananay Ki Raftar Kam Hoti Gayi, Yahan Tak Ke 13th Over Ne Match Ka Naqsha Hi Badal Diya. 45 Runs Bananay Walay Tahir Bag Aur 23 Runs Par Maujood Kamran Ghulam Donon Ko Akif Javed Ne Out Kia. Kuch Hi Dair Mein Hussain Talat Bhi Wicket Day Gaye Aur Phir Lahore Ki Innings Uth Nahi Saki.

Final Blows

Lahore Ka Haal The Ke 15 Overs Mein Score Sirf 97 Runs Tha, Yani Approx. 6 Runs Per Over Kay Rate Say. Yahan David Wiese Aur Sikandar Raza Nay Aakhri Koshish Ki, Lekin Sirf 5 Overs Mein 89 Runs Banana Namumkin Tha.

10 Balls Par 5 Wickets

Isi Pressure Mein 16th Over Ki Last Ball Par David Wiese Aamer Yamin Ko Wicket Day Gaye Aur Next Over Mein Ben Cutting Ne Aik 6 Aur 4 Khanay Ke Baad Bhi Last 2 Balls Par Sikandar Raza Aur Shaheen Afridi Ko Chalta Kar Diya. Jis Kay Akif Javed Aaey Aur Liam Dawson Aur Zaman Khan Ki Wickets Lay Kar Match Hi Khatam Kar Dia. Lahore Ki Last 5 Wickets Sirf 10 Balls Par Gireen.

Akif, Jinhain Aaj Andrew Tye Ki Jagah Khilaya Gaya Tha, Ne 4 Players Ko Out Kia Aur Apni Selection Ko Saabit Kya. 2 Wickets Aamer Yamin Ne Bhi Leen, Jin Mein Fakhar Zaman Ka Karara Clean Bowled Bhi Shamil Tha.

To Karachi Kings Ki Is Pehli Kamyabi Ke Sath Ab Points Table Par Sub Teams Kuch Na Kuch Rakhti Hain. Balkay Behtar Run Rate Ki Wajah Se Karachi 2nd Number Par Aa Gaya Hai Aur Lahore Qalandars Sub Say Aakhri Number Par Hain. Khair, Yeh To Season Ka Start Hay, Abhi To Bohat Kuch Dekhna Baqi Hay.

Pakistan Super League Points Table

19 February 2023

MWLPTNRR
🟦 MS43162.107
🟦 KK41320.499
🟥 IU2112-0.832
🟪 QG2112-1.199
🟨 PZ2112-1.350
🟩 LQ2112-1.650
شیئر

جواب لکھیں