Pakistan Super League Last Year Jahan Khatam Hui Thi, New Season Ka Start Bilkul Waheen Say Hua Hay. Lahore Qalandars Aur Multan Sultans Nay Pichlay Saal Ka Last Aur Is Saal Ka Pehla Match Khela Aur Kya Zabardast Muqabla Dekhnay Ko Mila, Wah! Maza Hi Aa Gaya!

Lahore Qalandars ‘The Barest Of Margins’ Yani Sirf 1 Runs Say Jeeta. Yani Apnay Title Kay Defence Kay Liay Best Possible Start Lia Hay. Laikin, Donon Teams Nay Sabit Kia Ke Wo Na Sirf Capable Hain Balke PSL Title Kay Liay Strong Contender Bhi Hain.

Pakistan Super League 2023

Multan Sultans vs Lahore Qalandars

13 February 2023

Multan Cricket Stadium, Multan, Pakistan

Result: Lahore 1 Run Say Jeet Gaya

LQ175-6
Fakhar Zaman66 (42)
Tahir Baig32 (26)
MS BowlingOMRW
Usama Mir40252
Ihsanullah40372
MS(T:176)174-6
Mohammad Rizwan75 (50)
Shan Masood35 (31)
LQ BowlingOMRW
Hussain Talat20161
Shaheen Afridi40271

One Of The Best Opening Ceremony

PSL 8 Ka Start Aik Aisi Ceremony Say Hua Jisay Multan To Kabhi Nahi Bhoolay Ga. Ye Aik Super Start Tha. Zabardast Fireworks Aur Drone Show Nay To Mela Hi Loot Lia. Singers Ki Performance Bhi Best Rahi, Especially Sahir Ali Bagga Kay Ganay Par To Poora Maidan ‘Pakistan Zindabad’ Kay Naaron Say Goonj Utha.

Ceremony To Itni Achi Thi Ke Is Par Achi Khasi Memes Ban Gaeen, Jaisay Ye Dekh Lain: 😁

Match Bhi Kamal

Khair, Ceremony To Jandaar Thi Hi, Match Bhi Shandaar Hua. Multan Sultans Nay Toss Jeeta, Pehlay Bowling Ki Aur Apni Homeopathic Bowling Say Hi Lahori Openers Ko Pareshan Kardia. Ye To Fakhar Zaman Ki Qismat Achi Thi Ke Shuru Mein Bach Gaey, Warna Jitna Shaky Start Un Ka Tha, Lag Raha Tha Ke Wicket Ab Gai Ke Tab Gai.

Khair, Fakhar Nay ‘Sialkoti Munday’ Tahir Baig Kay Sath 61 Runs Ka Acha Start Dia. Fakhar To Aik Baar Tick Jayen, Phir Unhain Hatana Bara Mushkil Hota Hay. Yahi Multani Bowlers Kay Sath Hua, Jo 15 Overs Tak Fakhar Ki Wicket Nahi Lay Sakay.

Fakhar Nay 44 Balls Par 62 Runs Banaey. Un Kay Baad Last 5 Overs Mein 50 Runs Score Karnay Ka Kaam Kia Sikandar Raza Aur Hussain Talat Nay. Aur Lahore 175 Runs Tak Puhanch Gaya.

Lahore Ka Start Jitnay Shaky Tha, Multan Ka Itna Hi Confident Raha. Lahore Ki Tagrri Bowling Line Bhi Multani Openers Ka Kuch Nahi Bigaar Saki. Yahan Tak Ke Mohammad Rizwan Aur Shan Masood Nay 100 Runs Ki Opening Partnership Karli. Lagta Tha Match Multan Ki One-Sided Victory Par Khatam Hoga. Last 5 Overs Mein Multan Ko 49 Runs Ki Zarurat Thi Aur Us Ki 9 Wickets Baqi Theen. Aur Yaheen Match Nay Palta Kha Lia.

Turning Point

16th Over Mein Shaheen Ki Yorker Nay Match Ka Rukh Hi Badal Dia. 50 Balls Par 75 Runs Ki Innings End Ko Puhanchi Aur Yahi Match Ka Turning Point Sabit Hua.

Pace Is Pace Yaar!

Yahan Match Wildly Swing Hua, Kabhi Lahore Kay Haq Mein To Kabhi Multan Kay Hath Mein. Laikin Real Difference Sabit Hui Lahore Ki Bowling. Especially Qalandars Nay Sabit Kia Kay Aik Acha Pace Attack Kaisay Miracles Kar Sakta Hay. Jaisi Ball Shaheen Afridi Ki Thi Jis Par Rizwan Out Huay, Waisi Ki Kamal Ki Delivery Wo Thi Jis Par Haris Rauf Nay David Miller Ko Clean Bowled Kia.

Kieron Pollard Nay Aakhri Try Zarur Ki, Aur Haris Rauf Ko Aik Six Aur Aik Four Laga Kar Equation Ko Last Over Mein 15 Runs Tak Puhancha Dia, Laikin Multan Aakhri Line Paar Nahi Kar Saka.

Zaman Ka Zamana

Shaheen Afridi Nay Last Over Mein 15 Runs Defend Karnay Kay Liay Ball Pehlay David Weise Ko Di, Laikin Phir Faisla Badla Aur Zaman Khan Par Bharosa Kia. Ye Din Ka Sub Say Crucial Decision Sabit Hua.

2nd Ball Par Hussain Talat Kay Throw Par Kieron Pollard Ka Run Out Aur Phir Next Ball Par Usman Khan Ka Lbw Match Ko Dilchasp Bana Gaya. Yahan Sari Zimmedari Khushdil Shah Kay Kandhon Par Thi Laikin Last Balls Par Required Six Nahi Laga Sakay Aur Lahore Jeet Gaya. 

Zaman Ko Last Over Par Shabashi To Banti Hay, Unhon Nay Apnay Qadd Say Barh Kar Kaam Kar Dikhaya. Laikin Ye Aik Team Effort Tha Jis Nay Sabit Kia Ke Lahore Apnay Title Ke Defend Karnay Ki Puri Salahiyat Rakhta Hay.

PSL 2023 Mein Ab Next Match Karachi Kings Aur Peshawar Zalmi Ka Hay, Yani Babar Azam vs Mohammad Amir Scene Dekhnay Ko Milay Ga.

شیئر

جواب لکھیں