Isay England Ka Over Confidence Kahain Ya Stupidity? Ya Phir New Zealand Ka Jailbreak? Donon Teams Ka 2nd Test History Kay Greatest Test Matches Mein Say Aik Ban Chuka Hay. Wellington Test Mein New Zealand Jeeta Sirf Aur Sirf Aik Run Say, Jee Haan! By The Barest Of All Margins. Laikin Kaisay? Aayen Aap Ko Batatay Hain.
England Tour of New Zealand 2023 - 2nd Test
New Zealand vs England
24-28 February 2023
Basin Reserve, Wellington, New Zealand
Result: New Zealand won by 1 run
ENG | 1st Innings | 435-8d | |
Harry Brook | 186 (176) | Matt Henry | 4-100 |
Joe Root | 103 (155) | Michael Bracewell | 2-54 |
NZ | 1st Innings | 209 | |
Tim Southee | 73 (49) | Stuart Broad | 4-61 |
Tom Blundell | 38 (79) | James Anderson | 3-37 |
NZ (following on) | 2nd Innings | 483 | |
Kane Williamson | 132 (282) | Jack Leach | 5-157 |
Tom Blundell | 90 (166) | Harry Brook | 1-25 |
ENG | (Target: 258) | 256 | |
Joe Root | 95 (113) | Neil Wagner | 4-62 |
Ben Foakes | 35 (57) | Tim Southee | 3-45 |
England Jis Tarah Ki Cricket Khel Raha Hay, Lagta Nahi Kay Koi Usay Hara Bhi Sakta Hay. Yahan Tak Ke Apnay Home Ground Par Bhi Jaan Kay Laalay Parr Gaey Hain. Hum Pakistani To Kabhi Home Ground Par 3-0 Ki Shikast Nahi Bhool Saktay. Kuch Yahi Haal New Zealand Ka Bhi Tha.
Mount Maunganui Main Honay Walay Pehlay Test Mein Us Nay New Zealand Ko 267 Runs Ki Bhari Bharkam Shikast Di Aur 2nd Test Mein Bhi Kuch Aisa Hi Lag Raha Tha. England Nay Sirf 87 Overs Mein 435 Runs Bana Kar Apni 1st Innings Declare Ki. Harry Brook Ki Tabahi Batting Nay Mahaul Bana Dia Tha. Phir New Zealand Ko 209 Runs Par All Out Kar Kay Follow-On Par Majboor Kar Dia.
Twist in the Tale
Us Waqt Kis Nay Socha Tha Ke New Zealand Yahan Say Match Nikaalnay Mein Kamyab Hojaey Ga? 2nd Innings Mein Aaya Twist In The Tale, 1st Wicket Par 149 Runs Ki Partnership Bani. Phir Kane Williamson Ki Hundred Aur Tom Blundell Kay 90 Runs Nay Match Mein Wapsi Ka Imkaan Paida Kardia.
New Zealand Nay 2nd Innings Mein 483 Runs Banaey Aur Youn England Ko Dia 258 Runs Ka Target. England 4th Day Kay End Par 48-1 Par Khara Tha Aur Phir Aa Gaya Wo Din, Jo Sab Dinon Par Bhari Tha, One Of The Greatest Days Of Test Cricket Kahain To Ghalat Nahi Hoga.
Last Day Par Short Balls Galore Mein England Aik, Aik Karkay Apni Wickets Daita Gaya, Yahan Tak Ke 80 Runs Par 5 Out Ho Gaey. Yahan Joe Root Aur Ben Stokes Nay Girti Hi Innings Ko Sanbhala. Donon Lunch Tak Score Ko 168 Tak Lay Gaey Aur Us Kay Baad Bhi 201 Runs Tak Puhancha. Baqi Bacha Kya Tha? Sirf 57 Runs? Match England Kay Hathon Mein Tha Aur Yaheen Par Aaya Turning Point!
Turning Point
England 201 Runs Par Tha Jab Injured Ben Stokes Nay Aik Short Ball Par Bhayanak Shot Apni Wicket Day Gaey, Phir Hua Wo Rare Collapse Hua, Jo History Mein Yaad Rakha Jaey Ga. Next Mein Mein Neil Wagner Nay Joe Root Ko Bhi Out Kar Dia, Jo 95 Runs Par Apni Wicket Day Gaey, Yani Apni 30th Hundred Na Bana Sakay.
Last Man Standing
7 Wickets Gir Janay Kay Baad England Ko Bachanay Ki Aakhri Koshish Ki Ben Foakes Nay. Unhon Nay 35 Runs Banaey Aur Target Ko Sirf 7 Runs Kay Faaslay Par Lay Aaey. Laikin Yahan Out Ho Gaey Aur Kuch Hi Dair Mein James Anderson Aik Down The Leg Janay Wali Ball Ko Chhernay Ki Ghalti Kar Bethay. Blundell Nay Wickets Kay Peechay Aik Kamaal Catch Lia Aur Match Ka Khatma Kar Dia.
MoM: Short Balls!
New Zealand Ki Is Epic Victory Mein Numayaan Kirdar Tha Short Balls Ka, Last Day Taqreeban Sari Hi Wickets Short Balls Par Leen.
Salam England!
Khair, Ye Match To Amar Ho Gaya, Laikin Kya England Nay Follow-On Par Majboor Kar Kay Ghalti Ki? Aisa Hum Is Liay Nahi Keh Saktay Ke Yahi To England Ka Cricket Style Hay Jo Test Cricket Ko Zinda Rakhnay Ka Kaam Karay Ga. Is Liay Hum To Yahi Kahain Gay Salam England! Salam Bazball!