Is Waqt India Mein Men’s Hockey World Cup Chal Raha Hay, Aik Baar Phir Pakistan Kay Baghair Hi. Aik Zamana Tha Ke Hum Dunya Ko Sikhatay Thay Ke Hockey Kheltay Kaisay Hain, Aur Ab Ye Waqt Aa Chuka Hay Ke Pakistan Last 4 World Cup Tournaments Mein Say 2 Kay Liay Qualify Hi Nahi Kar Paya. Aur Jin World Cup Tournaments Mein Shirkat Ki, Wahan Bhi 12th Position Hasil Ki.
Hockey World Cup Mein Pakistan Ki Performance
1994 Hockey World Cup Jeetnay Kay Baad
Year | Host | Position |
---|---|---|
1998 | Utrecht, Netherlands | 5th |
2002 | Kuala Lumpur, Malaysia | 5th |
2006 | Mönchengladbach, Germany | 6th |
2010 | New Delhi, India | 12th |
2014 | The Hague, Netherlands | DNQ |
2018 | Bhubaneswar, India | 12th |
2023 | Bhubaneswar, India | DNQ |
World Cup Ki History
History Ka Pehla Hockey World Cup 1971 Mein Khela Gaya Tha, Balke Ye Idea Bhi Pakistan Hi Ka Tha. First World Cup Mein Pakistan Nay Host Spain Ko Hara Kar Pehla Title Jeeta Aur Tab Say Ab Tak Sab Say Zyada, 4 Martaba, World Champion Reh Chuka Hay. Pakistan Nay 1978, 1982 Aur Aakhri Baar 1994 Mein World Cup Trophy Uthai Thi Aur Ab Taqreeban 30 Saal Ho Chukay Hain, Phir Kabhi Ye Aizaz Nahi Mila.
Phir Bhi Koi Doosri Team Aaj Tak Pakistan Jitnay, Yani 4 World Cup Nahi Jeet Pai. Netherlands Nay 3 Baar 1973, 1990 Aur 1998 Mein, Australia Nay Bhi 3 Martaba 1986, 2010 Aur 2014 Mein, Germany Nay 2 Baar 2002 Aur 2006 Mein, Jabke India Aur Belgium Nay 1,1 Martaba World Cup Trophy Uthai. India Nay Apna Pehla Aur Last Hockey World Cup 1975 Mein Jeeta Tha, Jabke Belgium Nay 2018 Mein Khela Gaya Last World Cup Jeeta Tha.
FIH Men's Hockey World Cup
Teams Reaching Top Four
Team | Champions | Runners-up | Third place | Fourth place |
---|---|---|---|---|
Pakistan | 4 (1971, 1978, 1982, 1994) | 2 (1975, 1990) | 1 (1973) | |
Netherlands | 3 (1973, 1990, 1998) | 4 (1978, 1994, 2014, 2018) | 2 (2002, 2010) | 1 (1982) |
Australia | 3 (1986, 2010, 2014) | 2 (2002, 2006) | 5 (1978, 1982, 1990, 1994, 2018) | 1 (1998) |
Germany | 2 (2002, 2006) | 2 (1982, 2010) | 4 (1973, 1975, 1986, 1998) | 3 (1978, 1990, 1994) |
India | 1 (1975) | 1 (1973) | 1 (1971) | |
Belgium | 1 (2018) |
Ab Pakistan Kahan Hay?
Pakistan Hockey Ab Kahan Hay? Kuch Nahi Pata. Wo Team Jo Record 4 World Cup Jeetnay Kay Sath Sath 2 Martaba Runner-Up Rahi. 3 Olympic Gold, 3 Silver Aur 2 Bronze Bhi Jeeti. 8 Baar Asian Games Mein Gold Medal Lia Aur 3,3 Martaba Silver Aur Bronze Bhi Hasil Kiay. 3 Baar Champions Trophy Bhi Jeeti, 7 Baar Runner-Up Rahi, Aur Hockey Ka Kaun Sa Aizaz Hay Jo Haasil Nahi Kia. Aaj Is Haal Ko Puhanch Chuki Hay Ke Hockey Kay Kisi Baray Tournament Kay Liay Qualify Tak Nahi Kar Sakti.
Zawaal Ki Dastaan
Pakistan Hockey Kay Zawaal Ki Dastaan Buhat Lambhi Aur Dukh Bhari Hay. Is Mein Buhat Say Factors Shamil Hain. Pakistan Hockey Ko Pehla Dhachka Puhancha Tab Puhancha Jab 1986 Kay World Cup Say Hockey Ko Natural Grass Kay Bajaey Astroturf Par Shift Ho Gai. Is Nay To Asian Style Hockey Ka Khatma Hi Kardia. Pakistan Nay Phir Bhi Kuch Arsay Tak Himmat Ki. 1990 World Cup Kay Final Tak Puhancha, 1992 Olympics Mein Bronze Medal Jeeta Aur Phir 1994 Mein Apna Aakhri World Cup Title Bhi Haasil Kia, Laikin Us Kay Baad Green Shirts Kabhi Koi World Cup Nahi Jeet Sakay, Aur Na Hi Olympic Mein Koi Medal Haasil Kia.
Cricket Ka Kirdar
Hockey Kay Zawal Mein Aik Kirdar Cricket Ka Bhi Raha, Especially 1992 Cricket World Cup Mein Pakistan Ki Jeet Ka. Is Nay Pakistan Mein Cricket Ko Itna Maqbool Bana Dia Ke Hockey Samait Koi Bhi Doosra Khel Is Kay Samnay Tik Nahi Saka. Hockey Qaumi Khel Zaroor Tha, Laikin Sab Cricketer Ban’na Chahtay Thay. Hockey Fields Aahista Aahistan Veeran Honay Lageen, Team Ki Aik Kay Baad Doosri Shikast Nay Bhi Apna Kirdar Ada Kia Aur Aaj Pakistan Hockey Ka Kuch Pata Nahi. Aaj Pakistan World Hockey Rankings Mein 16th Number Par Hay. Aik Aisa Rank Jo Pakistan Kay Shayaan-e-Shaan Nahi.