Ramiz Raja Nay Bus Itna Hi To Kaha Tha Ke Peshawar Mein International Teams Ko Lana Mumkin Nahi. Yaad Hay Na Kitna Reaction Aaya Tha? Balke Ye “Gunah” To Un Kay Khilaf Charge Sheet Ka Hissa Ban Gaya. Laikin Pakistan Cricket Board Ki New Administration To PSL Kay Matches Bhi Yahan Nahi Karwa Saki. Quetta Kay Sath Sath Peshawar Ko Bhi Kata Dia Hay, Laikin Phir Bhi Mutma’in Hay: “Kisi Ki Jaan Gai, Aap Ki Ada Thehri!

Pakistan Super League Ka Next Season 13 February Say Shuru Honay Wala Hay. Schedule Kay Mutabiq Sub Say Zyada 11 Matches Rawalpindi Ko Diay Gaey Hain. Lahore Aur Karachi 9,9 Matches Ki Mezbani Karain Gay Aur Sab Say Kam 5 Muqablay Hongay Multan Mein. Peshawar Aur Quetta Aik Baar Apni Hot Favourites Teams Ko Apnay Shehr Mein Nahi Dekh Sakain Gay.

Waisay Is Baar Karachi Bhi Kuch Peechay Peechay Hay, Kyunke Is Martaba Na Yahan Opening Ceremony Hogi, Aur Na Hi Final. Saray Play Off Matches Balke Final Bhi Lahore Mein Khela Jaey Ga. Multan Ko Opening Match Mila Hay Aur Rawalpindi Ko 3 Women Exhibition Matches. Karachi Ko First Stage Kay Kuch Muqablon Par Hi Guzara Karna Hoga.

شیئر

جواب لکھیں