Pakistan Cricket Ka Sub Say Bara Mela Shuru Honay Hi Wala Hay. T20 Hay Batsman Ka Khel. Jis Kay Paas Tagray Batsman Hon, Wo Upper Hand Rakhta Hay. Pakistan Super League Mein Doosri Leagues Kay Muqablay Mein Bowlers Achay Hotay Hain, Laikin Phir Bhi Batsman Ka Role Zyada Important Hay. Jis Ka Balla Chala, Wo Trophy Bhi Lay Jata Hay.

PSL 8 Mein Kaun Sub Say Aagay Jaey Ga? Ye To Nahi Keh Saktay Laikin Filhaal Aap Ko PSL History Kay Sub Say Zyada Runs Bananay Walay Batsmen Kay Baray Mein Batatay Hain.

1. Babar Azam

Raftar Bharne Do

PSL History Mein Sub Say Zyada Runa Apnay Babar Azam Kay Hain. Previous Seasons Mein Islamabad United Aur Karachi Kings Ki Janib Say Kheltay Huay Babar Azam Nay 66 Innings Mein 2413 Runs Banaey Hain. 42 Say Zyada Ka Average Aur 121.13 Ka Strike Rate Rakhnay Walay Babar 23 Fifties Bana Chukay Hain Laikin Un Kay Record Par Century Koi Nahi. 90* Ka Highest Score Rakhnay Walay Babar PSL 8 Mein Peshawar Zalmi Kay Kaptan Hongay, Kya Wo Is Season Mein Apni Pehli Century Bana Payen Gay?

2. Kamran Akmal

Raftar Bharne Do

Kamran Akmal Nay 2016 Say 2022 Tak, Apna Poora PSL Career Peshawar Zalmi Ki Taraf Say Khela. 75 Matches Mein 137 Kay Strike Rate Say 1972 Runs Banaey Aur PSL Kay All Time Highest Runs Scorers Mein 2nd Number Par Hain. ‘Kami’ Nay PSL History Mein Sub Say Zyada 3 Centuries Bhi Bana Rakhi Hain Aur Un Kay Record Par 12 Fifties Bhi Hain.

3. Fakhar Zaman

Raftar Bharne Do

Fakhar Zaman Puranay Qalandar Hain. 63 Innings Mein Unhon Nay 1939 Runs Banaey Hain, Wo Bhi 138.79 Kay Strike Rate Say. Ye PSL History Kay Top 5 Most Runs Rakhnay Walay Kisi Bhi Batsman Say Zyada Hain. Un Kay Record Par 16 Fifties Aur 1 Century Bhi Shamil Hay.

Un Kay Baad Top 5 Mein Shoaib Malik Aur Mohammad Hafeez Ka Naam Hay. Donon 1500 Say Zyada Runs Rakhtay Hain.

PSL Mein Sub Say Zyada Runs

InnsRunsHSAveSR50100
Babar Azam66241390*42.33121.13230
Kamran Akmal741972107*27.38136.94123
Fakhar Zaman63193910631.27138.79161
Shoaib Malik6818827334.21129.97120
Mohammad Hafeez68159698*27.51122.6790

Agar Hum Season-Wise Dekhtain To 2016 Main Umar Akmal Nay Sub Say Zyada Runs Banaey Thay. Lahore Qalandars Ki Taraf Say Kheltay Huay Unhon Nay 7 Matches Mein 157 Say Zyada Kay Strike Rate Say 335 Runs Banaey Thay.

2017 Mein Un Kay Bhai Kamran Akmal Nay Peshawar Zalmi Ki Taraf Say Kheltay Huay Sub Say Zyada 353 Runs Banaey. Is Main Aik Hundred Aur 2 Fifties Shamil Theen.

PSL 3 Mein Islamabad United Kay Luke Ronchi Ka Raj Raha. Unhon Ay 11 Matches Mein 182 Kay Strike Rate Say 435 Runs Banaey. Wo Player Of The Series Banay Aur Islamabad United Bhi Champion Bana.

2019 Mein Quetta Gladiators Ki Successful Campaign Mein Leading Role Tha Shane Watson Ka. Unhon Nay 144 Kay Strike Rate Say 430 Runs Banaey Thay.

Phir Aaya ‘Babar Ka Zamana’. Unhon Nay 2020 Mein Karachi Kings Ko Champion Bananay Mein Key Role Play Kia. 11 Innings Mein 124 Kay Strike Rate Aur 59 Kay Average Say 473 Runs Banaey. Aur Yahi Nahi 2021 Mein Bhi 554 Runs Ki Madad Say Top Scorer Rahay.

Last Season Fakhar Zaman Ka Tha. Un Kay 13 Innings Mein 588 Runs Mein Aik Hundred Aur 7 Fifties Shamil Theen. Lahore Pehli Baar Champion Bana Aur Fakhar Ko Mili Season Mein Sub Say Zyada Runs Bananay Par Hanif Mohammad Trophy.

Ab Title Defend Karnay Mein Fakhar Wohi Role Play Kar Sakain Gay? Us Kay Liay Hamaray Sath Mil Kar PSL 8 Dekhtay Rahain.

PSL: Hanif Mohammad Trophy Winners

SeasonBatterInnsRunsAveSRHS50100
2016Umar Akmal (LQ)733583.75157.279340
2017Kamran Akmal (PZ)1135332.09129.3010421
2018Luke Ronchi (IU)1143543.50182.0094*50
2019Shane Watson (QG)1243043.00143.8191*40
2020Babar Azam (KK)1147359.12124.147850
2021Babar Azam (KK)1155469.25132.5390*70
2022Fakhar Zaman (LQ)1358845.23152.7210671
شیئر

جواب لکھیں