Pakistan Super League Dunya Bhar Ki Leagues Say Mukhtalif Kyun Hay? Kyunke Is Mein Bowlers Buhat Tagray Hotay Hain. Is League Mein Hota Hay Batsmen Ka Asal Imtehan. Aur Ye Baat Stats Say Sabit Bhi Hoti Hay.
PSL Nay Pakistan Ko Buhat Say Bowling Superstars Diay. Hasan Ali, Shadab Khan, Shaheen Afridi Aur Shahnawaz Dahani, Ye Sub PSL Hi Ki Products Hain.
Agar PSL History Dekhtain To Sub Say Zyada Wickets Wahab Riaz Ki Hain. Wohi Wahab Riaz Jo Pre-Season Exhibition Match Mein Iftikhar Ahmed Say Aik Over Mein 6 Sixes Kha Chukay Hain. Ye Wahab Kay Liay Aik Big Blow To Hay Laikin Wo Recover Honay Ki Poori Salahiyat Rakhtay Hain. Kyunke Wo Hain PSL History Kay Sub Say Kamyab Bowler.
1. Wahab Riaz
Wahab Riaz Shuru Say Aaj Tak Peshawar Zalmi Say Khel Rahay Hain. Wo 76 Innings Mein 103 Wicket Lay Chukay Hain, Aur PSL History Kay Only Bowler Hain Jin Ki Wickets 100 Say Zyada Hain. Unhon Nay 103 Wickets 21.29 Kay Average Aur 7.59 Kay Economy Rate Say Li Hain. PSL 6 Mein Islamabad United Kay Against 4/17 PSL Mein Un Ki Best Bowling Hay.
2. Hasan Ali
Hasan Ali PSL History Mein 2nd Most Wickets Rakhtay Hain. Unhon Nay 63 Innings Mein 81 Wickets Li Hain, 23.07 Kay Average Aur 7.83 Kay Economy Rate Say. Wo 3 Martaba Innings Mein 4 Wickets Lay Chukay Hain. 15/4 Un Ki Best Bowling Performance Thi Jo Unhon Nay 2019 Mein Lahore Qalandars Kay Against Dikhai Thi.
3. Shaheen Afridi
Shaheen Afridi 70 Wickets Kay Sath PSL Mein 3rd Most Wickets Rakhtay Hain. Un Ka Average 20.77 Aur Economy 7.63 Hay. Sirf 4 Runs Day Kar 5 Wickets Shaheen Ki Best Performance Hai. 2019 Mein Multan Sultans Kay Against Unhon Nay Us Waqt Sirf 4 Runs Day Kar 5 Wickets Leen Jab Multan 99-3 Par Khara Tha. Shaheen Ki Waja Say Wo 114 Runs Par All Out Ho Gaya.
Shaheen PSL 8 Mein Defending Champion Lahore Qalandars Kay Captain Hain, Agar Lahore Apna Title Bachana Chahta Hay To Shaheen Ka Chalna Buhat Zaruri Hay.
4. Shadab Khan
Ab Aatay Hain Aik Aur Captain Shadab Khan. Wo Shuru Say Ab Tak Islamabad United Say Khelay Hain Aur 60 Innings Mein 65 Wickets Lay Chukay Hain. 24.23 Ka Average Aur 7.26 Ka Zabardast Economy Rate, Jo PSL History Kay Top 5 Bowlers Mein Sub Say Kam Hay. Shadab Ki Best Bowling Performance 28 Runs Day Kar 5 Wickets Hay, Jo Unhon Nay Last Year Quetta Gladiators Kay Khilaf Li Theen.
5. Faheem Ashraf
Shadab Kay Teammate Faheem Ashraf PSL Wicket Takers Mein 5th Number Par Hain. Unhon Nay 49 Innings Mein 64 Wickets Li Hain. 20.71 Kay Average Aur 7.96 Ka Economy Unhi Ka Hay. PSL History Kay Best Bowling Figures Bhi Faheem Kay Hain. Unhon Nay PSL 2019 Mein Sirf 19 Runs Day Kar 6 Wickets Li Theen.
Most Wickets in PSL History
Inns | Wkts | BBI | Ave | Econ | 4 Wkts | |
---|---|---|---|---|---|---|
Wahab Riaz | 77 | 103 | 4/17 | 21.29 | 7.59 | 1 |
Hasan Ali | 64 | 81 | 4/15 | 23.07 | 7.83 | 3 |
Shaheen Afridi | 50 | 70 | 5/4 | 20.77 | 7.63 | 1 |
Shadab Khan | 61 | 65 | 5/28 | 24.23 | 7.26 | 2 |
Faheem Ashraf | 49 | 64 | 6/19 | 20.71 | 7.94 | 1 |
Season-Wise Dekhtain To PSL Kay Inaugural Season Mein Andre Russell Most Prominent Bowler Ban Kar Samnay Aaey Thay. Unhon Nay Sirf 10 Innings Mein 16 Wickets Li Theen Aur Fazal Mahmood Trophy Apnay Naam Ki Thi.
2017 Mein Green Cap Karachi Kings Kay Sohail Khan Ko Mili Thi Jinhon Nay 9 Innings Mein 16 Wickets Li Theen.
PSL 2018 Mein Faheem Ashraf 12 Innings Mein 18 Wickets Kay Sath Sab Say Aagay Rahay. Aur 2019 Mein Hasan Ali 25 Wickets Lay Kar No. 1 Rahay.
Lahore Qalandars 2020 Mein Title To Nahi Jeet Sakay Laikin Unhain Final Tak Puhanchanay Mein Key Role Play Kia Tha Shaheen Afridi Nay. 12 Matches Mein Shaheen Nay 19.52 Kay Average Say 17 Wickets Haasil Ki Theen.
2021 Multan Ka Saal Tha Aur Bowler Bhi Sultans Hi Ka Chala. Shahnawaz Dahani Nay Sirf 11 Matches Mein 20 Wickets Lay Kar Sub Ko Hairan Kardia. Sirf 5 Runs Day Kar 4 Wickets Un Ki Best Performance Thi.
Last Year Lahore Qalandars Ko Champion Bananay Mein Sub Say Numayan Thay Khud Captain Shaheen Afridi. Leading From The Front, Unhon Nay 13 Innings Mein 19.7 Kay Average Say 20 Wickets Haasil Keen.
Agar Shaheen Is Performance Ko Repeat Karnay Mein Kamyab Ho Gaey To Lahore Ko Champion Ban’nay Say Koi Nahi Rok Sakta.
PSL: Fazal Mahmood Trophy Winners
Season | Player | Inns | Wkts | BBI | Ave | Econ | 4WI |
---|---|---|---|---|---|---|---|
2016 | Andre Russell (IU) | 10 | 16 | 3/18 | 17.25 | 8.02 | 0 |
2017 | Sohail Khan (KK) | 9 | 15 | 3/24 | 13.53 | 6.15 | 0 |
2018 | Faheem Ashraf (IU) | 12 | 18 | 3/19 | 17.22 | 7.75 | 0 |
2019 | Hasan Ali | 13 | 25 | 4/15 | 13.64 | 6.77 | 3 |
2020 | Shaheen Afridi | 12 | 17 | 4/18 | 19.52 | 7.11 | 1 |
2021 | Shahnawaz Dahani | 11 | 20 | 4/5 | 17.00 | 8.42 | 2 |
2022 | Shaheen Afridi | 13 | 20 | 3/30 | 19.7 | 7.57 | 0 |