Aik Aur World Cup, Aik Aur Highly Important Match, Aur Aik Aur Shikast. South Africa Choker Tha Aur Choker Hi Raha. South Africa Ki Ye Kahani Utni Hi Purani Hay Jitni Khud Us Ki Cricket History.

World Cup 1992 Say Lay Kar Aaj Tak, 30 Saalon Main Jab Bhi South Africa Kisi Barray Tournament Ki Knockout Ya Crucial Stage Main Puhancha Hay, 99 Percent Haara Hi Hay. Jaisay Aaj Hi Ko Lay Lain, Kis Nay Socha Tha Ke South Africa, India Ko Haranay Wala South Africa, Apnay Last Match Main Netherlands Say Haar Jaey Ga.Aur Yoon World Cup Say Bahar Ho Jaey Ga?

Aisa Nahi Ke South Africa Koi Halki Team Hay. Wo Major Tournament Main Hamesha Favourite Hoti Hay. Aisa Lagta Hay Koi Proteas Ko Hara Nahi Sakay Ga. Laikin Phir Achanak, Najanay Kahan Say Haar Jata Hay. South Africa Choker Ban Jata Hay.

Hamdardi Ka Vote

Raftar Bharne Do
(Photo: Getty Images)

World Cup ’92 To Chalain South Africa Ka Pehla Barra Tournament Tha. Wo Khela, Balke Buhat Achha Khela. Laikin Kyunke Kisi Ko Expectations Nahi Theen, Is Liay Semi-Final Tak Puhanchna Bhi Bari Baat Samji Gai. Rain Rule Ki Waja Say England Say Hara To ‘Hamdardi Ka Vote’ Bhi Mila. Laikin Us Kay Baad To South Africa Nay Aadat Hi Banali!


Unbeatable Say Brutally Beaten Tak!

Raftar Bharne Do
South Africa Lara Ka Muqabla Nahi Kar Saka (Photo: Getty Images)

World Cup ’96 Main South Africa Title Favourite Tha. Group Stage Main Apnay Tamam 5 Kay 5 Matches Jeeta. New Zealand Ko Haraya, England Ko Haraya, Home Ground Par Pakistan Ko Haraya. Laikin… Quarterfinal Main Puhanchtay Hi West Indies Say Haar Gaya. Us West Indies Say Jo Apnay 5 Main Say Sirf 2 Matches Jeet Kar Barri Mushkil Say Quarter Final Tak Puhancha Tha.


Heartbreak Of The Century

Raftar Bharne Do
Wo Aik Run! (Photo: PA Photos)

Phir World Cup ’99 Aaya. South Africa ‘Team To Beat’ Tha. Group Stage Main Sirf Aik Match Hara. Super 6 Main Pakistan Aur India Ko Bhi Hara Dia Laikin Pehla Knock-Out, Jee Haan Aik Baar Phir Apna Pehla Knock-Out Match Hi Haar Gaya. Isay ‘Best ODI Ever’ Bhi Kehtay Hain. Wohi Semi-Final Jis Main Australia Kay Sath Match Tie Hua Aur South Africa Aik Baar Phir Sabit Hua 'Choker'.


Aur Barish Nay Phansa Dia

Raftar Bharne Do
'92 Kay 11 Saal Baad Phir Barish (Photo: Getty Images)

World Cup 2003 Main To Hadd Hi Ho Gai. Is Martaba To South Africa ‘Red-Hot Favourite’ Tha. Kyunke Ye World Cup South Africa Main Hi Khela Gaya Tha. Laikin Sri Lanka Kay Khilaf Aik Crucial Match Main Barish Nay Kaam Kharab Kardia. South Africa Hisab Kitab Main Phans Gaya, Aur Pehli Stage Par Hi World Cup Say Bahar Ho Gaya.


Phir Semi-Final, Phir Australia

Raftar Bharne Do
Hamaray Saath Hi Aisa Kyun Hota Hay? (Photo: Getty Images)

World Cup 2007 Main South Africa Phir Semi-Final Main Puhancha, Aur Aik Aur Martaba Phir Australia Say Hi Haar Gaya. Sirf 149 Runs Par All-Out Ho Kar.

Usi Saal T20 World Cup Bhi Hua Tha. Yahan Net Run Rate Par Bahar Hua. Home Ground Par Phir Disappointment.


Pakistan Kay Hathon Bhi

Raftar Bharne Do
Wo 'Lala' Ka Din Tha! (Photo: Getty Images)

2009 Kay T20 World Cup Main South Africa Super 8s Kay Sub Matches Jeeta Tha. Koi Haranay Wala Nahi Tha Jab Semi-Final Main Pakistan, Balkay Shahid Khan Afridi Ka Samna Ho Gaya. Trent Bridge Main Honay Wala Semi-Final Hara Aur Ho Gaya Aik Martaba Phir Bahar.

Waisay Pakistan Nay Hi T20 World Cup 2010 Main Bhi South Africa Ko Super 8s Ka Most Important Match Horaya Tha Aur Musalsal Doosray World Cup Main Usay Bahar Kia Tha.


Ab To Aadat Si Hay..

Raftar Bharne Do
(Photo: AP)

Phir To Ye Aadat Hi Ban Gai. 2011 Main South Africa Group Main Top Position Par Aaya. Laikin Quarterfinal Main Puhanchtay Hi, Yani Aik Baar Phir Pehlay Knockout Main Hi New Zealand Say Haar Gaya.


Aik Aur T20 World Cup Gaya

Raftar Bharne Do
All Time Best South African Team Bhi ..... Nahi Jeeti (Photo: AFP)

2014 Main Honay Walay T20 World Cup Main Pehla Knockout Tha Semi-Final. Yahan South Africa Kay Muqabla Parr Gaya India Say. Jis Nay Unhain Phir Johannesburg Ki Ticket Pakra Di.


South African Nay South Africa Ko Kaat Dia

Raftar Bharne Do
South African vs South African (Photo: Getty Images)

2015 Main South Africa World Cup Kay Kay Liay Hot Favourite Tha. Khela Bhi Kamal. Is Martaba To Quarterfinal Ki Stage Bhi Cross Karli. Sub Keh Rahay Thay Ke ‘Choker’ Ka Daagh Mit Chuka. Laikin Semi-Final Main Aik South African Nay Hi Hara Dia. New Zealand Nay Last Over Main Kamyabi Hasil Ki Aik South African Grant Elliott Ki Unforgettable Innings Ki Madad Say.


Kab Phhorain Gay Yaar!

South Africa vs Netherlands
Most Shocking Result (Photo: ICC)

2022 Kay T20 World Cup Main South Africa Favourite To Nahi Tha, Laikin Performance Buhat Jandaar Thi. India Ko Unhon Nay Jis Tarah Haraya Us Kay Baad To Sub Keh Rahay Thay Ke South Africa Ko Harana Ab Mushkil Hoga. Laikin Dekhain Kya Pakistani Team Wali Harkat Ki Hay Ke Aik Match Main India Ko Haranay Kay Baad Aglay Main Netherlands Say Haar Gaey, Wo Bhi Aisa Ke Tournament Say Hi Bahar Ho Gaey.

شیئر

جواب لکھیں