Pakistan Aur England Ke Darmiyan Honay Walay T20 World Cup Ke Final Match Mein Barish Khail Kharab Kar Sakti Hai. Shaiqeen Ko Mayoosi Se Bachanay Ke Liye International Cricket Council (ICC) Ne Qawaneen Tabdeel Kar Diye Hain.
Mausam Ka Haal Bitanay Walon Ke Mutabiq Itwaar Ko Melbourne Mein 15 Se 25 Millimeter Barish Honay Ka 95 % Imkaan Hai. Australvi Mehakma-e-Mosmiyat Ka Kehna Hai Ke Sirf Barish Hi Nahi Shadeed Garaj Chamak Bhi Mutawaqqa Hai.
Mausam Ka Mood Badalta Dekh Kar Event Technical Committee Ne Bhi Strategy Mein Tabdeeli Ki Hai. Itwaar Ko 30 Minute Ka Izafi Waqt Mukhtas Hai. Phir Bhi Match Nah Ho Saka To Reserves Day Yani Peer Ko Match Khela Jaye Ga.
ICC Ka Kehna Hai Ke Puri Koshish Ho Gi Ke Match Itwaar Ko Hi Mukammal Ho Jaye. Barish Ki Soorat Mein Reserves Day Par Muqaabla Peer Ko Din 3 Bajay Shuru Kya Jaye Ga.
Technical Committee Ke Mutabiq Kisi Bhi Tournament Ke Knockout Marhalay Ke Match Mein Har Side Ke Liye Kam Az Kam 10 Over Ka Khail Zaroori Hai. Match Ko Mukammal Karne Ke Hawalay Se Koi Bhi Faisla Match Walay Roz Kiya Jaye Ga.
Peer Ko Match Melbourne Time Ke Mutabiq Sehpehar 3 Bujey Shuru Ho Ga. Agar Peer Ko Bhi Match Na Ho Saka To Dono Teamon Ko Mushtarka Champion Qarar Diya Jaye Ga.
Melbourne Main Kai Warm Up Match Aur Super 12 Ke Match Bhi Barish Ki Nazar Ho Chukay Hain.