Hum To Samajh Rahay Thay Ke Zameen Hil Jaey Gi, Aasman Phatt Jaey Ga, Ye Ho Jaey Ga, Wo Ho Jaey Ga. Laikin Ye Kia? Khoda Pahaar, Nikla Chooha? Ye To Pooray T20 World Cup Ka Sub Say One-Sided Match Nikla. India 2nd Semi-Final Mein England Say Haar Gaya, 10 Wickets Say. Aur World Cup Say Bahar Ho Gaya. Yani Ab Final Hoga Pakistan Aur England Ka. Jee! 92 Mein Bhi Aisa Hi Hua Tha 😉.

ICC T20 World Cup 2022 - Second Semi-Final

England vs India

10 November 2022

Adelaide Oval, Adelaide , Australia

Result: England 10 Wickets Say Jeet Gaya

Raftar Bharne Do IND168-6
Hardik Pandya63 (33)
Virat Kohli50 (40)
ENG BowlingOMRW
Chris Jordan40433
Adil Rashid40201
Raftar Bharne Do ENG(T:169)170-0
Alex Hales86* (47)
Jos Buttler80* (49)
IND BowlingOMRW
Axar Patel40300
Arshdeep Singh20150

Confidence: Full, Performance: Zero

Adelaide Mein Khelay Gaey T20 World Cup 2022 Kay Is India England Semi-Final Mein Toss Jeeta Jos Buttler Nay Aur Surprisingly Pehlay Fielding Karnay Ka Faisla Kia. Is Par To Rohit Sharma Bhi Bol Parray “Mein Toss Jeet’ta To Batting Hi Karta.” Yani Full Confidence? Laikin Faida Kuch Nahi Hua. English Bowlers Nay Half Innings Tak Indian Batting Line Ko Baandh Kar Rakha.

KL Rahul Har Important Match Ki Tarah Aaj Bhi Nahi Chalay Aur Jaldi Out Ho Gaey. Jab Rohit Sharma Run-A-Ball 27 Runs Banay Kay Baad Out Huay To Taqreeban 9 Overs Ka Khel Ho Chuka Tha. Aur India Ka Run Rate 7 Runs Per Over Bhi Nahi Tha.

Yahan Par Virat Kohli Aur Hardik Pandya Nay Batting Ki Jo India Ko ‘Below-Par’ Score Say Bacha Gai. Wo Alag Baat Kay England Kay Liay Aaj Sub 'Par Hi Par' Tha. Hardik Nay 33 Balls Par 63 Runs Banaey. Jis Mein 5 Sixes Aur 4 Fours Shamil Thay.

Yeh Innings Waqai Dekhnay Wali Thi Laikin Is Ka Maza Zyada Dair Chala Nahi. Kyunkay 169 Runs Chase Kartay Huay Jos Buttler Aur Alex Hales Nay Tabahi Macha Di.

Toothless Indian Bowling

England Openers Kay Samnay Indian Bowling Aaj Toothless Sabit Hui. Aik Moment Bhi Aisa Nahi Aaya Ke India Match Mein In Nazar Aaya Ho. First Over Say Hi Buttler Aur Hales Nay Indian Bowlers Ko Wo ‘Dhobi Patkay’ Diay Ke Wo Yaad Rakhain Gay.

England Nay 169 Runs Ka Target Sirf Aur Sirf 16 Overs Mein Haasil Kar Lia. Wo Bhi Baghair Koi Wicket Diay. Andaza Laga Lain.

Hales 47 Balls Par 86 Runs Aur Buttler 49 Balls Par 80 Runs Kay Sath Not Out Wapis Aaey. Hales Ki Innings To Treat-To-Watch Thi, Especially Un Kay 7 Sixes Aur 4 Fours. Waisay 3 Sixes Aur 9 Four Captain Buttler Nay Bhi Lagaey.

Buttler-Hales Kay 170 Runs T20 World Cup History Ki Sub Say Barri Opening Partnership Thi. Mazay Ki Baat Ye Ke Pehla Record Bhi India Kay Khilaf Tha Aur Aisay Hi Aik Important Match Mein. Andaza Lagaen Kaun Say? 😀

#92MeinBhi

Khair, To Ab Set Ho Chuka Hay Ke Final Kaun Khelay Ga. Pakistan Aur England, Wo Bhi MCG Mein. Ab Ya To England Apna 30 Saal Purana Badla Lay Ga, Ya Pakistan 92 Ki History Repeat Kar Day Ga.

Waisay Pakistan Aur England Donon 1,1 Baar World Champion Reh Chukay Hain. Pakistan Nay 2009 Aur England Nay 2010 Mein Trophy Uthai Thi. Last 12,13 Years Say Donon Teams Aik Aur Title Jeetnay Ki Koshish Kar Rahi Theen. Ab Kisi Aik Ka Khwab To Sunday Ko Poora Ho Ho Ga Hi.

شیئر

جواب لکھیں