Resumé Ya CV Kisi Bhi Job Kay Liye Aap Ka Sab Say Pehla Introduction Ya Ta’aruf Hota Hay. Ye Itna Effective Hona Chahye Kay Dekhnay Wala Dekhta Naa Reh Jaye, Balkay Aap Ko Foran Call Kar Lay. To Aisay CV Main Kya Shamil Karain? Aur Tarteeb Kia Ho? Chalain Is Par Baat Kartay Hain.

Aik Acha Resume Ya CV Kaisay Likhain? Is Kay Liye Dain Gay Ap Ko Best CV Tips:

Summary

Maazi Main CV Main Objective Statement Likhi Jati Thi, Ab Is Ki Jaga Summary Nay Lay Li Hay.

Asaan Alfaaz Main Ye Aap Ki Skills Aur Company Ki Requirements Ki “Marriage” Hay. Aap Nay Apni Skills Ko Short Form Main Aisay Likhna Hay Jo Matlooba Job Ka Best Match Ho. Behtar Hay Yeh 3 Lines Paragraph Ho.

Job Profile

Best CV Tips

Summary Kay Baad Job Profile Likhain Gay Ke Aap Is Say Pehlay Kon Kon Si Job, Kis Kis Position Par Kar Chukay Hain Wo Batain. Is Main Aap Apni Last Job Sab Say Pehlay Batain. Us Kay Baad Tarteeb Main Baqi Sab. Is Main Aham Ye Hay Kay Apni Responsibilities Batanay Ki Bajaye Apni Achievements Likhain, Yani Aisay Kaam Jo Company Main Pehlay Nahi Huay Thay Aur Aap Nay Kiye Aur Game-Changer Ban Gaey. Is Main Who Kaam Bhi Likhain Jo New Company Ki Kamzori Haun. Agar Aap Fresh Graduate Hain To Apni Educational Profile Likhain Aur Us Main Aap Nay Kis Class Main Kia Different Kia, Who Likhain.

Hard Skills Profile

Dunya Main Din-Badin New Technologies Samnay Aa Rahi Hain, Aisay Main Aham Ye Hay Kay Aap Core Job Kay Sath Sath Koi Tech Ya Hard Skill Bhi Rakhtay Hon. Yahan Ye Bhi Batata Chalon Hard Skills Aisi Skills Ko Kehtay Hain Jin Ko Measure Kia Ja Sakta Hay. Is Ki Tarteeb Main Tech Skills Pehlay Aur Hard Skills Baad Main Ayen Gi.

  • Data Entry
  • Data Analysis
  • Design
  • Programming
  • Social Media Marketing
  • International Languages
  • Written communication

Soft Skills

Aisi Skills Jinhain Measure Karna Mushkil Ho, Aur Aap Ki Individual Performance Yani Infaradi Karkardagi Ki Bajaye Team Ya Group Kay Sath Aap Kay Kaam Karnay Kay Andaaz Ko Wazeh Karain.

  • Courtesy
  • Diversity
  • Inclusiveness
  • Witty
  • Self-confidence
  • Adaptability

Aap Ki Uniqueness

Best CV Tips

Apni Uniqueness Yani Infardiat Kay Baray Main Batain. Agar Aap Apnay Sector Kay Baray Main Vlogs Likhtay Hain, To Unki Tafseel Dain. Multinational Company Hay To Us Kay Liay CV Mein International Languages Jaisay English, Arabic Etc. Ka Zikar Karain. Aap Nay Jo Bari Professional Achievements Hasil Ki Hain, Koi Award, Certificate, Appreciation Letter Unki Tafseel Bhi Batain. Agar Aap Nay Koi Social Work Kia Hay Woh Likhna Bhi Behtar Hay.

Keywords, Kamyabi Ki Chabi

Applicant Tracking System (ATS) Software Kay Liye Keywords Bohat Aham Hain. Especially Agar Aap Fresh Graduate Hain Aur Aap Nay Pehli Job Hasil Karni Hay To Aap Kay CV Main Aap Kay Shobay Main Istaymaal Honay Walay Keywords Ya Most Relevant Words Ka Ziada Say Ziada Istaymal Hona Chahye. For Example, Agar Aap Graphics Designers Kay Liye Apply Kar Rahay Hain To Adobe Photoshop, Adobe Illustrator, Coreldraw Aur Blender Keywords Hain.

Doosri Nazar, Teesri Nazar

Best CV Tips

Agar Aap Kay CV Main Grammar Ki Ghaltian Hain To Kisi Bhi Daftar Main Ye To Bin Mein Jaey Gi. Is Liye Jab Apna CV Final Kar Chukay Haun To Is Ko Kam-Az-Kam 2 Baar Zaroor Parhain. Agar Mumkin Ho To Kisi Senior Ko Dikha Dain. Is Kay Liye Waisay Grammarly Aur ProWritingAid Samait Kai Websites Hain Jo CV Ko Improve Karnay Main Madad Daiti Hain.

In Hidayat Ki Roshni Main Apna CV Likhain Aur Apnay Career Main Taraqqi Ki RAFTAR Tez Say Tez Tar Kar Lain.

شیئر

جواب لکھیں