Pakistan Main Sonay Ki Qeemat In Dinon Tareekh Ki Buland Tareen Satah Par Hai. Tashweesh Naak Baat Yeh Nahi Hay. Tashweesh Naak Baat Ye Hay Ke International Market Main Gold Price Main Itna Izafah Nahi Hua. Pakistan Main Gold Ki Price Rupee Ki Devaluation Ki Wajah Se Barhi Hay. Is Se Bhi Ziyada Tashweesh Naak Baat Ye Hay Ke Dollar Ki Jo Qeemat Sarkari Tor Par Batayi Jati Hay. Gold Us Qeemat Ke Lehaaz Se Nahi Mil Raha. Balkay Sonay Ki Qeemat Ke Lehaaz Se Dollar Ki Value 272 Rupee Tak Banti Hay.

Log Gold Main Invest Kyun Kar Rahay Hain?

Pakistan Ke Default Honay Ki Baton, Economic Uncertinity Ki Wajah Se Log Paisa Karobar Main Laganay, Bank Main Rakhwanay Ke Bajaye Gold Aur Real Estate Main Invest Kar Rahay Hain. Guzishta Aik Saal Main Pakistan Main Gold Price 40% Tak Barhnay Ki Wajah Se Investors Ko Faida Bhi Hua Hay. Isi Liye Mazeed Log Apna Sarmaya Mehfooz Karne Ke Liye Sonay Ki Kharidari Ko Tarjeeh Day Rahay Hain.

Pakistan Main Gold Price Ki History

Mulk Ban'nay Ke Baad Economic Aur Political Problems To Thay Lekin International Institutions Se Loan Le Kar Kaam Chal Raha Tha. Yahi Wajah Hay Ke Rupee Ki Value Stable Thi. 1947 Main Dollar 3.31 Rupee Ka Tha. 1971 Tak Dollar Ki Qeemat Main Sirf 1.46 Rupee Ka Izafah Hua Aur Dollar 4.77 Rupee Ka Hua. Is Liye Is Daur Main Gold Ki Qeemat Main Jo Bhi Kami Beshi Hoti Thi Woh International Market Main Utaar Charhao Ki Wajah Se Hoti Thi. 1952 Main Aik Tola Sonay Ki Qeemat 87 Rupee Thi. Jo 1971 Main 177 Rupee Tak Pohanchi. May 1972 Main Zulfiqar Ali Bhutto Ne Rupee Ki Value Main 60% Kami Ki Tou Aik Tola Sona 246 Rupee Ka Ho Gaya. Us Ke Baad Yeh Qeemat Mazeed Barhti Gayi Aur 1977 Main Bhutto Hukoomat Ke Khatmay Tak Gold Price 597 Rupee Tola Ho Chuki Thi.

1978 Main Aalmi Market Main Sona 230 Dollar Per Ounce Tha. Magar 2 Saal Main Is Ki Qeemat 3 Guna Barh Kar 690 Dollar Tak Pohanch Gayi. Pakistan Main Bhi 1978 Main Sona 714 Rupee Fi Tola Se Barh Kar 1980 Main 2250 Rupee Tola Ho Gayi. Is Ke Baad International Market Main Kami Ke Lehaaz Se Sonay Ki Qeemat Kuch Kam Hui. Lekin Dollar Mehanga Honay Ki Wajah Se Is Kami Ka Mukammal Faida Pakistan Ke Awam Ko Nahi Pohncha. Zia-ul-Haq Ke 11 Saal Ke Daur Main Yani 1977 Se 1988 Tak Sonay Ki Qeemat Taqreeban 600 Rupee Se Barh Kar 3400 Rupee Tak Ho Chuki Thi. Is Ke Baad 11 Sala Jamhoori Daur Main International Market Main Tou Gold Price Main Izafah Nahi Hua. Lekin Rupee Ki Value Girnay Ki Wajah Se Mulk Main Sona Mehanga Hota Raha. 1999 Main Nawaz Shareef Ki Hukoomat Ke Khatmay Tak Sona Taqreeban 2 Guna Mehanga Hokar 6100 Rupee Tola Tak Pahonch Chuka Tha.

Pervez Musharraf Ke Daur Main Rupee Ki Value Tou Bohat Ziyada Nahi Giri Lekin International Market Main Gold Price Bohat Ziyada Barheen. Is Ki Wajah Se 1999 Se 2007 Tak Pakistan Main Bhi Sona Taqreeban 3 Guna Mehanga Ho Gaya. Saal 2000 Main Fi Tola Sona 6150 Rupee Ka Tha Jo 2008 Main 23500 Rupee Ka Ho Gaya. Peoples Party Ke Daur Main Bhi Dollar Aur Sonay Ki Uraan Jari Rahi. 2013 Main Zardari Sarkar Ki Muddat Poori Honay Tak Gold Price 54, 000 Rupee Tola Tak Pohanch Chuki Thi. 2013 Se 2018 Tak PML N Ki Government Main Dollar Ko Kisi Had Tak Lagaam Daali Gayi Lekin International Market Ki Wajah Se Sonay Ki Qeemat Barhti Rahi Aur 2018 Main Sona 68,000 Rupee Tola Ho Gaya. Is Ke Baad Imran Khan Ki Government Aayi. Us Waqt Dollar 124 Rupee Ka Tha Jo April 2022 Main Regime Change Tak 184 Ka Ho Chuka Tha. Rupee Ki Value Girnay Aur International Market Ke Asar Ki Wajah Se Sarhay 3 Saal Main Gold 68,000 Se Taqreeban 125,000 Tak Pohanch Gaya. Shehbaz Shareef Ke Wazir-e-Azam Ban'nay Ke 9 Mahinay Main Sona 185,000 Fi Tola Tak Pohanch Chuka Hay. Dollar Ki Sarkari Qeemat 226 Batayi Jati Hay Magar Open Market Main 250 Ka Bhi Nahi Mil Raha.

Kya Gold Mazeed Mehanga Hoga?

Pakistan Ki Economy Shadeed Mushkilaat Ka Shikaar Hay. Forex Reserves Roz Ba Roz Kam Hotay Ja Rahay Hain. Government Ke Claims Ke Bawajood Default Ke Khatraat Sar Par Mandala Rahay Hain. IMF Se Baat Cheet Tou Chal Rahi Hay Lekin Us Ki Sakht Conditions Ka Nateeja Bhi Awam Ko Mazeed Mehengai Ki Soorat Main Bhughtna Ho Ga. Dost Mulk Bhi Qarz Dainay Se Pehlay IMF Se Agreement Ka Intzaar Kar Rahay Hain. Flood Se Honay Walay 40 Billion Dollar Nuqsaan Ki Talaafi Ke Liye International Community Se Munasib Imdaad Bhi Nahi Mili Hay. Economists Ke Mutabiq Is Soorat-e-Haal Main Dollar Aur Sonay Ki Qeemat Main Kami Ka Tou Koi Imkaan Nahi. Albata Hukoomat Ne Munasib Iqdamaat Kiye To Inhen Mazeed Mehanga Honay Se Roka Ja Sakta Hay. Doosri Soorat Main Pakistani Currency Mazeed Devalue Hogi Jis Se Sona Aur Bhi Mehanga Ho Sakta Hay.

شیئر

جواب لکھیں