Fawad Chaudhry Apnay Laptop Par Kya Kar Rahay Thay?

Pervez Musharraf Kisay Emails Kartay Rahay?

Swiss President Ki Political Strategy Main Kya Tabdeeli Anay Wali Thi?

Sabiq FIFA Official Michel Platini Investigations Main Kya Kehnay Walay Thay?

Presidents Aur Politicians Se Lay Kar Generals Aur Sportsmen Tak... Indian City Gurugram Kay Aik Chotay Se Flat Main Betha Chand Logon Ka Aik Gang Dunya Bhar Main Hacking Ki Aisi Wardatain Karta Raha, Jis Nay Sab Ko Hila Kar Rakh Dia Hay.

Ye Inkishaf Bureau Of Investigative Journalism Aur Sunday Times Ki Aik Report Main Hua Hay. Bureau Aur Newspaper Nay Aik Sting Operation Main Is Gang Ka Pata Chalaya. Aur Phir Un Kay Database Tak Access Bhi Hasil Kia. Jis Say Zahir Hota Hay Ke Ye Kaam Kitnay Barray Level Par Kia Ja Raha Tha.

In Indian Hackers Nay Mukhtalif Autocratic States, British Lawyers Aur Un Kay Ameer Kabeer Clients Kay Liay Kaam Kia Aur Sath Hi Indian Secret Service Kay Liay Bhi. Jis Ki Taraf Say Pakistan Kay Famous Politicians Ko Hack Kia Gaya.

Ye Pehla Moqa Hay Ke Aisay Kisi 'Kiraey Kay Gang' Ka Kaam Samnay Aaya Hay.

Ye Indian Hackers Hain Kaun?

Ap Ko Shayad Yaqeen Na Aye Laikin Dunya Kay Baray Baray Logon Kay Computers Main Ghuss Kar Beth Janay Wala Ye Hacking Gang, WhiteInt, Indian Tech City Gurugram Kay Aik Chotay Se Apartment Kay 4th Floor Say Chalaya Jata Hay. Aur Is Ka Master Mind Hay 31 Saal Ka Aditya Jain. Jisay Aap Kabhi Kabhi TV Channels Par Cybersecurity Expert Kay Role Main Bhi Dekh Chukay Hon Gay. Officially, Tou Aditya Jain British Accountancy Firm Deloitte Kay Indian Office Main Job Karta Hay, Magar

Raftar Bharne Do
Aditya Jain, Hacker Group Ka 'Ustad'

Laikin Behind The Scenes Wo 7 Saal Say Computer Hackers Ka Khatarnak Network Chala Raha Hay. Jisay British Private Investigators Apnay Targets Kay Email Inbox Hack Karnay Kay Liay Hire Kartay Hain. Is Kay Liay ‘Phishing’ Ki Technique Use Ki Jati Hay. Kabhi Kabhi Team Malicious Software Bhi Istamal Karti Hay Jo Computer Camera Aur Microphone Ka Control Hasil Kar Laitay Hain. Yoon Victim Ko Dekha Bhi Ja Sakta Hay Aur Us Ki Batein Bhi Suni Ja Sakti Hain.

Indian Hackers Kay Clients Kaun?

Bureau Aur Sunday Times Ko Jain Kay Clients Aur Hacking Targets Ka Secret Database Dekhnay Ko Mila. Jis Kay 7 Clients Ka Naam Is List Main Tha, Jin Main British Private Investigators Bhi Shamil Thay. Jinhain London City Ki Major Law Firms Istamal Karti Hain. Phir Indian Secret Services Bhi Hackers Ko Order Karti Theen. Jo Pakistani Targets Ko Nishana Bananay Kay Liay Hotay Thay.

Gang Kay Sub Say Barray Client Hain London Ki Metropolitan Police Kay Sabiq Officer Nick Del Rosso. Jinhon Nay Cyberattacks Kay Liay Gang Ko At Least 40 Targets Diay Thay.

Del Rosso Swiss Corporate Intelligence Company Diligence Global Business Intelligence Kay Liay Kaam Kartay Thay. Jo MI5 Kay Former Office Nick Day Ki Milkiyat Hay, Aur Wohi Isay Chalatay Hain. Ye London Ki Famous Corporate Intelligence Firm Diligence Ki Sister Company Hay.

Kaun Kaun Hack Hua?

Leaked Documents Aur India Main Sunday Times Kay Undercover Operation Say Pata Chala Hay Ke:

  • Gang Nay Pakistan Kay Politicians, Generals Aur Diplomats Kay Computers Ka Control Hasil Kia Aur Un Ki Private Conversations Bhi Sun Leen. Ye Kaam Indian Secret Services Kay Liay Kia Gaya.
  • May Mein BBC Kay Political Editor Chris Mason Ki Appointment Kay 3 Hafton Baad Is Gang Ko Order Kia Gaya Tha Ke Unhain Target Karay.
  • Switzerland Kay President Aur Un Kay Deputy Ko Us Waqt Target Kia Gaya Jab Kuchh Din Pehlay Hi Unhon Nay Boris Johnson Aur Liz Truss Say Russian Sanctions Par Baat Ki Thi.
  • Us Waqt Kay British Chancellor Of The Exchequer Philip Hammond Ko Us Waqt Hack Kia Gaya Jab Wo Salisbury Main Honay Wali Novichok Poisonings Ka Mamla Dekh Rahay Thay.
  • London Ki Aik Law Firm Ki Janib Say Aik Private Investigator Ki Services Li Gaeen, Jo Russian State Kay Liay Kam Karta Tha. Us Nay Is Gang Ko Order Kia Ke Wo Vladimir Putin Say Bhagnay Walay British Based Oligarch Ko Target Karay.
  • European Football Kay Sabiq Head Michel Platini Ko World Cup 2022 Ka Baray Main Corruption Allegations Kay Hawalay Say French Police Say Baat Karnay Say Pehlay Hack Kia Gaya.
  • Indian Hackers Formula One Motor Racing Ki Boss Ruth Buscombe Aur Others Kay Email Inboxes Main Ghussay.

Project World Cup

FIFA World Cup 2022 Ball
(Photo: FIFA.com)

Court Documents Kay Mutabiq January 2019 Main Diligence Global Ko World Cup Project Kay Liay Hire Kia Gaya. Jain Nay Ye Bhi Bataya Ke Usay Switzerland Main Rehnay Walay Aik Investigator Jonas Rey Nay Hire Kia Tha.

Aglay Aik Saal Main Rey Nay Gang Ko Order Kia Ke Wo Un Logo Ko Target Karay Jo Qatar Ko Expose Kar Rahay Hain. In Main Sunday Times Insight Kay Editor Jonathan Calvert Bhi Shamil Thay Jo 2010 Main Qatar Ko FIFA World Cup Ki Mezbani Milnay Kay Peechay Ki Gai Corruption Ko Expose Karnay Main Paish Paish Thay. Hacker’s Database Main Mojood Aik Note Kay Mutabiq Calvert Kay Inbox Ka Hack “Complete” Ho Chuka Hay.

Qatar Kay Lawyers Hacking Kay Is Ilzam Ko Mustarad Kartay Hain, Balke Kehtay Hain Ke Calvert Qatar Kay Khilaf ‘Politically Motivated Crusade’ Larr Raha Hay. Aur Is Ka Link Qatar Ke Rival United Arab Emirates Say Jorra.

Phir May 2019 Main Gang Ko Michel Platini Ko Target Karnay Ko Bhi Kaha Gaya, Jo Aik Famous Footballer Hain. Phir Aik Business Man Ghanem Nuseibeh Ko Bhi Indian Hackers Nay Nishana Banaya. Un Kay Lawer Paul Tweed Ko Bhi Hack Kia Gaya. Yahi Nahi Balke Germany Main Based Lawyer Mark Somos Ko Bhi Target Kia Gaya. Phir French Politician Nathalie Goulet Ko Bhi. Ye Sab Qatar Ka Khilaf Kaam Kar Rahay They.

Aik French Investigative Website MediaPart Kay Journalist Yann Philippin Ko Bhi Hack Karnay Ki Koshish Ki Gai, Jo Nakaam Rahi.

Rey Nay Indian Hackers Kay Gang Ko 3 Targets Aur Bhi Diay: FIFA Aur UEFA Kay Sabiq Investigator Nick Raudenski, Associated Press Kay Journalist Alan Suderman, Aur Qatar Main Stadiums Ki Tameer Aur Migrant Workers Ki Halat Par Likhnay Wali Rokhaya Diallo Ko Bhi.

Qatar Related Total Dozen Hacks Is Leaked Database Main Mojood Hain. Jain Ko Total 48 Logon Ko Target Karnay Ka Order Dia Gaya.

High-Profile Targets

Rey Nay May Main Jain Kaha Ke Swiss President Ignazio Cassis Aur Un Kay Deputy Alain Berset Ko Target Karay. Ye ‘Hack-For-Hire’ Firm BMW Kay Malik German Billionaire Stefan Quandt Kay Email Account Main Ghussnay Ki Koshish Bhi Kar Chuki Hay.

Del Rosso Jo Ab North Carolina, United States Main Rehtay Hain, Gang Ko Mark Fullbrook Ko Target Karnay Ka Bhi Keh Chukay Thay, Jo Liz Truss Kay Chief Of Staff Thay Jab Wo Prime Minister Theen. Laikin Jain Kay Database Main Mojood Sub Say High-Profile British Politician Hain Sabiq MP Philip Hammond. Unhain 9 April 2018 Ko Tab Hack Kia Gaya Jab Wo Chancellor Of The Exchequer Thay. Database Kay Record Kay Mutabiq Un Ka Hack ‘Complete’ Ho Chuka Tha.

Target Pakistan

Raftar Bharne Do

Indian Hackers Ka Database Kay Mutabiq Sab Say Important Political Target They Pakistan Kay. Jain Kyunke Indian Hay, Is Liay Us Nay Indian Secret Services Kay Liay Bhi Kaam Kia, Shayad ‘Qaumi Khidmat’ Samajh Kar.

10 January 2022 Ko Pakistan Kay Information Minister Fawad Chaudhry Ka Email Account Hack Kia Gaya. Jain Nay Fawad Chaudhry Ka Inbox Ka Screenshot Lia, Jis Ka Suboot Bureau Of Investigative Journalism Aur Sunday Times Nay Bhi Dekha Hay.

Jain Ki Team Nay Fawad Chaudhry Kay Computer Ko Hack Karnay Kay Liay Malware Use Kia. Sath Hi Pakistan Ka Senior Generals Aur Beijing, Shanghai Aur Kathmandu Main Embassies Aur Consulates Ko Bhi Hack Karnay Ki Koshish Ki Gai.

Pakistan Most High-Profile Target Thay Sabiq Sadar Pervez Musharraf.

Raftar Bharne Do
(Photo: AFP)

Last Month Jain Nay Admit Kia Ke Wo Mazi Main Kai Logon Ko Hack Kar Chuka Hay Laikin Ab Kai Saalon Say Ye Kaam Nahi Kar Raha. Us Nay Claim Kia Ke Wo Database Main Mojood Kuchh Logon Ko Nahi Janta. Un Kay Hack Say Us Ka Koi Talluq Nahi.

Rey Ka Bhi Kehna Hay Ke Wo Hacking Nahi Karwatay Aur Claim Kia Ke Jounalists Nay Ghalat Information Di Hain.

شیئر

جواب لکھیں