Kya Hum Aik Global Recession Ki Taraf Barh Rahay Hain? IMF Ki World Economic Outlook Update Se To Yahi Lag Raha Hay, Jis Ki Forecast Ke Mutabiq 2023 Mein Duniya Ki Economic Growth 2.9% Reh Jaye Gi. Yeh 2000 Se 2019 Tak Ki Average Growth 3.8% Se Kahin Kam Hay, Bas Samjhain Ke Khatray Ki Ghanti Hay. Aur Yeh Baat Hum Pakistanion Se Behtar Kon Jaanta Hoga Ke Jo Is Se Kahin Kam Economic Growth Ka Saamna Kar Rahay Hain Aur Inflation Bhi Aasman Par Hay.

Global Economy Ki Baat Karen To Inflation Se Nimatnay Ke Liye Central Bank Ne Rates Mein Izafay Kiye Aur Jo Kami Reh Gayi Thi Woh Russia-Ukraine War Ne Poori Kar Di. Duniya Abhi Covid-19 Ke Asraat Se Niklee Hi Nahi Ke Aik Ke Baad Doosri Museebat Aa Rahi Hay.

2023 Aur Economic Predictions

2022 Mein Duniya Bhar Mein Inflation 8.8% Rahi Thi, Laikin 2023 Mein Andaza Hay Ke Ye 6.6% Rahay Gi Aur Umeed Hay Ke 2024 Mein 4.3% Tak Gir Jaye Gi, Lekin Halaat Ka Kuch Nahi Pata. Covid Ka Khatra Phir Sir Utha Raha Hay Aur Russia-Ukraine War Ka Kuch Nahi Pata Ke Kahan Tak Jaye Gi.

Is Waqt Ziyada Tar Mulkon Mein Cost Of Loving Crisis Urooj Par Hay. Sakht Monetary Conditions Aur Kam Growth Financial Growth Ko Muta’sir Kar Rahi Hay. Phir Bhi Kuch Mulk Aisay Hain Jin Ki Growth Projection Bohat Achi Hay.

IMF Ke Mutabiq 2023 Mein Sab Se Ziyada Economic Growth Hogi Raftar Bharne Do India Ki, Poooray 6.1% Ke Sath. China Ki Ma'eeshat Mein 5.2% Ka Izafa Hoga, Nigeria Ki Economy 2.3% Aur Saudi Arabia Ki 2.6% Ki Sharah Se Barhay Gi.

Haan! Developed World Ka Haal Itna Acha Nahi Hoga. 2023 Mein United States Ki Economic Growth Sirf 1.4% Rahay Gi. Europe Ki Haalat To Is Se Bhi Buri Hogi. France Mein Growth Rate 0.7%, Italy Mein 0.6%, Russia Mein 0.3% Jabkay Europe’s Biggest Economic Power Germany Mein To Ye 0.1% Rahay Gi. United Kingdom Ki Ma’eeshat To Minus Mein Jaye Gi -0.6% Ke Sath.

Pakistan Ka Kya Hoga?

Last Year Andaza Lagaya Gaya Tha 2023 Mein Pakistan Ki Economy 2% Ke Sath Grow Hogi, Lekin Halaat Jis Rukh Par Ja Rahay Hain, Lagta Hay Ke 1.5% Growth Bhi Nahi Milnay Wali, Jo IMF Ki Projection Hay.

Is Waqt Mulk Mein Inflation 27% Tak Ja Pohanchi Hay, Dollar Ki Qeemat Mein Aik Saal Mein 100 Rupay Barh Chuke Hain, Interest Rate 17% Tak Puhanch Gaya Hay Aur Jo Kami Reh Gayi Thi Woh Floods Ne Poori Kar Di Hay. Agay Kya Hoga? Qayamat Hi Hogi!

شیئر

جواب لکھیں