Ghair Mulki Khabar Agency Ki Report Main Bataya Gaya Hay Kay Dunya Kay Baray Automaker Saal 2030 Tak 1.2 Arab Dollar Ki Lagat Say 5 Crore 40 Lakh Say Ziada Electric Vehicle Bananay Ka Plan Ker Rahy Hain.

Report Main Bataya Gaya Hay Kay Aglay 8 Saal May Dunya Main Banai Janay Wali Cars Ki Production Ka 50 % Hissa Electric Cars Ka Hoga.

Car Makers Battery Production Capacity Ko Saal 2030 Tak 5.8 Terawatt/Hour Tak Lay Ker Jain Gay.

Yeh Bhi Bataya Gaya Hay Kay TESLA Saal 2030 Main 20 Million EV Bananay Ka Plan Rakhta Hay. Iss Waqt Company Ki Janib Say Apna Financial Plan Tou Zahir Nahe Kiya Gaya Hay Tahaam Iss Per Kai Arab Dollar Ki Investment Ka Imkan Hay.

German Company Volkswagon EV Vehicle Ki Production Per 100 Arab Dollar Kharach Karnay Ka Plan Bana Rahi Hay.

Japan Ki Toyota Motors 70 Arab Dollar Kharach Kernay Ka Mansouba Rakhti Hay Aur Saal 2030 Main 35 Lakh EV Banany Ka Mansouba Hay.

Fords Motors 50 Arab Dollar Lagany Ka Soch Rahi Hay Takay 2030 Main 30 Lakh Cars Bana Sakay.

Mercedes Benz Ka Mansouba Hay Kay EV Per 47 Arab Dollar Kharach Kiye Jain Jabkay BMW 35 Arab Dollar  Ka Mansouba Bana Rahi Hay.

شیئر

جواب لکھیں