Zyada Tar Logon Ka Ye Khayal Hota Hay Ke Wo Jo Kuch Khatay Hain Us Ka Asar Un Ke Heart, Liver, Stomach Aur Waistline Per Hi Parta Hay. Magar Un Ko Shayad Ye Nahi Pata Hota Ke Us Ka Bohat Zyada Impact Un Ke Brain Per Bih Parta Hay.

America Ki Harvard University Ki Nutritionist Dr. Uma Naidoo Ne Research Ke Hay Ke Kis Tarah Khanay Ki Kuch Cheezain Avoid Kar Ke Mood Aau Mental Well-Being Main Numayan Behtri Layi Ja Sakti Hay.

Brain Health Ke Liye Kiya Cheezen Na Khayen?

Leafy Greens, Colorful Fruits Aur Vegetables, Seafood, Aur Nuts, Beans Aur Seeds Ye Sab Brain Health Ko Barhatay Hain. Lekin Agar Aap Apni Brain Ability Ko Improve Karna Chahtay Hain, Apni Memory Aur Focus Ko Intact Rakhna Chahtay Hain To In 5 Cheezon Ko Khanay Se Avoid Karen.

  1. Industrial Aur Processed Seed Oils Se Banay Khanay

Highly Processed Oils Aksar Soybeans, Corn, Rapeseed (Canola Oil), Cottonseed, Sunflower Aur Safflower Seeds Se Extract Kiye Jatay Hain. Aur In Main Omega-6 Fatty Acids Ki Quantity Bohat Zyada Hoti Hay.

Omega-6 Fatty Acids Ki Zyada Consumption Se Body Main Aisy Chemical Produce Hotay Hain Jin Se Brain Main Inflation Ho Sakti Hay.

Tou Agar Aap Ko Sabzion Ko Sauté Karna Ho Ya Fish, Meat Waghera Ko Grill Karna Ho Tou Aap Olive, Coconut Ya Avocado Oil Ka Istemal Karen.

  1. Refined Aur Added Sugar Walay Foods

Brain Ko Cellular Activities Ke Liye Jo Energy Chahiye Hoti Hay Wo Usay Glucose Se Milti Hay, Jo Sugar Hi Ki Aik Type Hay. Lekin Zyada Sugar Wali Diet Se Brain Main Glucose Ka Level Barh Sakta Hay.

Is Se Memory Ka Function Mutasir Ho Sakta Hay Aur Memory Ko Control Karnay Waly Part Hippocampus Ki Plasticity Kam Ho Sakti Hay.

Yaad Rakhen Ke Bohat Se Savory Foods Main Bhi Hidden Added Sugars Hoti Hain. Jesa Ke  Bazar Se Khariday Gaye Pasta Sauces, Ketchup, Salad Dressings Aur Canned Soups Main. In Ke Bajaye Ghar Main Whole Foods Se Bani Chizen Use Karni Chahiyen.

  1. Processed Foods

Ultra Processed Foods Ki Zyada Miqdar Wali Diet Se DNA Ke Kinaray Yani Telomeres Short Honay Ka Khatra Hota Hay. Telomeres Agar Long Hon Tou Cellular Aging Slow Hoti Hay. Short Telomeres Ka Matlab Ye Hua Ke Aap Ko Degenerative Disease Waqt Se Pehlay Ho Sakti Hain.

2022 Main Ki Gayi Aik Study Se Pata Chala Hay Ke Jin Logon Ne Ultra Processed Foods Yani Baked Items Aur Soda Ki Zyada Miqdar Consume Ki Un Main Mild Depression Zyada Paya Gaya Banisbat Un Ke Jinhon Ne Ye Cheezen Use Nahi Keen.

Aik Useful Tip. Agar Aap Kisi Food Ke Ingredient Ko Pronounce Na Kar Saken Ya Aap Ko Pata Na Ho Ke Ye Kiya Hay Tou Us Ko Avoid Karna Hi Behtar Hota Hay.

  1. Artificial Sweetener Walay Khanay

Jab Aap Artificial Sweetener Consume Kartay Hain Jin Ki Koi Nutritional Value Nahi Hoti Tou Us Se Gut Bacteria Increase Hotay Hain Jis Ki Waja Se Aap Ke Mood Per Negative Impact Par Sakta Hay.

Artificial Sweetener Main Saccharin, Sucralose Aue Stevia Shamil Hotay Hain. Research Studies Main Pata Chala Hay Ke Aspartame Khas Tor Per Harmful Hay Aur Ye Anxiety Se Directly Linked Hay. Is Se Oxidation Bhi Hoti Hay Jo Brain Main Harmful Free Radicals Barhati Hay.

Honey, Monk Fruit Extract Ya Coconut Sugar Artificial Sweetener Ke Achay Alternative Ho Saktay Hain.

  1. Fried Foods

Battered, Crusted Aur Deep-Fried Cheezen Bhi Brain Ko Damage Karti Hain. 18,000 Logon Per Ki Gayi Aik Research Se Pata Chala Ke Fried Foods Zyada Consume Karnay Walon Ne Memory Aur Cognition Main Lower Score Hasil Kiye.

Harvard Ki Nutritionist Kehti Hain Ke Fried Foods Ke Bajaye Apne Favourite Khanon Ke Liye Baked, Air-Fried Aur Steamed Versions Istemal Karen.

شیئر

جواب لکھیں