Aap Tharparkar Gaye Hain? Agar Nahi To Zaroor Jaiye Aur Woh Bhi Barsaat Mein, Mithi Mein Daakhil Hotay Hi Aap Ko Jhatka Lagey Ga. Saaf Suthra Shehr, Karachi Se Bhi Behtar Sarrak, Us Kay Kinaray Do Roya Darakht. Sindh Mein Shayad Aap Ko Is Se Ziyada Nikhra Nikhra, Barri Had Tak Munazzam Shehr Nazar Na Aaye. Jis Mein Sarkon Par Koora Karkat Aur Tajawzat Bhi Kam Hon. Haan Jagah Jagah Gaaye, Bakrion Ke Rewarr Aap Ka Rasta Zaroor Rokain Ge.

Waisay To Mithi Mein Bhi Do Aik Ghoomnay Phirnay Ki Jaghen Hain, Lekin Asal Manzil Hai, Nangarparkar. Thar Coal Plant Se Guzarte Hue 3, 3½ Ya Bohat Se Bohat 4 Ghantay Mein Aap Nangarparkar Pahonch Jayen Ge.

Tharparkar

Nangarparkar Mein Thehrain Kahan? Yahan Waisay To Bohat Se Guest House Aur Hotel Hain. Lekin Agar Aap Baal Bachon Ke Sath Hain To Behtar Hoga Ya To Rooplo Kolhi Guest House Mein Tehrain Ya Phir Thardeep Mein. Mujhe Thardeep Ziyada Pasand Hai. Bohat Khoobsurat Location, Samnay Pahar Ka Nazarah. Wasee-O-Areez Sarsabz Maidan. 2 Kamron, Washroom, Kitchen Aur Veranday Par Mushtamil Cottage. Kamray Saaf Suthray, Hawa Daar. Hashraat Ko Roknay Ke Liye Darwazon Ke Neechay Rubber Ki Rukawat. Lekin Phir Bhi Nangarparkar Ki Yeh Nanhi Munhi Makhlooq Andar Tak Rasai Haasil Kar Hi Laiti Hai.

Tharparkar

Thardeep Ki Aik Aur Zabardast Cheez. Yahan Ka Cook Meer Hasan. Kya Zabardast Khanay Banata Hai, Aisi Aala Biryani Aur Karahi Banai Ke Hum Unglian Chat’tay Reh Gaye. Mere Betay Mohammad Ko Jab Kahin Achi Gosht Ki Dish Nahi Mil Rahi Thi To Us Ne Aik Dukaan Par Kisi Se Poocha “Karachi Jaisa Khana Kahan Miley Ga?” Us Shakhs Ne Foran Jawab Diya: “Karachi Mein.” Lekin Meer Hasan Ke Haath Ki Biryani Aur Karahi Kha Kar Mohammad Ki Shikayat Na Sirf Door Ho Gayi, Balkay Woh Meer Sahib Ka Fan Ho Gaya.

Nangarparkar Ke Safar Mein Bharti Border Ke Qareeb Pahar Par Waqay Mandir Tak Hamein Aasen Le Kar Gaya. Aasen Kisi Transporter Ki Jeep Chalata Hai. Uberr Khabarr Raastoon Aur Jhonpriyon Walay Kai Dehaat Se Guzarte Hue Hum Manzil-E-Maqsood Par Puhanche. Rastay Mein Anay Walay Dehaat Mein Urrtay Mauron Ne Khoob Mela Lagaye Rakha. Aik Baat Mein Ne Khaas Tor Par Note Ki Jab Bhi Hum Kisi Gaon Se Guzarte, Aasen Jeep Mein Bajne Walay Ganay Ki Aawaz Kam Kar Deta. Gaon Guzar Jata To Aawaz Phir Oonchi Kar Deta.

Tharparkar

Hum Bharti Sarhad Par Puhanche To Aasen Ne Bataya Ke Is Taraf Bharti Ilaqay Mein Khaala Aur Saas Ka Gaon Hai. Biwi Ko Maan Se Milaye 10 Saal Ho Gaye. Yahan Pehlay Fence Nahi Thi To Mil Atay Thay. Ab To Islamabad Ja Kar Visa Lagwao, Phir Lahore Se Jao, Indian Punjab Se Guzro, Delhi Ka Rasta Kato. Phir Poora Rajasthan Paar Kar Ke Yahan Samnay Pohncho. Aasen Ki Aawaz Aur Chehra Jazbaat Se Aari Tha, Lekin Pata Nahi Kyun Mera Dil Kat Kar Reh Gaya.

Mandir Mein Daakhil Hua, Bachay Sath Thay, Mahol Mein Khamoshi Aur Taqaddus Tha. Sab Say Choti Beti Ne Masomiyat Se Kaha, “Baba! Namaz Parh Len?” Mein Ne Kaha “Haan Beta! Yeh Bhi Allah Ka Ghar Hai.”

Mandir Mein Rakhi Chanday Ki Paiti Mein Beti Ke Haath Se Paisay Dalwaye. Pujari Jee Se Parshad Li, Ghanti Bajai. Bahar Nikla To Peechay Se Kisi Ne Kandhay Par Haath Rakha. Saaf Suthray Libaas Mein Jazbaat Se Chamchamata Chehra Liye Aik Nojawan Tha. Yeh To Wohi Larka Hai Jo Kuch Der Pehlay Mandir Mein Prarthna Kar Raha Tha. Mein Ne Usay Aur Is Ne Mujhe Dekha Tha.

“Bhai! Aap Langar Kha Kar Jaiye Ga,” Is Ne Qareeb Hi Aag Par Charhi Daig Ki Taraf Ishara Karte Hue Kaha.

Mein Ne Us Ki Thorhee Chutay Hue Kaha “Nahi Yaar! Mujhe To Jaldi Jana Hai.”

Nojawan Ne Kaha “Mein Aap Ko Parcel Kar Dun Ga.”

“Acha! Kitni Der Lagey Gi?” Mein Ne Poocha.

“Aadha Ghanta Lagey Ga Bas.”

“Nahi Dost, Bohat Moazrat. Mein Apne Driver Ko Ziyada Der Ruknay Par Majboor Nahi Kar Sakta.”

Nojawan Chup Ho Gaya. Mein Haath Mila Kar Agay Barh Gaya. Lekin Mujhe Yaqeen Hai Ke Woh Ghar Jatay Hue Bohat Khush Hoga. Dil Mein Mohabbat Le Kar Ghar Lautay Ga.

شیئر

جواب لکھیں