Tech Industry Pichlay 20 Saal Se Sab Se Behtar Perform Karnay Wala Sector Raha Hay. Khas Tor Per Covid-19 Pandemic Main Jab Dusri Tamam Industries Ko Jhatka Laga, Tech Industry Ko Boom Mila Kyunke Work From Home Aur Online Shopping Ka Culture Barha. Magar Us Ke Baad International Financial Crisis Ki Wajah Se Ab Tech Industry Bhi Bohat Mushkilat Ka Shikar Hay. Yehi Wajah Hay Ke Pichlay Aik Saal Main Tech Companies Main Baray Paimany Per Layoffs Hui Hain. Is Aik Saal Main Dunya Bhar Main Tech Companies Almost 2 Lakh 38 Hazar Afrad Ko Farigh Kar Chuki Hain. In Main Se 90 Hazar Log Sirf America Main Job Se Nikalay Gaye. Workers Ko Nikalnay Walon Main Meta, Amazon Aur Twitter Jesi Most High Profiles Companies Bhi Shamil Hain.

Raftar Bharne Do

Meta: Facebook, Whatsapp, Instagram Ki Parent Company Bhi In Dinon Mushkil Main Hay. Aik Taraf Usay Tiktok Ki Taraf Se Sakht Competition Ka Samna Hay Tou Dusri Taraf Recession Ke Wajah Se Ad Revenue Main Bohat Kami Hui Hay. Pandemic Ke Dauran Meta Ne Bohat Tezi Se Expension Kit Hi. March 2020 Main Company Ke Employees Ki Taadad 48,268 Thi Jo September 2022 Mein 87,000 Tak Pohnch Gayi Thi. Meta Ne November Main Afrad Ko Job Se Nikala Jo Company Ki History Main Aik Record Hay.

Twitter: Layoffs Ki Race To Meta Ne Jeeti Magar Twitter Ki Job Cuts Zyada Dramatic Rahi. Company Ke Naye Malik Elon Musk Ne Control Sanbhalaty Hi 3,750 Employees Ko Farigh Kar Kay 50% Workforce Kahatam Kar Di. Us Ke Kuch Hi Din Baad 5,500 Contract Workers Main Se 4,400 Ko Ghar Bhej Diya. Elon Musk Ke Mutabiq Twitter Ko Daily $4 Million Ka Loss Ho Raha Hay. Wo Twitter Ko Profitable Banana Ke Liye Us Main Nit Nai Tabdeeliyan Bhi Kar Rahay Hain. Elon Musk Ne June Main Tesla Se Bhi 3,500 Logon Ko Nikal Diya Tha.

Amazon: Dunya Ke Ameer Tareen Logon Main Shamil Jeff Bezos Ne Isi Saal Ye Ailan Kiya Ke Wo Apni Daulat Ka Bara Hisa Charity Main Kharach Karen Ge. Magar Isi Saal Un Ki Company Ne 10,000 Logon Ko Rozgar Se Mehroom Kar Diya. Jeff Bezos Agarchay Amazon Ke CEO Ka Ohda 2021 Main Chhor Chukay Hain. Magar Wo Ab Bhi Company Ke Executive Chairman Hain. Aur Log Ab Bhi Amazon Aur Jeff Bezos Ko Aik Hi Naam Samjhtay Hain.

Xiaomi: Layoffs Ka Silsila Sird America Tak Mehddon Nahi Raha. China Ke Companies Ne Bhi Workers Per Talwar Chalai. Chinese Phone Maker Xiaomi Ne August 2022 Main 900 Logon Ko Job Se Nikala Aur Phir December Main 5,000 Job Cuts Keen.

Are Not Just Confined To The United States. India’s Sizable Tech Sector Is Also Facing Cuts. Edtech Giant, Byju’s, Laid Off 2,500 Employees In October—Around 5% Of Its Total Workforce.

Byju’s: India Ki Tech Giant Byju’s Ne Bhi October Main 2,500 Logon Ko Naukri Se Farigh Kiya. Dilchasp Baat Ye Hay Ke Massive Layoffs Ke Sirf 3 Din Baad Company Ne Lionel Messi Ko Apna Brand Ambassador Banaya. Jis Per Yaqeenan Lakhon Dollar Kharch Huay Hon Gay. Is Ke Sath Sath Company Fifa World Cup Ki Official Sponsor Bhi Bani Jis Ke Aliye Almost $40 Million Kharch Kiye. 

In Ke Elawa Microsoft, Netflix,  Micron, Seagate, Snap, Airlift, Lyft, Shopify, Peloton Bhi Un Companies Main Shamil Hain Jinhon Ne Mulazmeen Ki Bari Taadad Ko Ghar Bheja.

Raftar Bharne Do
Courtesy: Visual Capitalist

Tech Companies Layoff Kiun Kar Rahi Hain?

Mulazmeen Ko Nikalany Ki Wajah Economic Uncertainty (External Factors) Aur Poor Performance (Internal Factors) Batai Jati Hay. Future Main Tech Sector Ka Profit Mazeed Kam Honay Ka Khatra Hay Is Liye Is Sector Main Uncertainty Rahay Gi.”

Goldman Sachs Ki Research Main Kaha Gaya Hay Ke “Higher Interest Rates Aur Tough Financial Conditions Ne Tech Sector Ko Buri Tarah Mutasir Kiya Hay Aur Future Main

Advertising Ka Shrink Hota Hua Budget Aur Cryptocurrency Market Ke Downfall Bhi Aisay Factors Hain Jin Ki Wajah Se Kuch Companies Ko Apnay Mulazmeen Kam Karnay Paray.

Job Cuts Ka Economy Per Kiya Impact Ho Ga?

Bazahir Tou The Sector Ke Ye Layoffs Economy Ke Liye Bura Shagoon Mehsus Hotay Hain, Kyunke In Companies Ka Influence Markets Per Bohat Zyada Hota Hay. Lekin Fortunately Aisa Nahi Hua Hay. U.S. Government Ka Payroll And Wage Data Ke Mutabiq America Main Job Opportunities Expectations Se Zyada Barhi Hain. Country Ka Unemployment Rate Half-Century Low Ke Qareeb Hay.

Tech Sector Ke Lay Offs Ka Itna Asar Nazar Na Aanay Ki Wajah Ye Hay Ke Ye America Ki Total Employment Ka Sirf 3% Hain. Is Ke Sath Sath Jo Tech Workers Nikalay Jatay Hain Un Ko Jald Hi Nai Job Mil Jati Hay.

شیئر

جواب لکھیں