Is Waqt Cricket World Mein Sirf Aik Hi Naam Hay Jo Sab Ki Zaban Par Hay: Abrar Ahmed!

Wo Naujawan Jis Nay Apnay Pehlay Test Mein, Pehlay Hi Din Balkay Pehlay Hi Session Mein Wo Kar Dikahaya Jo Rawalpindi Test Mein Pakistan Kay Saray Bowlers Bhi Mil Kar Nahi Kar Paey Thay. Abrar Nay Multan Test Mein England Ki Pehli Innings Mein 114 Runs Day Kar 7 Wickets Hasil Keen. Jo Debut Par Pakistani Bowlers Ki Best Performance Mein Say Aik Hay.

1st Test Kay Pehlay Din Runs Ka Himalaya Khara Karnay Wala England Abrar Ki Best Bowling Ki Waja Say Sirf 281 Runs Par Hi Puhanch Saka. Waisay Abrar Ahmed Ko Dekh Kar Lagta Nahi Ke Wo Itnay Khatarnak Player Hongay. Chashma Lagaey Aik Aam Sa Naujawan Jo Dekhnay Mein Kisi University Ka Student Lagta Hay, Laikin Maidan Mein Us Nay Ben Stokes Jaisay Player Ko Bhi Hairaan Kardia.

Cricket Jaisay Khel Mein Jahan Shaheen Ki Nazar Ki Zarurat Hoti Hay, Buhat Kam Aisay Players Aaey Jo Chashma Lagatay Thay. Aaen Aaj Aap Ko Chashmatoo XI Say Milatay Hain.

Sab Say Pehlay To Isi Match Mein Khelnay Walay 2 Chashmatoo Players Say Milain. Aik Pakistan Kay Imam ul Haq Hain, Jo Bad-Qismati Say 0 Par Out Ho Gaey. Laikin Wo Player Baray Zabardast Hain.

Imam ul Haq

Raftar Bharne Do
(Photo: AFP)

Imam Ab Tak Pakistan Ki Taraf Say 17 Test, 54 ODIs Aur 2 T20is Khel Chukay Hain. ODIs Mein To Imam Ka Average 52 Say Zyada Hain Aur 9 Centuries Bhi Hain, Jo Un Ko Sabit Karnay Kay Liay Kafi Hain. ODI Batsmen Ranking Bhi Yahi Batata Hay, Jis Mein Imam World No. 2 Hain.


Jack Leach

Raftar Bharne Do
(Photo: Getty Images)

Isi Match Mein England Kay Jack Leach Bhi Hain. 31 Years Kay Leach 30 Test Matches Mein 98 Wickets Lay Chukay Hain. Is Saal Unhon Nay New Zealand Kay Khilaf Leeds Test Mein 10 Wicket Haul Bhi Lia Tha. Jo Un Kay Career Ki Best Bowling Hay.


Muneeba Ali

Raftar Bharne Do
(Photo: ACC)

Maujooda Cricket Mein Pakistan Women’s Ki Wicketkeeper Muneeba Ali Bhi Chashma Lagati Hain. Wo Pakistay Kay Liay 27 Test Aur 41 T20 Internationals Khel Chuki Hain.


Daniel Vettori

Raftar Bharne Do
(Photo: Getty Images)

Agar Hum Thora Peechay Jaaen To New Zealand Kay Maya-Naz Spinner Daniel Vettori Hotay Thay. 113 Test, 295 ODIs Aur 34 T20is Khelnay Walay Vettori Nay International Cricket Mein 705 Wickets Haasil Keen, Aur Saath Hi Approx. 7,000 Runs Bhi Banaey. Aur Kuch Batanay Ki Zarurat Nahi.


Charles Coventry

Raftar Bharne Do
(Photo: AFP)

Aik Chashmatoo Zimbabwe Kay Charles Coventry Bhi Thay. Wohi Coventry Jo Saeed Anwar Kay 194 Runs Kay Higest ODI Innings Ka Record Tortay Tortay Reh Gaey. Unhon Nay Career Mein 2 Test, 39 ODIs Aur 13 T20i Matches Khelay. Zyada Mauqay To Nahi Milay Laikin Jo Mila Kamaal Kardia.


Narendra Hirwani

Raftar Bharne Do
(Photo: Getty Images)

Aur Peechay Chalain? India Kay Aik Bowler Thay Narendra Hirwani, Mota Say Chashma Lagatay Thay Aur One-Hit Wonder Thay. 1988 Mein Apnay Pehlay Hi Test Mein Mighty West Indies Ki 16 Wickets Leen. Ye Aaj Bhi Debut Par Kisi Bowler Ki Best Bowling Ka World Record Hay. Laikin Hirwani Zyada Arsay Chalay Nahi, Sirf 17 Test Aur 18 Odis Khelay Aur Hamesha Kay Liay Bahar Ho Gaey.


Zaheer Abbas

Raftar Bharne Do
(Photo: PA Photos)

Chashmatoo Players Mein Sab Say Bara Naam Hay Pakistan Kay Zaheer Abbas Ka. Jinhain Dunya ‘Asian Bradman’ Kehti Thi. Zaheer Abbas Nay Pakistan Kay Liay 78 Test Aur 62 One Day Internationals Khelay, Jin Mein Unhon Nay 19 Centuries Ki Madad Say 7,634 Runs Banaey. First Class Cricket Mein Un Ki 108 Centuries Nay Unhain Aik Legendary Status Dia Hay.


Clive Lloyd

Raftar Bharne Do
(Photo: Getty Images)

Usi Zamanay Mein West Indies Kay Great Captain Clive Lloyd Bhi Hotay Thay. Mota Say Chashma Laganay Walay Lloyd Cricket Greats Mein Say Aik Hain. 110 Test Aur 87 ODIs Khelay Laikin Dunya Unhain Yaad Karti Hay Pehlay 2 World Cup Tournaments Ki Waja Say, Jin Mein West Indies Nay Un Ki Kaptani Mein West Indies World Champion Bana. West Indies Ko Apnay Zamanay Ki Azeem Tareen Team Bananay Mein Lloyd Ka Kirdar Bunyadi Tha.


Walter Hadlee

Raftar Bharne Do
(Photo: PA Photos)

Aur Puranay Players Mein New Zealand Kay Walter Hadlee Thay. Jee Haan! Ye Famous Fast Bowler Richard Hadlee Kay Walid Thay. Unhon Nay 1937 Say 1951 Kay Beech New Zealand Kay Liay 11 Test Matches Khelay Aur 1 Century Bhi Score Ki. First Class Cricket Mein Un Kay 7,523 Runs Thay.


Alf Valentine

Raftar Bharne Do
(Photo: Getty Images)

West Indies Kay Alf Valentine West Indies Ki Us Team Ka Hisa Thay Jis Nay 1950 Mein England Ki Haraya Tha. 36 Test Matches Unhon Nay 139 Wickets Hasil Keen Jin Mein 8 Five Wicket Hauls Bhi Shamil Thay.


Eddie Barlow

Raftar Bharne Do
Eddie Barlow Aur Graeme Pollock Lord's Mein (Photo: PA Photos)

Chashmatoo XI Kay Last Member Hain South Africa Kay Eddie Barlow. 1961 Say 1970 Kay Darmiyan Unhon Nay South Africa Kay Liay 30 Test Matches Khelay Aur 6 Centuries Kay Sath 2,516 Runs Banaey. Is Kay Ilawa Unhon Nay 40 Wickets Bhi Leen.

شیئر

جواب لکھیں