Kitna Achha Din Ja Raha Tha Na? Bangladesh Zimbabwe Ko Hara Chuka Tha. Pakistan Netherlands Kay Khilaf Kamyabi Hasil Kar Chuka Tha. Bus T20 World Cup Kay Is Itwar Ko ‘Super Sunday’ Bananay Kay Liay Aik Kaam Hona Reh Gaya Tha. India South Africa Ko Hara Day. 

Phir Hamain Wo Match Dekhnay Ko Mila Jis Main Pakistanion Kay Zakhmon Kay Liay Buhat Sa Namak Tha. South Africa 134 Runs Chase Kar Raha Tha, Sirf 24 Runs Par 3 Khilari Out Ho Gaey. Match Par India Ki Grip Mazboot Thi. 

Laikin Phir "Najanay Kyun" India Kay Haath Pair Phhool Gaey? Catches Chhoraay, Run Outs Kay Moqay Zaya Kiay Aur Haath Aaya Match Chhor Dia. Itnay Chances Milnay Kay Baad To Koi Bhi Team Hoti Match Na Harti, Ye To Phir South Africa Tha. David Miller Aur Aiden Markram Match Ko India Ki Puhanch Say Buhat Door Lay Gaey. Yahan Tak Ke South Africa Last Over Main 5 Wickets Say Jeet Gaya.

ICC T20 World Cup 2022, 30th Match

India vs South Africa

30 October 2022

Perth Stadium, Perth, Australia

Result: South Africa 5 Wickets Say Jeet Gaya

Raftar Bharne Do IND133-9
Suryakumar Yadav68 (40)
Rohit Sharma15 (14)
SA BowlingOMRW
Lungi Ngidi40294
Wayne Parnell41153
Raftar Bharne Do SA(T:134)137-5
David Miller59* (46)
Aiden Markram52 (41)
IND BowlingOMRW
Arshdeep Singh40252
Mohammad Sami40132

Perth Main Honay Wali Is Match Main Toss India Nay Jeeta Aur Batting Ka Faisla Kia. Rohit Sharma, KL Rahul Aur Virat Kohli, Teenon Lungi Ngidi Kay Hath Lag Gaey. Phir Anrich Nortje Nay Deepak Hooda Aur Ngidi Nay Wapis Aa Kar Hardik Pandya Ko Bhi Out Kardia. Sirf 49 Runs Par India Ki Aadhi Team Out Ho Chuki Thi. 

Tab Suryakumar Yadav Nay Innings Ko Sanbhala. Doosray End Say Unhain Kisi Ka Sath Nahi Mila. Laikin Wo Akelay Hi Datay Rahay. 40 Balls Par 68 Runs Ki Kamal Innings Kheli. Is Main 3 Sixes Aur 6 Fours Shamil Thay. 

SKY Ki Is Innings Kay Baad Rohit Kay 15 Aur Kohli Kay 12 Runs Hi Thay. Baqi Koi Batsman Double Figures Main Bhi Nahi Gaya. 

Ngidi Nay 29 Runs Day Kar 4 Out Kiay. 3 Wickets Wayne Parnell Ko Bhi Mileen. 

You Miss, I Hit

134 Runs Dekhnay Main To Aasan Lag Rahay Tha, Laik Arshdeep Singh Ki Bowling Nay India Kay Liay Momentum Bana Dia Tha. Un Ki Zabardast Swing Bowling Par Pehlay Quinton De Kock Slip Main Catch Day Gaey. Phir In Form Rilee Rossouw LBW Huay. 

Yahi Nahi, Powerplay Kay Last Over Main Mohammad Shami Nay Temba Bavuma Ko Bhi Out Kar Dia. South Africa 24 Runs Par Hi 3 Wickets Day Chuka Tha. 

India Match Par Chhaya Hua Tha. Is Kay Pass Final Blow Laganay Ka Aasan Moqa Bhi Aaya Laikin Us Nay Aik Nahi Kai Chances Miss Kiay. Cricket Main To ‘You Miss, I Hit’ Hota Hay. David Miller Aur Aiden Markram Nay In Chances Ka Poora Poora Faida Uthaya. 

Turning Point 

Seedhi Si Baat Turning Point Wohi Tha Jab Virat Nay Aiden Markram Ka Aik Aasan Tareen Catch Chhora. South Africa Kay Sirf 40 Run Thay, 3 Wickets Gir Chuki Theen. Tab Virat Nay Aisa Catch Drop Kia, Jo Koi Bhi Pakarr Sakta Tha. Yahi Nahi Next Over Main Rohit Sharma Nay Agla Over Main Run-Out Chance Bhi Miss Kardia. 

Ye 3 Chances Milnay Kay Baad Momentum Totally South Africa Kay Haq Main Chala Gaya. Next 4 Overs Main 41 Runs Ka Izafa Hua. Markram-Miller Partnership Main 76 Runs Banay. Markram 41 Balls Par 52 Runs Bana Kar Out Huay, Laikin Miller Aakhir Tak Jamay Rahay. Unhon Nay 46 Balls Par Not Out 59 Runs Banaey. Jin Main Last Over Main Winning Shots Bhi Shamil Thay. 

Points Table Par Situation 

Ab South Africa Group 2 Main Top Of The Table Hay. 3 Matches Main 2 Wins Aur Aik Bay-Nateeja Match Kay Sath Us Kay 5 Points Hain. India 2 Wins Aur 1 Loss Kay Sath 2nd Number Par Hay. 

ICC T20 World Cup 2022

Points Table

Group 2

MWLN/RPTNRR
Raftar Bharne Do South Africa32015+2.772
Raftar Bharne Do India32104+0.844
Raftar Bharne Do Bangladesh32104-1.533
Raftar Bharne Do Zimbabwe31113-0.050
Raftar Bharne Do Pakistan31202+0.765
Raftar Bharne Do Netherlands30300-1.948

Pakistan Ki Kahani Khatam? 

Nahi, Technically To Pakistan Ab Bhi Semi Final Kay Liay Qualify Kar Sakta Hay. Laikin Hay Buhat Mushkil. Agar India Aaj Ka Match Jeet Jata To Pakistan Next Matches Main South Africa Aur Bangladesh Ko Hara Kar Final-4 Main Puhanch Sakta Tha. Laikin Ab Usay Doosri Teams Kay Matches Ka Bhi Wait Karna Hoga. 

Waisay India Ko Bhi Apnay Last Donon Matches Jeetna Hon Gay. Laikin Us Kay Matches Zimbabwe Aur Bangaldesh Kay Khilaf Hain. Khair, Dekhtay Kya Hota Hay. 

شیئر

جواب لکھیں